Thursday, February 28, 2013

Chhawee adhuri kahaani ki

dekhoge  agar  meri aankhon  mein, ghum  ke  siwaa to  kuch  bhi  nahi
kuch   kisse   kisi   ki  yaadon  ke ,  bas  uske  siwaa  to  kuch  bhi   nahi

dhundte   ho    tum   jaane    kyaa  ,   dhund   ke   tum   kyaa   paaoge
aankhon   kaa   thodaa   paani  hai , aur  ek  toote  dil   ki  kahaani  hai


...............

tanhaa safar me nikaltaa hoon, kuch duur kisi ke sangh chaahtaa hoon
tum  dekhoge to yeh jaan bhi loge, koi apnaa nahi hai, koi sapnaa nahi

dhundte ho tum jaane kyaa.........

main dard  pe geet banaataa hoon, mehfilon mein wahi sunaataa hoon
jab  dard  badhe tab sochtaa hoon , meraa unke siwaa yahaan koi nahi

dhundte ho tum jaane kyaa.........

main  pyaar ke deep sajaataa hoon, unme apne hi haath jalaataa hoon
mohabbat ab bhi dhundtaa hoon, shayad yahi cheez kismat mein nahi

dhundte ho tum jaane kyaa.........

tum meri kahaani kyun poochhte ho, mere jiwan mein to kuch bhi nahi
ek shaqs hi thaa jo kabhi meraa thaa, ab woh hi nahi to meraa koi nahi

dhundte ho tum jaane kyaa.........

woh jo lamhaa thaa  unki  vidaai  kaa , aaghaaz hi thaa apni judaai kaa
khwaab ke mahal jo  banaaye  the, sab tut gaye, bachaa kuch bhi nahi

dhundte ho tum jaane kyaa.........

kuch   khat  hain  unke  puraane ab, ek  sukhaa  gulaab hai saath mere
ek  tasveer  unki  hai  kitaabon  mein , bas uske siwaa ab kuch bhi nahi

dhundte ho tum jaane kyaa.........

Tumhe dhundtaa hoon

kitaabon  mein  apni khoyi  kahaani dhundtaa hoon
tumhaari    likhi   chiththi   puraani  dhundtaa  hoon

pyaasaa hoon  kab  se tumhaare  deedaar   ke  liye
par  pyaas   bujhaane  ke  liye paani dhundtaa hoon

yeh   deewaangi   nahi  to  aur  kyaa  hai  kaho naa
sukhe  gulaab  mein  uski  jawaani  dhundtaa hoon

jahaan  dekhun tum  hi tum  nazar  aate  ho, magar
tab  bhi  main mohabbat ki  nishaani dhundtaa hoon
Tum yaad aate rahe

tumhe  yaad  kar  hum khud ko raat bhar jagaate rahe
keh naa  paaye par chhip chhipke aansu bahaate rahe

karwatein   badalte   rahe  apne  bistar  pe  saari  raat
tum  naa  the  to hum takiye ko seene se lagaate rahe

koshish bahut   ki humne so jaayen kuch pal chain se
aankhein band  huyi to tum aake humein sataate rahe

abhi  to   bas  ek   hi din guzraa hai tumse judaa huye
ek din  me humein tum shat shat baar yaad aate rahe

sach  yeh  hai  ki tumhe humse duur bahut jaanaa hai
duur jaate jaate tum  humein  apne paas bulaate rahe

Wednesday, February 27, 2013

Muskuraanaa bahut hotaa thaa


mere  bulaane  pe  tumhaaraa  paas  aajaanaa  bahut hotaa thaa
dekh  ke  mujhe  bas  tumhaaraa muskuraanaa bahut hotaa thaa

main  kab  tum  se  yeh  kehtaa  thaa ki saath raho mere harpal
jab  milo  mujhse, mujhe  seene  se  lagaanaa  bahut  hotaa thaa

maangaa  hi  kab  thaa  kuch  tumhaare saath se zyaadaa maine
tumhaare  hothon  kaa meraa naam pukaarnaa bahut hotaa thaa

jab  kabhi  koi   ghazal  main  tumhaare  naam  se sajaataa thaa
tumhaare  hothon se bas uskaa  gungunaanaa  bahut hotaa thaa

maangaa   nahi  kabhi  kisi  duwaa mein ki  tum  mil  jaao  mujhe
dekhlun   tumhe   har  subah  main,  bas itnaa   bahut  hotaa thaa

jeene  ke   liye  saanson   ki  zarurat  hoti   hai  samajhtaa   hoon 
magar,  mere  liye  tumhaaraa  nazar  aajaanaa bahut hotaa thaa
Tumhe aankhon me chhipaa loon

ban jaao muskaan tum, tumhe main labon pe sajaa loon
palkon pe basaa loon, tumhe aankhon mein chhipaa loon

tum saansein ho meri, tumhe dhadkano mein basaa loon
likhun tum pe ghazal koi, tumhe geeton me sajaa loon

tumhaare aankh ka kaajal, tumhaare zulfon kaa baadal
tumhaare shabnami hothon se main moti hi churaa loon

main dekh tumhe kho jaaun is tarhaa hosh naa ho baaki
gir jaaun kabhi ladkhadaake, kabhi khudko sambhaaloon

do waqt agar do pal kaa mujhe thodaa pyaar nibhaa loon
hoon tanhaa bahut, tum sangh main kuch lamhe bitaa loon

Ab muskuraanaa nahi hotaa

hamaari mohabbat kaa hamaare paas aanaa nahi hotaa
isliye  mohabbat  pe  hamaaraa likh paanaa nahi hotaa

titliyaan   bhi   dekho  kaisi  berang  si  ho  rahi  hain
unkaa  bhi  phoolon  sangh  khilkhilaanaa nahi hotaa

dekh  ke unko kabhi hum muskuraa lete the, wo nahi
isliye   aaj  kal  labon  kaa  muskuraanaa  nahi  hotaa

yaa   to  naaraaz  hain  woh  hamaari   hi  kisi  baat se
yaa  unkaa  hamaari  gali  se  ho  ke jaanaa nahi hotaa

kismat   hai  khoti ,  yaa  rekhaayein   hi   galat  hain
warnaa yun roothaa huwaa saa zamaanaa nahi hotaa

hote  agar  wo  saath  to  tab  dard  hi  naa  hotaa, aur
shaayad  likhne kaa dard pe koi bahaanaa nahi hotaa

ret kaa mahal tha apni chaahaton ka shaayad, warnaa
khwaabon kaa is tarhaa tutke bikhar jaanaa nahi hotaa

kuch kami to hamaare andar hi hai shaayad, warnaa
saahil pe aake kashti kaa yun doob jaanaa nahi hotaa
Mujhe badnaam naa karo

leke meraa naam tum is tarhaa mujhe badnaam naa karo
naa reh paaun main zindaa is tarhaa ke kaam naa karo

sambhaale rakhaa hai tumhaare dil ko apne seene mein
tum apni mohabbat ke charche, yun sar-e-aam naa karo

jaan lene ke liye tumhaaraa muskuraanaa ki kaafi hai
mujhse ruthke yun meri maut kaa tum intzaam naa karo

tumhaare deedaar ke liye hi main tadaptaa rehtaa hoon
tum is tarhaa tadpaayaa mujhe subah se shaam naa karo

