Friday, April 30, 2010

Rishta - Ek ajnabi se

ye rishton ka bandhan hai bandhi ek dor se,
kuch khincha aapne, kuch humne apni or se,
bandh gaye ek dusre se hum aur aap yun,
jaise bandhi ho koi nauka kisi teer se,

lauta hoon zindagi ki ek aisi main mod se,
kuch koshish maine ki kuch aapne apni or se,
aapke aaane se jaise main aaj azaad hoon,
pehle meri zindagi bandhi thi zanzeer se,

aasuon k ghere me tha main dard se dabaa hua,
us ghadi mein aap aai banke bin maangi dua,
aap k muskaan se the dhul gaye har ghum mere,
aapke hi saath ka kuch is qadar asar hua,

apne har ghum ko chhipaake aap humein hasaate ho,
tanhaayion me chhipke aap aansoo bhi bahate ho,
sochta hoon main kabhi aapko laa muskaan du,
par aap apne dil ka haal husme to chhipaate ho,

kuch palon ki zindagi hai,phir maut k ghar jaana hai,
kyun apni aansuon se is jeewan ko yun bhigona hai,
ponchh lo aansu aap apne dafnaa do har dard ko,
us beete huye waqt ka ab to kuch bhi na hona hai,

zindagi k is safar mein pehchaan jao zindagi ko,
suraj ki har pehli kiran pe gungunao zindagi ko,
har pal aap muskurao bhul k guzre lamhon ko,
zindagi k sang rehkar aap aazmao zindagi ko.....

1 comment: