Saturday, April 17, 2010

Meri Kahani

ek ajnabi chehra jiski aankon me thi ummeed nayi,
ek jhalak dikhlake humko hamare hosh uda gayi,

mili humein jab pehli baar , pehli nazar me hua tha pyaar,
unko ye ehsaas na thi ki hamara dil wo chura gayi,

yaaron se hum kehte the ki bahut pyaari hai jaan hamari,
dekhoge jab ek din usko jaan jaoge pasand hamari,

darte the kehne se unko jaane kya hoga anjaam,
unko ye maloom na tha ki wo thi khwaabon me hamari,

guzar gaye din mahine saal, bas apna dil tadapta rehta,
karta tha main unse mohabbat , par unse dil ki baat na kehta,

sang the mere sangi saathi, poochha karte mere dil ka haal,
unse saari baat chhipata , saamne unke chup hi rehta,

karta kabhi jo unse baat, tab unka bas ek sawaal hi rehta,
kahega kab tu dil ki baat, har pal tu yun chup q rehta,

chahti hongi wo bhi tujhko, unse tu sach q nahi kehta,
dost hai wo meri sabse pyaari, doston se main ye jhoot hi kehta,

behna hai meri chhoti pyari, usko thi pasand pasand hamari,
jaanti thi wo baatein saari, boli kab laoge bhabi hamari,

kaise kehta main sachchai, ki karti hai wo kisi aur se pyar,
kaise banau apni unko, wo hain kisi aur ki yaar,

behna kehti jaane do bhaiya, is baare me kehna bekaar,
fir bhi mera dil ye kehta , jaane kab kar paunga izhaar,

unke bahut kareeb bhi aaya, par dil ki baat main na keh paaya,
mazaak me kabhi izhaar kiya to uske baad bahut pachhtaya,

kaash kabhi main scah keh pata, karta hoon main unse pyaar,
jab bhi sochta hoon ye baat, kai baar mera dil bhar aaya,

khub bhejta sankshit sandesh, roz main unse baatein karta,
har pal main tadapta rehta, dil ki baat kehne se darta,

pyaar me unke shayar ban gaya, bheja karta kai sher unhe,
roz dekhta ek sapna naya, aur karta pyaar mai dher unhe,

ghadi aayi jab imtehaan ki, pyaar ka mere izhaar karne ki,
dara bhi tha main, sehma bhi, dar tha unke inkaar karne ki,

dost thi meri sabse pyaari, lagti thi mujhe sabse nyaari,
agar keh du main sachchi baat, tut na jaaye yaari hamari,

kehna chaha jab mere dil ne, tha wo bahut bade mushkil me,
kehdu unse main saari baat, ya rehne du sab apne dil me,

isi duwidha me unse keh dala, kar baitha izhaar dilwaala,
kai saalo jo dil me thi baat, ab unse maine keh daala,

kar liya jab maine izhaar, jeet gaya main saara sansaar,
khushi se main pagal ho utha, unhone bhi kiya tha iqraar,

kehlo ise meri nadaani, ya maan lo meri prem kahani,
unse pyaar hua tha mujhko, wahi thi mere dil ki raani....

1 comment:

  1. Its jst SUpreb, Mind Blowing..

    Bhut hi Kamal likha hai .. its true stroy ..

    Jst WOW!!!!!!!!!!

    ReplyDelete