Wednesday, February 13, 2013

Main aag bujhaaun kaise


bheegi hui si kal ki woh raat, main bhulaaun kaise
hoon nashe mein abhi tak, main hosh me ab aaun kaise

dekh us bheege badan ko aag lagi is dil me kuch aisi
jal rahaa hoon abhi tak, main woh aag bujhaaun kaise

tadap rahaa hoon ab tak, kuch jal raha hai seene mein
seene ke jalte huye angaar ko thandak pahuchaaun kaise

dheere se jab usne chehre se zulfon ko hataayaa apne
qatl kaise huwaa meraa us lamhaa, main bataaun kaise

bheege hue se honth aur samundar si woh aankhen uski
doobaa unme kuch is tarhaa, main ab nikal paaun kaise

uuuff, kyaa thi woh, jaane kahaan se aayi thi kal woh
naam tak nahi poochaa, ab use main dhund paaun kaise

naa neend hai aankhon mein, naa hi bhook hai mujhe ab
khoyaa hoon uske khayaalon mein, sambhal paaun kaise

kaash woh fir dikh jaaye aaj jahaan kal dikhi thi woh
baithaa hun wahin, bin mile usse main ghar jaaun kaise

No comments:

Post a Comment