Kyaa mazaa hai

woh poochhte hain humse, kyaa rakhaa hai mohabbat kar jaane me
dil lagaa ke dekhen kabhi, kyaa mazaa hai dil me utar jaane me

Meraa kyaa kaam hai

kuch khaas nahi hai isme, yeh to aam hai
har shaam ki tarhaa yeh bhi ek shaam hai

hawaayein kuch keh rahi hain aaj shayaad
aayaa mere liye shaayad koi paighaam hai

baitha hoon leke kaagaz, haath me kalam hai
likhne ke siwaa meraa bhalaa kyaa kaam hai
Mujhe hosh kahaan hai

jidhar bhi main dekhun, wohi chehraa wahaan hai
basi hai dhadkano me, thodi ragon me rawaan hai

ek chaand wahaan hai, meraa chaand hai zameen par
roshan hai usse sabkuch, bin uske kuch kahaan hai

umange kuch is tarhaa aaj dil me machal rahi hain
ud jaaun pankh failaake, dekho khulaa aasmaan hai

kyaa cheez hai mohabbat, tumhe kyaa main bataaun
thodi si agan hai, aur bas thodaa saa dhuwaan hai

aaj main nashe mein, kuch kar guzar naa jaaun
aaj rok lo mujhe tum, mujhe hosh hi kahaan hai

Tuesday, February 26, 2013

Mohabbat kaa asar


udte huye ek aanchal ne aaj aake mujhe chhuwaa jo hai
jo naa huwaa thaa kab se, aaj kuch waisa huwaa to hai

nashaa saa kuch hai jo main guum huwaa jaa rahaa hoon
dil meraa bas me nahi, asar mujhpe kuch huwaa to hai

lag rahaa hai, fir se aag jali hai mohabbat ki yahaan
roshni nahi, naa sahi, magar khoobsurat dhuwaa to hai

tum duur ho, jaantaa hoon ki abhi waqt hai milan mein
yakeen hai tum aaoge, aaj eshsaason ne chhuwaa to hai

chaahe duur rahe ho hum, barso se mile tak nahi, magar
mere saath aaj asar mohabbat kaa tumpe bhi huwaa to hai
Tum ho meri yaadon mein


subah se shaam tumhi ho meri yaadon mein
tumhaare siwaa koi nahi meri baaton mein

tum se duur hoon, magar tumse judaa nahi
tum mere din me ho, tum meri raaton mein

dekh naa le koi aansu, wajah yahi hai ki
bheegtaa hoon main bheegi barsaaton mein

jaantaa hoon majboor ho, mil nahi sakti
fir bhi, dhundtaa hoon tumhe raahon mein

duur ho meri pahuch se tum, jaantaa hoon
par, chaahtaa hoon aajaao meri baahon mein
Hum tumhaare ho nahi sakte


yeh kaisi bandish hai ki hum ho ke bhi tumhaare ho nahi sakte
ronaa chaahte hain hum, magar apne palkon ko bhigo nahi sakte

kyun lagaa ye rog mohabbat kaa, agar lagaa bhi to ye judaai kyun
majboori dekho kaisi hai, hum tumhe paa nahi sakte, kho nahi sakte...
Main tanhaa hoon

aaj jaane kyun
lag rahaa hai
main tanhaa hoon...

dost hai mere paas
khushiyaan hain
kami nahi kisi baat ki
magar fir bhi jaane kyun
lag rahaa hai
main tanhaa hoon...

shayad kisi ki yaad
yaa koi puraani baat
yaa koi adhuri mulaquaat
kuch to hai shayad
ki lag rahaa hai aaj
main tanhaa hoon...

aisaa roz nahi hotaa
yun nahi lagtaa mujhe
hastaa hoon, gaata hoon
muskuraataa hoon har baat pe
magar
kuch adhuraa saa hai aaj
kuch khoyaa khoyaa saa
lag rahaa hai
kuch chhuut gayaa
bheed hai aas paas magar
lag rahaa hai
main tanhaa hoon..

koi hai kyaa?
jo meri tanhaayi
mujhse chhin le
koi hai kyaa?
jo mujhe do pal kaa
saath de
dekho naa aake ek baar
main kitnaa akelaa hoon
main ..
kitnaa tanhaa hoon....
Tumse duur chalaa jaaungaa

tumse milke ab fir tumse duur kaise main jaa paaungaa
waadaa kiyaa hai tumse naa milne kaa, wo waadaa kaise nibhaaungaa

achchaa thaa, main duur tha kuch pal tumhaari surat se
achchaa thaa main duur thaa kuch pal tumhaare ehsaason se
tumne milke firse mere dil ke ehsaason ko jagaa diyaa
ab dekh ke tumhe fir, tumhaari surat ko kaise bhulaaungaa

aankhon ke saamne har pal tumhaaraa chehraa hai
aankh band karun to khwaabon me tumhaaraa chehraa hai
kahaan jaaun main ab bachke tumse, ye jahaan chhotaa hai
ye surat jo mujhe apne odd khinchti hai, usse duur kaise jaaungaa

thik naa hogaa ab meraa tumhaare paas rehnaa
thik naa hogaa ab ek pal ke liye bhi meraa tumse milnaa
tum aaj kisi  aur ke ghar ki izzat ho, kisi ki sab kuch ho
tumhi kaho kaise, main kaise kisi ke ghar ko tod paaungaa

achchaa hai hamaaraa naa milnaa ab, achchaa hai main duur ho jaaun
kuch panne apni zindagi ke jo fir palatne ki koshish ki thi
un panno ko dhak ke band kar denaa hi behtar hogaa...

main sab kuch bhulaake duur tumse bahut duur chalaa jaaungaa
aaye koi aanch tumhaari izzat pe, main usse pehle hi mar jaaungaa
matlab mohabbat ka to itnaa nahi naa ki kisi ko haasil kar len
kisi ko naa paake paanaa bhi to mohabbat kaa hi naam hai naa
main jeewan bhar tumse mohabbat, bas mohabbat kartaa jaaungaa
mar bhi gayaa to bhi naa main tumhe bhulaa paaungaa....

