Saturday, April 24, 2010

Main itna bhi nirdayi nahi hoon

tere jaane se kuch aisa ho gaya hoon,
dil k hi haathon majboor ho gaya hoon,
kal tak tere kahe raaston pe chalta tha,
aur aaj tera hi gunehgaar ho gaya hoon,
jaane anjaane me kuch galtiyaan ki hongi,
us pal tu bhi to mere sang rahi hogi,
par priye, main tujhe gunehgaar keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

tu hi thi jisne kabhi mujhe hasna sikhaya,
tu ne hi kabhi mere dil ko dhadakna sikhaya,
jab mujhe mohabbat ho chali thi maut se,
tu ne hi us pal mujhe jeena sikhaya,
jis safar me kuch pal saath chali thi tu mere,
aaj wahaan main chal raha hoon akela bin tere,
par priye, main tujhe bewafaa keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

ab mujhe har haseen chehre se dar lagta hai,
jaane q ab mujhe mohabbat se bhi dar lagta hai,
kal tak har saans k sath tera naam liya karta tha,
ab to mujhe apni saanso se bhi dar lagta hai,
jis din se tune mera saath chhod diya,
mere hothon ne bhi muskurana chhod diya,
par priye, main tujhe uski wajah keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

har safar me manzil paana mumkin nahi hai,
har ek ko haasil milna mumkin nahi hai,
kuch khwaab adhure reh jaate hain,
har khwaab ka poora hona mumkin nahi hai,
jo khwaab tere sang jeene ka tha mera,
usme saath chhut gaya hai ab tera,
par priye, main tujhe bewafaa keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

ab mere dil me koi aarzoo na rahi,
kisi ko paane ki tamanna na rahi,
ji chuke hain apni zindagi tere sang,
ab aur jeene ki tamanna na rahi,
zindagi k har pal ko humne muskura k jiya,
ab tere naam se zeher bhi muskrura k piya,
par priye, main tujhe apna qaatil keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon...

No comments:

Post a Comment