Tuesday, February 19, 2013

Kuch is tarhaa jiyaa kartaa hoon

kuch yunhi dil se main baatein kiyaa kartaa hoon
lagaa ke yaadon ko seene se main jiyaa kartaa hoon

hai yakeen ki wo aayegaa nahi kabhi milne mujhse
main apne yakeen ko hi samjhaa liyaa kartaa hoon

kabhi baatein kar letaa hoon main uski tasveer se
kabhi tanhaayi me aansoo bahaa liyaa kartaa hoon

jaanta hoon ki wo bhool chukaa hai mujhe, meri mohabbat ko
magar fir bhi, main us shaqs ko aaj bhi yaad kiyaa kartaa hoon

koi keh de agar mujhse ki wo bewafaa hai, dhokebaaz hai
main us shaqs se har rishtaa hi tod diyaa kartaa hoon

jaantaa hai meraa dil, samajhtaa bhi hai ki wo nahi aayegaa
par har subah use dekhne khidki kaa pardaa hataa liyaa kartaa hoon

naa paake use dard hotaa hai, magar fir bhi jaane kyun
har lamhaa bas usi ke aane kaa main intzaar kiyaa kartaa hoon...

No comments:

Post a Comment