Sunday, April 4, 2010

Chhod de mujhko satana

mitana to hai par asaan na hoga mohabbat mitana,
samjhega ye dil nahi aur na aasaan hoga tujhe bhulana,

is ghadi tujhe yaad karke aa raha hai humko to rona,
aaj teri yaad me hai ho raha ye dil deewana,

kaash tu ne ek baar mujhse kaha hota rukne ko,
aa main jaata paas tere hota na koi bahana,

tab tujhe ehsaas na tha, pyaar kya hai na ye pata tha,
aaj jab meri hai nahi tu, gunaah hai tera yaad aana,

dard leke dil diya tha, pyaar bas tujhi se kiya tha,
chhod k tu gayi hai jabse, sunsaan lagta hai zamana,

isliye to kehta hoon aaj, baahon me mere tu aaja,
rok na khud ko tu yun, main hoon tera ashiq purana,

dil hai mera, dard mera, ghum hain mere, hum hain tere,
laut aa mere paas tu, chhod de mujhko satana...

No comments:

Post a Comment