Tuesday, February 26, 2013

Tumse duur chalaa jaaungaa

tumse milke ab fir tumse duur kaise main jaa paaungaa
waadaa kiyaa hai tumse naa milne kaa, wo waadaa kaise nibhaaungaa

achchaa thaa, main duur tha kuch pal tumhaari surat se
achchaa thaa main duur thaa kuch pal tumhaare ehsaason se
tumne milke firse mere dil ke ehsaason ko jagaa diyaa
ab dekh ke tumhe fir, tumhaari surat ko kaise bhulaaungaa

aankhon ke saamne har pal tumhaaraa chehraa hai
aankh band karun to khwaabon me tumhaaraa chehraa hai
kahaan jaaun main ab bachke tumse, ye jahaan chhotaa hai
ye surat jo mujhe apne odd khinchti hai, usse duur kaise jaaungaa

thik naa hogaa ab meraa tumhaare paas rehnaa
thik naa hogaa ab ek pal ke liye bhi meraa tumse milnaa
tum aaj kisi  aur ke ghar ki izzat ho, kisi ki sab kuch ho
tumhi kaho kaise, main kaise kisi ke ghar ko tod paaungaa

achchaa hai hamaaraa naa milnaa ab, achchaa hai main duur ho jaaun
kuch panne apni zindagi ke jo fir palatne ki koshish ki thi
un panno ko dhak ke band kar denaa hi behtar hogaa...

main sab kuch bhulaake duur tumse bahut duur chalaa jaaungaa
aaye koi aanch tumhaari izzat pe, main usse pehle hi mar jaaungaa
matlab mohabbat ka to itnaa nahi naa ki kisi ko haasil kar len
kisi ko naa paake paanaa bhi to mohabbat kaa hi naam hai naa
main jeewan bhar tumse mohabbat, bas mohabbat kartaa jaaungaa
mar bhi gayaa to bhi naa main tumhe bhulaa paaungaa....

No comments:

Post a Comment