Tuesday, February 19, 2013

Duur jaane ki baat karte ho

saath jeene kaa waadaa kiyaa kabhi, aaj mar jaane ki baat karte ho
tinkaa tinkaa jodaa mujhe, aaj tut ke bikhar jaane ki baat karte ho

kashti zindagi meri tumhe saahil samajhne lagi hai jaane kabse
majdhaar ke aake tum kyun meraa saath chhod jaane ki baat karte ho

tum to jaante ho kitnaa dartaa hoon main parwaton ki unchaai se
fir kyun shikhar tak saath deke haath chhod jaane ki baat karte ho

main akelaa achchaa thaa, jee rahaa thaa apne andaaz me kabse
ab tum andaaz badalke mujhe mujhme laut jaane ki baat karte ho

kyaa main koi khilaunaa hoon, jisse ab mann bhar gayaa tumhaaraa
kyun kuch pal mujhse dil behlaake ab duur jaane ki baat karte ho

main tumse judaa ho ke ab to naa jee paaungaa, naa mar paaungaa
chhin ke har khushi meraa tum mujhse muskuraane ki baat karte ho

yeh kaisi mohabbat hai tumhaari jo haar gayi zamaane ke dar se
mujhe jeet ke itne kabeeb laake ab haar jaane ki baat karte ho

No comments:

Post a Comment