Friday, April 30, 2010

Meri fariyaad

na main rishtey maangta hoon, na koi bandhan maangta hoon,
ab to main bas kisi apne ka thoda sa apnaapan maangta hoon,

na kisi dard ki dawa maangta hoon, na main muskaan maangta hoon,
ab to main bas kisi hamsafar ki thodi si wafaa maangta hoon,

na main chaand mangta hoon, na main chaandni maangta hoon,
andheri raat me kisi chiraag ki thodi si roshni maangta hoon,

na main nadi maangta hoon, na main samundar maangta hoon,
bas apni pyaas bujhaane k liye do boond paani maangta hoon,

na main mohabbat maangta hoon, na main chaahat mangta hoon,
main apne liye kisi apne ka kuch pal ka saath mangta hoon,

na to jannat maangta hoon, na ye jahaan maangta hoon,
bas kuch sukoon ki saanse tujhse mere khuda maangta hoon,

maanga to bahut kuch tha tujhse, par kuch bhi na de saka tu,
yahi wajah hai ki ab main tujhse bahut kam maangta hoon,

agar tu ab bhi meri fariyaad poori na kar sake, to zaraa ye sun le,
main tujhse apni kabar k liye do gaz zameen maangta hoon,

kya wajah ho mere jeene ki agar mere paas mera maanga kuch na ho,
ae khuda tabhi main aaj tujhse bas apni maut ki bheek maangta hoon...

No comments:

Post a Comment