Monday, February 25, 2013

Dil samajh paataa nahi


kuch alag hi rishtaa hai meraa unse kyaa bataaun
chaah ke bhi unhe khud se judaa kar paataa nahi

wo sataate hain, tadpaate hain, dil dukhaate hain
magar unki kisi baat me unse rooth paataa nahi

kuch to baat hai unme ki itni mohabbat hai unse
hain nahi kareeb, par unki yaadon se duur jaa paataa nahi

aankhein kholun yaa band unkaa hi chehraa dikhtaa hai
aisaa nashaa hai unkaa ki ek pal bhi utar paataa nahi

unkaa intzaar hai is dil ko, meri dhadkano ko bhi har pal
main samajh jaataa hoon, magar ye dil samajh paataa nahi

kitni baar kahaa maine is dil ko bhulaa de tu unhe, wo naa aayenge
magar, ye dil naadaan hai, jo sach kyaa hai dekh paataa nahi....

Thursday, February 21, 2013

Kyaa rakhaa hai


ab paas hone yaa duur jaane mein kyaa rakhaa hai
ab tumse judaa hoke zingadi mein kyaa rakhaa hai

duhaai naa do apne aansuon ki tum mujhe is tarhaa
tod ke dil ab aansuu bahaane mein kyaa rakhaa hai

main jaantaa hoon ki mumkin nahi milan ab apnaa
tumhe paane ki duwaa maangne mein kyaa rakhaa hai

aansu aankh se nikalke waapas aankh mein nahi jaate
kasmon waadon mein ab baandhne mein kyaa rakhaa hai

khush raho tum jahaan ho apne naye ghar mein ab jaanaa
naa roko mujhe, tumhaare paas rehne mein kyaa rakhaa hai

bas dard hi hogaa tumhe ab mujhe apne kareeb dekh ke
jaane do mujhe, ab jhoote khwaabon mein kyaa rakhaa hai...
Yeh hawaayein

dekhonaa,  aaj  hawaayein  kaise sab kuch mehkaa rahe hain
tum  ho   yahin  kahin, yeh  hawaayein mujhe bataa rahe hain

yun   lag  rahaa  hai  ki  abhi  abhi tumhe chhuu ke aaye hain
yeh hawaayein ab mujhe chhu ke mujhe gudgudaa rahe hain

bhoolaa   nahi hoon ab  bhi  main wo pehli mulaaquaat apni
hawaayein  aaj  fir  us   mulaquaat  ki  yaad  dilaa  rahe hain

kuch  aisa  hi   huwaa  thaa  jab  pehli  baar miley the tumse
haaye,  yeh   hawaayein  jaise  har lamhaa dohraa rahe hain

jaanaa,   tum ho  naa  yahin  kahin  aas  paas, sataao naa ab
yeh  hawaayein tumhaaraa roop leke mujhe sataa rahe hain

aajaao  daud  ke aake  lag jaao mere  seene se  tum ek baar
aaj  hawaayein  tumhaare hone  kaa  ehsaas dilaa rahe hain
Tumhaaraa naam pukaar letaa hoon

tumse dur tumhaari yaadon mein din guzaar letaa hoon
main tumhaari baaton ko kaagaz pe utaar letaa hoon

baatein kartaa hoon tumhaari tasveer se aksar tanhaa
main band kamre mein tumhaaraa naam pukaar letaa hoon

samajhtaa hoon tum mujhme basi ho mere ruh ki tarhaa
isliye saamne aaine ke main chehraa sanwaar letaa hoon
Aansu

main tumhaari aankhon me aansu banke bastaa hoon
ronaa nahi warnaa main aankhon se nikal jaaungaa
Aetbaar ki tarhaa

tum rehte ho mere mann mandir me aetbaar ki tarhaa
dhundtaa hoon fir bhi main tumhe intzaar ki tarhaa

aaine me dekhtaa hoon main khud ko bhi agar kabhi
dikh jaate ho tum mujhe mere shringaar ki tarhaa

main paltaa hoon tumhaare palkon pe khwaab ki jagah
tum rehte ho mere dil me sadaa pyaar ki tarhaa
Khushiyaan muskuraa rahi hain

dekho naa, aaj hawaayein kaise sab kuch mehkaa rahi hain
tum ho yahin kahin, yeh hawaayein mujhe bataa rahi hain

yun lag rahaa hai ki abhi abhi tumhe chhuu ke aayi hain
yeh hawaayein ab mujhe chhu ke mujhe gudgudaa rahi hain

kuch alag saa hi mehsoos kar raha hoon main jaane kyun
baarish ki boondein bhi dekho naa kuch gungunaa rahi hain

shayaad tumhaari moujudgi hai, jo mausam badlaa badlaa hai
kalam jo chalti nahi thi ab tak, dekho naa chale jaa rahi hai

tumhaare hone se kaise har ehsaas ghazal ban jaate the naa
dekho naa aaj ungliyaan kaise thar thar chale jaa rahi hain

tum nahi the to 'Hriday' me bas ghum hi ghum the, jaanaa
tumhaare aane se dekho khushiyaan bhi muskuraa rahi hain
Main ab dawaa nahi maangtaa

tumse judaa hoke ab main milan ki koi hawaa nahi maangtaa
tadaptaa rehtaa hoon dard se magar ab dawaa nahi maangtaa

maangtaa hoon bas duwaa ki khush raho tum jahaan kahin ho
hai mohabbat tumse par tumhe paane ki duwaa nahi maangtaa

jaantaa hoon mumkin nahi milan apnaa, samajhtaa bhi hoon
ab main kisi bhi tarhaa ki tumse koi wafaa nahi maangtaa

hawaa kuch aisi chali thi mere shahar me kuch saal pehle
kasoor tumhaaraa naa thaa, isliye koi sazaa nahi mangtaa

chaand ho tum, tumhe to aasmaan me hi rehnaa hai har pal
main tumse milne ke liye, ab meraa aasmaan nahi maangtaa

ab naa milan ki khwaish hai, naa hi mohabbat ki pyaas hai
ladkhadaa rahaa hoon, magar tumse sahaaraa nahi maangtaa
Tum khaas ho

saath ho mere magar mere saath hone kaa ehsaas to ho
kuch karo aisaa lagne lage firse mujhe tum paas to ho

jaante ho ki tum bin ek pal bhi guzaarnaa mushkil hai
tum hi ho mere liye sab, tum hi mere liye khaas to ho
Kyun naa saath chale

kabhi deep jale, kabhi phool khile
khwaabon mein kabhi jab tumse mile

kabhi dard ne aake jab gheraa mujhe
woh tum hi the, jo mere saath chale

tanhaa akelaa, ek pal bhi naa thaa
main jab tanhaa huwaa tum aake mile

pyaar meraa bas tum hi to the, jaanaa
tum se mile, naa rahe koi shikwe gile

aaye ho agar tum yahaan laut ke aaj
umra bhar hum ab kyun naa saath chale

Wednesday, February 20, 2013

Jaan ke nikal jaane tak

mushkil hai bach paanaa meraa jaan ke nikal jaane tak
kaise rok paaungaa khud ko aaj shaam ke dhal jaane tak

mehek tumhaare jism ki paagal banaa rahi hai mujhe ab
kaise sambhaalun khud ko poori tarha sambhal jaane tak

aankhen tumhaari nashili jalaa rahi hain mujhse kabse
kaise bas dekhtaa rahun unhe khud ke pighal jaane tak

do palon ki duuri bhi ab baras ke samaan lag rahi hai
kaise thahar paaungaa main aaj waqt ke badal jaane tak

pyaasaa hai dil meraa tumhaari mohabbat ke liye jaanaa
naa tadpaao mujhe itnaa jism se ruh ke nikal jaane tak...

Tuesday, February 19, 2013

Mohabbat bewafaai se

kuch yun mohabbat hui hai mujhe bewafaai se
ki naa chaah ke bhi mohabbat kar jaataa hoon

tadaptaa rehtaa hoon main dil ke haathon, aur
chhipaa ke har dard ko, main muskuraataa hoon

chaltaa hoon angaaron pe sochke ki araam mile
is tarhaa se main apne pairon ko jalaataa hoon

aadat nahi hai mujhe phoolon ki to kyaa karun
kaanton ko seene se lagaake dil behlaataa hoon

log kehte hain mujhe tameez nahi baat karne ki
shaayad isi liye kuch kehne se ghabraataa hoon

band rehtaa hoon apne kamre ki deewaaron mein
aur apne dard ko main geeton me sajaataa hoon
Kuch meraa naa thaa

is rang badalti duniyaa mein
kyaa teraa thaa, kyaa meraa thaa

ek naam 'Hriday' jo tune diyaa
ek naam wahi mujhe pyaaraa thaa

kuch lamhe khushi ke saath rahe
kuch meraa thaa, kuch teraa thaa

indradhanush ke rang se sajaa
ek waqt hi thaa, jo sunehraa thaa

do pal ke ghum, do pal ki khushi
har raat ke baad fir saweraa thaa

ek tere siwaa kuch meraa naa thaa
thaa bhi agar to bas andheraa thaa
Duur jaane ki baat karte ho

saath jeene kaa waadaa kiyaa kabhi, aaj mar jaane ki baat karte ho
tinkaa tinkaa jodaa mujhe, aaj tut ke bikhar jaane ki baat karte ho

kashti zindagi meri tumhe saahil samajhne lagi hai jaane kabse
majdhaar ke aake tum kyun meraa saath chhod jaane ki baat karte ho

tum to jaante ho kitnaa dartaa hoon main parwaton ki unchaai se
fir kyun shikhar tak saath deke haath chhod jaane ki baat karte ho

main akelaa achchaa thaa, jee rahaa thaa apne andaaz me kabse
ab tum andaaz badalke mujhe mujhme laut jaane ki baat karte ho

kyaa main koi khilaunaa hoon, jisse ab mann bhar gayaa tumhaaraa
kyun kuch pal mujhse dil behlaake ab duur jaane ki baat karte ho

main tumse judaa ho ke ab to naa jee paaungaa, naa mar paaungaa
chhin ke har khushi meraa tum mujhse muskuraane ki baat karte ho

yeh kaisi mohabbat hai tumhaari jo haar gayi zamaane ke dar se
mujhe jeet ke itne kabeeb laake ab haar jaane ki baat karte ho
Main tujhse pyaar kar loon

doob jaaun teri aankhon me, unn pe aetbaar kar loon
main sab ko bhulaa ke tujh se thodaa pyaar kar loon
meri mohabbat ek pal ki nahi, ek din ki nahi hai ye
bhulaa ke khud ko sab kuch tujh pe nisaar kar doon...
Kuch is tarhaa jiyaa kartaa hoon

kuch yunhi dil se main baatein kiyaa kartaa hoon
lagaa ke yaadon ko seene se main jiyaa kartaa hoon

hai yakeen ki wo aayegaa nahi kabhi milne mujhse
main apne yakeen ko hi samjhaa liyaa kartaa hoon

kabhi baatein kar letaa hoon main uski tasveer se
kabhi tanhaayi me aansoo bahaa liyaa kartaa hoon

jaanta hoon ki wo bhool chukaa hai mujhe, meri mohabbat ko
magar fir bhi, main us shaqs ko aaj bhi yaad kiyaa kartaa hoon

koi keh de agar mujhse ki wo bewafaa hai, dhokebaaz hai
main us shaqs se har rishtaa hi tod diyaa kartaa hoon

jaantaa hai meraa dil, samajhtaa bhi hai ki wo nahi aayegaa
par har subah use dekhne khidki kaa pardaa hataa liyaa kartaa hoon

naa paake use dard hotaa hai, magar fir bhi jaane kyun
har lamhaa bas usi ke aane kaa main intzaar kiyaa kartaa hoon...

Sunday, February 17, 2013

Wo meraa naa huwaa

jalaa ke sau chiraag dekh liye
ab tak kam andheraa naa huwaa

raat aisi hui zindagi ki mere
ab tak yahaan saweraa naa huwaa

jo panchhi udd gaye ghoslon se
unkaa fir se baseraa naa huwaa

suraj ki kirne padi paani mein
magar paani sunehraa naa huwaa

chaahaa jis ko khud se badh ke
jaane kyun woh meraa naa huwaa

Thursday, February 14, 2013

Mazaa aane lagaa hai


ab to humein mohabbat me mazaa aane lagaa hai
apne ko apnaa banaane me mazaa aane lagaa hai

tum se chhip chhip ke milaa karte the kal tak
ab zamaane ko bataane me mazaa aane lagaa hai 

thaamaa hai jab se haath tumhaaraa haathon me
angaaron pe bhi chalne me mazaa aane lagaa hai

bheege nahi the kal tak baarish me kabhi hum
ab mohabbat me bheegne me mazaa aane lagaa hai

duniyaa ki saari khushiyaan tumhe laa den hum
ab tum sangh muskuraane me mazaa aane lagaa hai

log jalne lage hain hamein saath dekh ke aajkal
aur humein unko jalaane me mazaa aane lagaa hai
Hum kho jaate hain


kabhi to hum tumhaari yaadon mein kho jaate hain
kabhi to hum tumhaari baaton mein kho jaate hain

sangeet saa kuch bajtaa hai jab tum muskuraati ho
hum to uspal tumhaari muskaan mein kho jaate hain

jab chudiyaan khanakti hain tumhaare haathon mein
aankhen band kar un ki aawaaz mein kho jaate hain

jab guzarti ho kabhi mere kareeb se tum dheere se
hum tumhaari jism ki khushboo mein kho jaate hain

failaate ho jab apni zulfon ko hamaare chehre pe
hum tumhaari zulfon ke saaye mein kho jaate hain

ab humein khone ke liye bheed ki kyaa zarurat hai
hum to aaj kal tanhaayion mein hi kho jaate hain

likhte hain geet tumhaare naam se subah se shaam
hum raat hote hote unhi geeton me kho jaate hain

dhundne ki koshish karte hain hum tumhe har jagah
aur tumhe dhundte huye hum khud hi kho jaate hain

