Sunday, February 10, 2013

Woh humein bewafaa bataate rahe

kuch khaas thaa unme ki hum baar baar doobne ko unke paas jaate rahe
aur woh, saahil dikhaake har baar hamaari kashti ko hi doobaate rahe

humein aadat thi hum unki wafaa ke kisse jahaan bhar me sunaate rahe
unki mohabbat thi woh zaalim mehfilon me humko hi bewafaa bataate rahe

dekhaa hai humne kaise har shaqs se woh hans hans ke baat karte hain
aur hamaaraa paagalpan ki hum unko hastaa huwaa dekh muskuraate rahe

ab kehte hain humse ki hum qatraate hain unhe dekhke, unse milne se
kaise bataayein unhe ki judaa unse kaise hum ek ek din bitaate rahe

unkaa jahaan se guzarnaa hotaa, wahaan phool bichhaayaa thaa humne
unkaa ehsaan hi thaa ki woh phoolon ki sej ko naasoor bataate rahe

khud ko unki mohabbat samajh padhte rahe unke likhe geet mohabbat pe
naam kisi aur kaa thaa, wo naam hamaaraa hai hum khudko samjhaate rahe

kuch aisaa rishtaa judaa unse hamaaraa ki ab tak naa bhool paaye hain
hum unke jitne kareeb aate rahe, woh humse utni duriyaan badhaate rahe

No comments:

Post a Comment