Tuesday, April 20, 2010

Kaash

uski kaali zulfen ghane baadal ki tarah thi,
kaash unse kabhi thoda pyaar to barsa hota,

uske gulaabi honth maano kamal ki tarah the,
kaash unse kabhi is kichad ko chhua hota,

dil k har dhadkan pe mere uska hi naam tha,
kaash kabhi usne meri dhadkano ko suna to hota,

aaj wo meri duniya se itni dur jaa basi hai,
kaash usne kabhi pichhe mudke dekha to hota,

main ye nahi kehta ki uski majboori nahi thi,
kaash usne mujhse ek baar sach to kaha hota,

saahil k kareeb laake usne yun chhoda mujhe,
kaash maine waqt pe tairna to sikhaa hota,

khud se bhi jyada mohabbat ki thi maine usse,
kaash meri mohabbat ka usko ehsaas to hua hota...

No comments:

Post a Comment