Wednesday, February 13, 2013

Main aag bujhaaun kaise


bheegi hui si kal ki woh raat, main bhulaaun kaise
hoon nashe mein abhi tak, main hosh me ab aaun kaise

dekh us bheege badan ko aag lagi is dil me kuch aisi
jal rahaa hoon abhi tak, main woh aag bujhaaun kaise

tadap rahaa hoon ab tak, kuch jal raha hai seene mein
seene ke jalte huye angaar ko thandak pahuchaaun kaise

dheere se jab usne chehre se zulfon ko hataayaa apne
qatl kaise huwaa meraa us lamhaa, main bataaun kaise

bheege hue se honth aur samundar si woh aankhen uski
doobaa unme kuch is tarhaa, main ab nikal paaun kaise

uuuff, kyaa thi woh, jaane kahaan se aayi thi kal woh
naam tak nahi poochaa, ab use main dhund paaun kaise

naa neend hai aankhon mein, naa hi bhook hai mujhe ab
khoyaa hoon uske khayaalon mein, sambhal paaun kaise

kaash woh fir dikh jaaye aaj jahaan kal dikhi thi woh
baithaa hun wahin, bin mile usse main ghar jaaun kaise
Humein tadapte rehne do

labon pe jo baat hai, labon pe hi rehne do
nazron ko sunne do, aur nazron ko kehne do

yeh zulfon ko apne tum chehre par rehne do
jo beh jaaye aaj yahaan, humko tum behne do

jaane kis nashe mein hum aaj ladkhadaa rahe hain
naa kaho kuch tum, humein nashe mein hi rehne do

jal rahe hain hum yahaan, huwaa humein ishq hai
meethi tadap mein ishq ke humein tadapte rehne do
Teraa paas aanaa hogaa

tu meri hai, tujhe mere paas aanaa hogaa
teraa aake mujhe seene se lagaanaa hogaa

kab tak yun bin kahe tadaptaa rahungaa
khwaish hai, tujhe apnaa banaanaa hogaa

jitni bhi dooriyaan badhaa le tu mujhse
yeh dil to bas teraa hi deewaanaa hogaa

baarish ki boonden keh rahi hain mujhse
teraa mujh sangh fir bheeg jaanaa hogaa

kabhi mushkilein, kahin pe hain bandhan
naa chalne waalaa teraa koi bahaanaa hogaa

yaa to teraa 'Hriday' me bas jaanaa hogaa
yaa fir mera ye jahaan chhod jaanaa hogaa

Aaj mujhe kehne do

labon pe jo baat hai, labon pe hi rehne do
nazron ko sunne do, aur nazron ko kehne do
yeh zulfon ko apne tum chehre par rehne do
jo beh jaaye aaj yahaan humko tum behne do....

ajnabee se shaharon mein, tapti hui dopaharon mein
humne tumhe yaad kiyaa, humne tumhaaraa naam liyaa
gardish me jo taare hain, wo armaa hamaare hain
kuch tumse wo kehnaa chaahe, un ko tum kehne do

labon pe jo baat hai....

jab kabhi bhi shaam dhale, tum raho palkon ke tale
haathon me tumhaaraa haath ho, hum tumhaare saath chale
aaj main aape me nahi, aaj main nashe me hoon, magar
jo bhi tumse kehnaa chaahun, mujhe tum sab kehne do

labon pe jo baat hai....

Tuesday, February 12, 2013

Kuch kar jaun main aaj


mehek jaaun main tumhaari khusboo mein
tumhaare itne kareeb aa jaaun main aaj

khol do tum apne zulfon ke bandhan ko
tumhaari zulfon me kho jaaun main aaj

rang churaa lun tumhaare hothon kaa aur
apne hothon ko unse rang jaaun main aaj

jism ki dooriyaan itni kam ho jaayen ki
tumhaare jism kaa hisaa ho jaaun main aaj

kuch is tarhaa haddon ko paar karte hain
mohabbat kaa koi kissa ho jaaun main aaj

chum loon tumhaari aankhon ko hothon se
haseen saa koi khwaab ban jaaun main aaj

tum poochho sawaal mujhse mohabbat ke aur
har sawaal kaa jawaab ban jaaun main aaj

betaabi ko tumhaari itni badhaa dun main
tum se tum hi ko duur le jaaun main aaj

rok naa paao khud ko kuch aisaa kar dun
nashe ki poori botal ban jaun main aaj

tumhaari mohabbat aur badh jaaye mere liye
jaadugari se kuch aisaa kar jaaun main aaj

lelun jaan tumhaari apni mohabbat me yaa fir
tumhaari mohabbat me khud mar jaaun main aaj
Kyun mujhe sataate ho

palak jhapakte hi gum ho jaate ho, fir kabhi nazar aa jaate ho
kabhi to humse rooth jaate ho, kabhi humein dekh muskuraate ho

maasoomiyat tumhaari, tumhaare baaton ki jo meethi sharbat hai
kabhi tum hamaari pyaas bujhaate ho, kabhi khud hi pi jaate ho

samajh paataa nahi main tumhe, tum jab roop badalte jaate ho
hiran ki chanchaltaa hai tumme, kabhi bahut chup ho jaate ho

jab kabhi mere pichhe se meri aankhon pe haath rakhte ho tum
galat naam bolun main jaan ke, to tum zorr se khilkhilaate ho

kabhi agar haath pakar loon main tumhaaraa, chhin ke apnaa haath
apnaa chehraa apne haathon ke chhipaake, tum tab sharmaate ho

duur jaane ki koshish karte ho mujhse main jab paas bulaataa hoon
fir kyun tum raat ko mere khwaabon me aake mujhe chhed jaate ho

yaa to keh do ki tumhe mujhse mohabbat hai, mujhe chaahte ho tum
agar nahi, to fir kyun is tarhaa se mujhe tum har ghadi tadpaate ho?
Main muskuraataa rahungaa

samajhtaa hoon main tumhaari haalat, yaad hai mujhe tumhaari har ek baat
wo pehli mulaaquaat apni, jab tumne muskuraa ke mujhe apnaa naam bataayaa thaa
fir dheere dheere, apni pasand, naa pasand, aadatein, sab jaan gaye hum
aur tum, mujhe mujhse bhi zyaadaa pehchaanne lag gaye....

