Tuesday, February 12, 2013

Main muskuraataa rahungaa

samajhtaa hoon main tumhaari haalat, yaad hai mujhe tumhaari har ek baat
wo pehli mulaaquaat apni, jab tumne muskuraa ke mujhe apnaa naam bataayaa thaa
fir dheere dheere, apni pasand, naa pasand, aadatein, sab jaan gaye hum
aur tum, mujhe mujhse bhi zyaadaa pehchaanne lag gaye....

achcha hotaa agar hum dost hi rehte, wo rishtaa dosti kaa badal ke pyaar naa hotaa
jaane kyaa gunaah kiyaa thaa maine jo mere dil me wo baat aayi us din
tumne bhi to bahut zorr deke mujhse kehelwaayaa thaa, kyaa tumhe yaad hai?
main kehna nahi chaahtaa thaa magar tumne kasam de ke mujhse kehelwaayaa thaa...

haan wahi baat, us roz jab maine pehli baar tumse apne dil kaa haal bataaya thaa
tumhe maine dost ke padd se hataake apnaa sab kuch, apnaa jahaan bataayaa thaa
kaash us din maine naa kahaa hotaa tumse wo baat, to shayaad aaj aise din naa hote
naa main yahaan tanhaa baithe tumhe yaad kartaa, naa tum wahaan tanhaayi me aaansoo bahaate...

tumne kahaa thaa mohabbat kaa anjaam shaadi ho zaruri to nahi
haan tumne kahaa thaa ki tumhe mujhse mohabbat hai, magar
kab tak meraa saath de paaogi iskaa tumhe kuch pataa naa thaa
bas beh gaye the hum ek bahaaw me ehsaason ke, kar gaye mohabbat....

aaj bhi un baaton ko sochtaa hoon to ro padtaa hoon, tadap uth_taa hoon
wo lamhe saath bitaaye huye, wo baatein, wo mulaaquaatein tumse
palat ke panne apni zindagi ke dekhtaa hoon kabhi to lagtaa hai mujhe
kyaa thaa main, aur ab jaane kyaa se kyaa ho gayaa hoon, kahin kho gayaa hoon...

bahut badal gayaa hoon main, main aajkal main nahi hoon, koi aur hi hoon
ab asar nahi hotaa kisi ke hasne yaa rone se mujhe aisaa sochtaa hoon, magar
tumhaari yaad aati hai, to ab bhi band kamre me thodaa ro letaa hoon
tumhaari tasveer, ek puraani, hai mere paas, use kuch pal dekh letaa hoon....

tum ho nahi mere paas, magar main tumse ab tak duur naa ho payaa hoon
sach kahaa tumne, duur ho ke tumse, tumhaari tahraa, aur zyaadaa pyaar karne lagaa hoon
aankh band kar lun kuch pal ke liye to tumhaaraa chehraa muskuraataa huwaa nazar aataa hai
fir agle hi pal, wo khwaab din kaa, meri aankhon se duur, kahin jaa ke kho jaataa hai...

jaane kab tak yunhi tumhe yaad kar ke jeetaa rahungaa, waadaa kiyaa thaa naa maine tumse
ki aa jaaye laakh mushkilen, laakh dard ho, main har dard me muskuraataa rahungaa....

main muskurataa rahungaa, main muskurataa rahungaa...

No comments:

Post a Comment