achcha hotaa agar hum dost hi rehte, wo rishtaa dosti kaa badal ke pyaar naa hotaa
jaane kyaa gunaah kiyaa thaa maine jo mere dil me wo baat aayi us din
tumne bhi to bahut zorr deke mujhse kehelwaayaa thaa, kyaa tumhe yaad hai?
main kehna nahi chaahtaa thaa magar tumne kasam de ke mujhse kehelwaayaa thaa...

haan wahi baat, us roz jab maine pehli baar tumse apne dil kaa haal bataaya thaa
tumhe maine dost ke padd se hataake apnaa sab kuch, apnaa jahaan bataayaa thaa
kaash us din maine naa kahaa hotaa tumse wo baat, to shayaad aaj aise din naa hote
naa main yahaan tanhaa baithe tumhe yaad kartaa, naa tum wahaan tanhaayi me aaansoo bahaate...

tumne kahaa thaa mohabbat kaa anjaam shaadi ho zaruri to nahi
haan tumne kahaa thaa ki tumhe mujhse mohabbat hai, magar
kab tak meraa saath de paaogi iskaa tumhe kuch pataa naa thaa
bas beh gaye the hum ek bahaaw me ehsaason ke, kar gaye mohabbat....

aaj bhi un baaton ko sochtaa hoon to ro padtaa hoon, tadap uth_taa hoon
wo lamhe saath bitaaye huye, wo baatein, wo mulaaquaatein tumse
palat ke panne apni zindagi ke dekhtaa hoon kabhi to lagtaa hai mujhe
kyaa thaa main, aur ab jaane kyaa se kyaa ho gayaa hoon, kahin kho gayaa hoon...

bahut badal gayaa hoon main, main aajkal main nahi hoon, koi aur hi hoon
ab asar nahi hotaa kisi ke hasne yaa rone se mujhe aisaa sochtaa hoon, magar
tumhaari yaad aati hai, to ab bhi band kamre me thodaa ro letaa hoon
tumhaari tasveer, ek puraani, hai mere paas, use kuch pal dekh letaa hoon....

tum ho nahi mere paas, magar main tumse ab tak duur naa ho payaa hoon
sach kahaa tumne, duur ho ke tumse, tumhaari tahraa, aur zyaadaa pyaar karne lagaa hoon
aankh band kar lun kuch pal ke liye to tumhaaraa chehraa muskuraataa huwaa nazar aataa hai
fir agle hi pal, wo khwaab din kaa, meri aankhon se duur, kahin jaa ke kho jaataa hai...

jaane kab tak yunhi tumhe yaad kar ke jeetaa rahungaa, waadaa kiyaa thaa naa maine tumse
ki aa jaaye laakh mushkilen, laakh dard ho, main har dard me muskuraataa rahungaa....

main muskurataa rahungaa, main muskurataa rahungaa...

Kho jaane do

main tumhaaraa hoon, khud ko bhi mere ho jaane do
doob jaao meri aankhon me, khud ko tum kho jaane do

ho baarish mohabbat ki kuch is tarhaa dono taraf
barse boonden nashili, tum khud ko bheego jaane do

aate ho mere khwaabon me tum har ghadi, isliye
mujhe kuch palon ke liye fir se so jaane do...

Kismat aur mohabbat

kismat... haan ye kismat hamaari, jaane kaise kaise khel khel jaati hai
kabhi to khushiyon kaa sailaab laa deti hai, kabhi barbaad kar jaati hai

chhin leti hai sab kuch humse, aur humein humse duur, bahut duur le jati hai
lagta hai jaise zindagi kuch thi hi nahi kabhi apni, maut khoobsurat nazar aati hai

kuch aisaa hi huwaa hamaare saath, humne bhi kiyaa thaa mohabbat kabhi kisi se
sochaa thaa bahut khoobsurat si koi cheez hai, bahut haseen hai, magar

sach ye nahi ... sach kuch aur hi hai... jo shaayad koi bhi dekh paataa nahi
kuch pal kaa saath, kuch apnaa sa lagne lagta hai, jo asal me hotaa apnaa nahi

aksar aisaa hi hotaa hai ki jab ret kaa mahal tut ke bikhar jaataa hai
sirf uske baad hi humein us mahal kaa kamzor buniyaad nazar aataa hai

bas dhokhaa hotaa hai aankhon kaa, ek sapnaa jo kabhi sach ho paataa nahi
tuut jaataa hai dil chaahne waalo kaa, jo jode se bhi kabhi jud paataa nahi...
Mushkil hai

ek bandhan, jo saare bandhano se mazboot hotaa hai
wo bandhan tod paanaa aasaan nahi hai, mushkil hai

ek rishtaa, jisne tumhe sab kuch diyaa jahaan mein
us rishte ko tod paanaa aasaan nahi hai, mushkil hai

kyaa huwaa agar saath meraa nibhaa naa paaye tum aaj
kuch waadon ke liye maa kaa dil todnaa naamumkin hai

wo maa jisne tumhe janam diyaa, tumko tum saa banaayaa
us maa kaa vishwaas tod paanaa aasaan nahi, mushkil hai

ek dil hi to hai meraa, jo paagal hai tumhe paane ke liye
samjhaanaa is dil ko aasaan to nahi, magar ye mumkin hai

main kar lungaa intezaar tumhaare liye ek janam aur sahi
is janam ko guzaarnaa tumhaare binaa aasaan naa hogaa, mushkil hai

kahaa thaa maine tumhe, agar yaad ho tumhe meri wo baat
main samjhaa letaa unhe, maanaa aasaan nahi, magar mumkin hai

tumne hi himmat nahi ki, dete meraa saath kuch pal aur to shaayad jeet jaate hum
is jahaan mein mohabbat mil paanaa mushkil hai, magar tum samjhe namumkin hai

ek baar mujhe milne diyaa hotaa, baat kar ke samhaa letaa unhe main
main tumhaari maa ko apni ma samajh ke samjhaa letaa, unkaa beta ban ke

shikaayat kuch nahi hai mujhe tumse, magar apni kismat pe hai jo kuch bhi hai
main kuch naa kar sakaa tumhaare liye, is dard ko mitaanaa is dil se mushkil hai

Sunday, February 10, 2013

Tum meri baahon me ho naa

dil ki dhadkano me ho, meri saanson me ho naa
mere dil ki sab hasratein, unn hasraton me ho naa

mere saanson ki garmi, tere hothon ki woh narmi
mehsoos kar rahaa hoon, tum meri baahon me ho naa

tumko hi chaahtaa hoon, tumko hi maangtaa hoon
banke haseen khwaab koi, meri aankhon me ho naa

dhundne ko jaaun kahaan, tum abhi mere paas ho
chaltaa hoon main jahaan, unn raahon me ho naa

udd rahi hai titliyaan, phoolon me nayaa rang hai
mehek jo ye aa rahi hai tum in hawaaon me ho naa

baarish jo aaj ho rahi hai, tum ho ye bataa rahi hai
tum aasmaan me faile huye ghani ghataaon me ho naa

ragon me behte ho tum, mere dil me to rehte ho tum
dekhun jis taraf bhi main, sab dishaaon me ho naa

chaahtaa hoon main jise wo shaqs mere saath hai
har lamhaa har ghadi tum meri mohabbaton me ho naa

Waqt ko thahar jaane do

nashaa saa chhaane lagaa hai mohabbat kaa
zaraa waqt ko aaj yahaan thahar jaane do

dooriyaan itni kam ho jaayen darmiyaan aaj
saanson ko saanson se hoke guzar jaane do

bheege lab tumhaare mere labon ko chhuulen
usi meethe zeher se aaj mujhe mar jaane do

haathon ki ungliyaan kare sharaarat thodi
pyaar ke sparsh se khudko nikhar jaane do

na rahe koi baat baaki dil me humhaare ab
dil ki hasratein saari poori kar jaane do

khuli baahen meri, tumhe bulaa rahi hain
aake inme khud ko tut ke bikhar jaane do
Main thahar saktaa hoon

main jaantaa hoon, samajhtaa hoon, mehsoos bhi kar saktaa hoon
kehtaa hoon mohabbat hai, magar tumhaari haalat bhi dekh saktaa hoon

yeh rishte, yeh bandhan, ye majbooriyaan kab tak rokenge humein
tum kaho rukne ko to main umra bhar ke liye bhi thahar saktaa hoon

kyaa huwaa jo waade kuch hamaare mohabbat ke adhure reh gaye
tumhe paane ki khwaaish me intzaar ek aur janam kaa kar saktaa hoon

shaayad tum bhool gayi magar mujhe ab bhi yaad hai tumhaari wo baat
mere pyaar ko sweekaar karte huye jo kahaa thaa tumhe bataa saktaa hoon

us din hi tumne kahaa thaa mujhse ki mohabbat ka anjaam shaadi zaruri nahi
tumhaare us baat ko main ek kyaa kai janmon tak bhi yaad rakh saktaa hoon

karne ko kar saktaa hoon main har kaam, seh lun har dard agar tum keh do
tumhaare liye lad loon apne khwaabon se aur main tut ke bikhar saktaa hoon
Kyun aisaa hotaa hai

kyun aisaa hotaa hai is jahaan mein mohabbat mein
hum jise chaahte hain woh kisi aur ko chaahtaa hai

aankhein band kar khwaab mein kisi ko dekhte hain
woh apne khwaabon me kisi aur se milne jaataa hai

sajaate hain apne sapne khushiyon ke jiske saath
woh thaam ke kisi aur kaa haath muskuraataa hai

tadapte rehte hain hum, duwaayein karte hain hum
par kyun har baar hamaaraa khwaab tut jaataa hai

kyaa kami hum me hai, yaa woh hi dekh paataa nahi
ye deewaanaa use har kisi se badh ke chaahtaa hai

Mujhe shikaayat nahi

duur zaroor hoon, magar, kaise kahun ki mujhe mohabbat nahi
yun naa do dosh khud ko tum, mujhe tumse koi shikaayat nahi

jaantaa hoon haalat tumhaari, ab kyaa hai majboori tumhaari
tumhe farz alag koi nibhaanaa hai, isliye koi shikaayat nahi

ek paththar hi hai, jo maine apne seene pe rakhaa huwaa hai
naa samajhnaa tumhaaraa kasur hai, mujhe koi shikaayat nahi

dil hi to hai, samjhaa lungaa use ki mumkin nahi hai anjaam
haste haste har dard seh lungaa par karungaa shikaayat nahi

shikaayat to hogi, magar mujhe shikaayat bas apne kismat se
mujhe is jahaan se, yaa jahaan waalon se koi shikaayat nahi
Woh humein bewafaa bataate rahe

kuch khaas thaa unme ki hum baar baar doobne ko unke paas jaate rahe
aur woh, saahil dikhaake har baar hamaari kashti ko hi doobaate rahe

humein aadat thi hum unki wafaa ke kisse jahaan bhar me sunaate rahe
unki mohabbat thi woh zaalim mehfilon me humko hi bewafaa bataate rahe

dekhaa hai humne kaise har shaqs se woh hans hans ke baat karte hain
aur hamaaraa paagalpan ki hum unko hastaa huwaa dekh muskuraate rahe

ab kehte hain humse ki hum qatraate hain unhe dekhke, unse milne se
kaise bataayein unhe ki judaa unse kaise hum ek ek din bitaate rahe

unkaa jahaan se guzarnaa hotaa, wahaan phool bichhaayaa thaa humne
unkaa ehsaan hi thaa ki woh phoolon ki sej ko naasoor bataate rahe

khud ko unki mohabbat samajh padhte rahe unke likhe geet mohabbat pe
naam kisi aur kaa thaa, wo naam hamaaraa hai hum khudko samjhaate rahe

kuch aisaa rishtaa judaa unse hamaaraa ki ab tak naa bhool paaye hain
hum unke jitne kareeb aate rahe, woh humse utni duriyaan badhaate rahe

Yeh gawaahi hai

hawaaon me yeh kaisi mehek hai aaj kuch alag si
shayaad mere mehboob ke aane ki yeh gawaahi hai

phoolon me bhi taazgi kuch nayi nayi si hai aaj
shaayad tumse milke aaye honge, yeh gawaahi hai

gagan ke aaj baadal dekho, shaayad baarish hogi
tumhaari aankhon me doobne ki to yeh gawaahi hai

har cheez is duniyaa ki tumhe chhuu ke sajti hai
unki khoobsurti itni badhti hui, yeh gawaahi hai

saboot maango agar mere mohabbat ki, kahun main
tumhe dekhke muskuraanaa meraa, yeh gawaahi hai
Khoobsurat saa ehsaas hogaa

dhundoge jo mohabbat bazaaron mein to kuch naa paas hogaa
tutenge bas khwaab, zindagi mein kuch bhi naa khaas hogaa

dhundoge jahaan bhar mein mile koi sachcha chaahne waalaa
naa milegaa kahin woh, bas tutaa huwaa saa vishwaas hogaa

mohabbat wo jaadu hai jo hawaaon mein ghull ke chalti hai
band kar ke aankhein dekhnaa, khoobsurat saa ehsaas hogaa

hone ko ho jaaye mohabbat yahaan har kisi se, har kisi ko
socho aisaa ho jaane se is jahaan me kitnaa mithaas hogaa

naa kisi ko dard hogaa, naa koi kabhi dard me doobaa hogaa
har kisi kaa chaahne waalaa, har lamhaa usi ke paas hogaa

Friday, February 8, 2013

Aao kahaani likh den

aao milke hum apne zindagi ki nayi kahaani likh den
hum ek dusre ke naam apni apni yeh jawaani likh den

do shabd tum likho, do shabd main likhun aaj yahaan
is tarhaa se hum apne mohabbat ki nishaani likh den

chaar din ki zindagi hai fir to maut aani hai sabko
kyun naa hum zindagi ko behtaa huwaa paani likh den

band kar ke aankhen doob jayen ek duje me is tarhaa
khud ko deewaanaa aur tum ko apni deewaani likh den

Wednesday, February 6, 2013

Tumse hasi koi khwaab nahi

pyaar kitnaa karte hain tumse, iskaa koi hisaab nahi
aur pyaar kyun karte hain tumse, iskaa koi jawaab nahi

yun to duniyaa saji hai khoobsurat phoolon se, magar
tumsaa khoobsurat aaj tak dekhaa maine koi gulaab nahi

chadtaa hai nashaa peene ke baad har kisi ko, magar
jo nashaa tumhaari aankhon me hai, aisi koi sharaab nahi

kyun aaj tak kisi ne pehchaanaa nahi mujhe tum se pehle
main bhi to ek insaan hoon, main cheez koi kharaab nahi

ab baaki kyaa rahaa kehne ko, meri baaton se samajh jaao
aankhon me saje hain bahut, magar tumse hasi koi khwaab nahi
Subah se shaam

tum kehte raho, main suntaa rahun
aur bas yunhi waqt guzar jaaye
kho jaaun main tumhaari awaaz me
aur subah se shaam ho jaaye...
Guzraa zamaanaa yaad nahi

hum kaise dhundenge tumhe, woh pataa puraanaa yaad nahi
hum to aise guum huye, humein apnaa thikaanaa yaad nahi

peene jaate the jahaan, humein woh maikhaanaa yaad nahi
hasi aankhon se pitey rahe, koi aur paimaanaa yaad nahi

bhoolen hain khud ko hum, tum ko bhoolaa hum paaye nahi
tumhe to sab kuch yaad hogaa, pyaar nibhaanaa yaad nahi

jaate jaate yeh to bataate, humse bhalaa kyaa bhool hui
tum pe hi marte the hum, kyaa tumhe deewaanaa yaad nahi

tumko paake, tumko chaahaa, tumse hi thaa sabkuch apnaa
tumse pehle kyaa the hum, woh guzraa zamaanaa yaad nahi

tum gaye to bhool gaye sab, kuch bhi ab naa baaki rahaa
sab ko apnaa dard sunaate, ab dard chhipaanaa yaad nahi

tumne kahaa thaa haste rehnaa, aansuon se dur hi rehnaa
dard me kaise haste hain, humein woh bahaanaa yaad nahi

tum hi suur, tum they sargam, tumse hi har geet hamaare
jabse tumse duur huye hain, koi geet puraanaa yaad nahi

ghum se humne rishtaa jodaa, aansuon ke saath rahe hum
honth hamaare kehte humse, humein muskuraanaa yaad nahi

Friday, February 1, 2013

Main saaraa zamaanaa bhool gayaa

dekhaa tumhaari aankhon ko, main apne ghar kaa thikaanaa bhool gayaa
doobaa kuch is qadar aankhon me ki main saaraa zamaanaa bhool gayaa

tumhaare kareeb aayaa thaa main kisi bahaane se yeh yaad hai, magar
tumne pyaar se chehre pe haath feraa, main woh bahaanaa bhool gayaa

apni zulfon ko khol ke jab mere chehre ko chhipaayaa thaa tumne kal
main bas tumhaaraa ban gayaa aur sab kuch main puraanaa bhool gayaa

mujhe seene se apne lagaa ke jab tumne ye kahaa main tumhaaraa hoon
haaye, kyaa kahun kaise, khud ko tumhaaraa ye deewaanaa bhool gayaa

tumhaare shabnami honth, tumhaari sharbati aankhen, kyaa kahun main
jab se tum ko dekhaa hai maine, yeh aashiq aashiqaanaa bhool gayaa

subah se shaam, shaam se raat, aur fir subah tak khoyaa rehtaa hoon
madhosh huwaa kuch is tarhaa mohabbat me ki hosh me aanaa bhool gayaa

Kyaa bataayein tumhe


kaise aaj kal hawaayein chhed jaati hain humein, kyaa bataayein tumhe
chuute hi hawaaon ke hum kaise mehek jaate hain, kyaa bataayein tumhe

kabhi tanhaayi me, apne kamre me, aankh band kar len to tum dikhti ho
baatein karte hain tumse kyaa kyaa us waqt hum, kyaa bataayein tumhe

sab kuch tumhaaraa kiyaa huwaa hai, tum hi ho hamaare haalat ke kaaran
ab hamaare haalaat kaise badle hain tumse milke, kyaa bataayein tumhe

pehle dar lagtaa thaa humein tanhaayi se, ab lagtaa hai ki tanhaa rahe
tum milti ho humse hamaari tanhaayi mein, ye baat kyaa bataayein tumhe

samundar samajhte hain, doob jaate hain hum tumhaari aankhon me jaanam
koshish karke bhi laakh hum nikal nahi paate, yeh kyaa bataayein tumhe

bheegte hain bin baadal ke aise baarish me hum jo mohabbat hai shaayad
jeewant moorat ho mohabbat ki, mohabbat kyaa hai, kyaa bataayein tumhe

kabhi jalte hain, kabhi bujhte hain, toofaan me kisi chiraag ki tarhaa
naa to jee paate hain naa hum mar paate hain, yeh kyaa bataayein tumhe

kuch karo aisaa tum, yaa to saansen laut aayen, yaa fir mar jaayen hum
ab sahi nahi jaati humse tadap apne dhadkano ki, kyaa bataayein tumhe

milte hain tumse, baatein karte hain, kuch pal me judaa ho jaate hain
paanaa chaahte hain tumhe umra bhar ke liye, hum kyaa bataayein tumhe

sab to jaanti ho tum, hamaari aadat ban chuki ho jabse mili ho hum se
yeh aadat badalnaa mushkil hai, ye sach hai, hum kyaa bataayein tumhe

paagal hain hum, ye zamaanaa kahaa kartaa thaa humse, magar aaj jaanaa
paagal to hain magar tumhaari mohabbat me, hum ye kyaa bataayein tumhe