Friday, April 30, 2010

Meri fariyaad

na main rishtey maangta hoon, na koi bandhan maangta hoon,
ab to main bas kisi apne ka thoda sa apnaapan maangta hoon,

na kisi dard ki dawa maangta hoon, na main muskaan maangta hoon,
ab to main bas kisi hamsafar ki thodi si wafaa maangta hoon,

na main chaand mangta hoon, na main chaandni maangta hoon,
andheri raat me kisi chiraag ki thodi si roshni maangta hoon,

na main nadi maangta hoon, na main samundar maangta hoon,
bas apni pyaas bujhaane k liye do boond paani maangta hoon,

na main mohabbat maangta hoon, na main chaahat mangta hoon,
main apne liye kisi apne ka kuch pal ka saath mangta hoon,

na to jannat maangta hoon, na ye jahaan maangta hoon,
bas kuch sukoon ki saanse tujhse mere khuda maangta hoon,

maanga to bahut kuch tha tujhse, par kuch bhi na de saka tu,
yahi wajah hai ki ab main tujhse bahut kam maangta hoon,

agar tu ab bhi meri fariyaad poori na kar sake, to zaraa ye sun le,
main tujhse apni kabar k liye do gaz zameen maangta hoon,

kya wajah ho mere jeene ki agar mere paas mera maanga kuch na ho,
ae khuda tabhi main aaj tujhse bas apni maut ki bheek maangta hoon...

Rishta - Ek ajnabi se

ye rishton ka bandhan hai bandhi ek dor se,
kuch khincha aapne, kuch humne apni or se,
bandh gaye ek dusre se hum aur aap yun,
jaise bandhi ho koi nauka kisi teer se,

lauta hoon zindagi ki ek aisi main mod se,
kuch koshish maine ki kuch aapne apni or se,
aapke aaane se jaise main aaj azaad hoon,
pehle meri zindagi bandhi thi zanzeer se,

aasuon k ghere me tha main dard se dabaa hua,
us ghadi mein aap aai banke bin maangi dua,
aap k muskaan se the dhul gaye har ghum mere,
aapke hi saath ka kuch is qadar asar hua,

apne har ghum ko chhipaake aap humein hasaate ho,
tanhaayion me chhipke aap aansoo bhi bahate ho,
sochta hoon main kabhi aapko laa muskaan du,
par aap apne dil ka haal husme to chhipaate ho,

kuch palon ki zindagi hai,phir maut k ghar jaana hai,
kyun apni aansuon se is jeewan ko yun bhigona hai,
ponchh lo aansu aap apne dafnaa do har dard ko,
us beete huye waqt ka ab to kuch bhi na hona hai,

zindagi k is safar mein pehchaan jao zindagi ko,
suraj ki har pehli kiran pe gungunao zindagi ko,
har pal aap muskurao bhul k guzre lamhon ko,
zindagi k sang rehkar aap aazmao zindagi ko.....

Thursday, April 29, 2010

Ishq se ishq hai humein

kuch faasle yun kam huye tere mere darmiyaan,
kuch kadam the tum chale kuch kadam hum chalen,

ishq ka iqraar jab tumne kiya humse sanam,
dil-o-jaan apni sanam tumpe mitaane hum chalen,

kuch bandishein thi is jahaan ki, kuch bandishein thi waqt ki,
aaj wo saari bandishon ko yun mitaane hum chalen,

raah me biche ho kaante chaahe sholon pe chalna pade,
haath me tera haath leke har safar pe hum chalen,

ashq se tha ishq humein ab ishq se hai ishq humein,
kal maut mehbooba thi apni aaj zindagi sang hum chalen...

Fir kho gaya ek baar

aaj bhi tere chehre ko dekh muskuraata hoon main,
bhoola nahi hoon main tujhe , bas lagta hai ki bhool gaya,
tere masoom se chehre pe main aaj fir se kho gaya hoon,
teri aankhon k bich ki wo bindi aaj bhi mujhe yaad hai,
morni banti thi kabhi , kabhi phool bhi banti thi tu,
teri wo masoom adaayein aaj bhi mujhe yaad hain....

Wednesday, April 28, 2010

Yaadein jaise nadi ka paani

yaadein hain jaise nadi ka paani,
dono ki hai ek jaisi kahani,
apni bahaaw me baha k le jaati,
lagti hai kabhi wo badi suhaani,

nadi ka qahar tab pata chalta hai,
jab usme kabhi baadh aata hai,
yaadein bhi hoti hain baadh k jaisi,
apne sang humein baha k le jaata hai.....

Yaadein

yaadon ko yun na aane do ki dam nikal jaye,
kisi ki yaadon me khoke q zindagi ko rok le,
jinhe jaana tha wo to jaa chuke humse dur,
ab kyun unke liye hum apni saanso ko rok le...

Tuesday, April 27, 2010

Mujhe insaan se mohabbat hai

na chehre se mohabbat hai, na umar se mohabbat hai,
main insaan hoon mujhe insaan se mohabbat hai,

chehra to dhokha hai, rang me kya rakha hai,
mujhe chehre k pichhe chhipe insaan se mohabbat hai,

umar pe kiska zor hai, har lamha ye badhta jaata hai,
mujhe badhti umar k pichhe chhipe us dil se mohabbat hai,

koi sikh hai koi isaa hai koi hindu koi musalmaa hai,
mujhe bhagwaan k banaye har insaan se mohabbat hai....

Achcha lagta hai

hum ye nahi kehte ki hamare paas samundar ho,
par koi ek boond pani pila de to achcha lagta hai,

hum ye nahi kehte ki chaand aur suraj apne ho,
par koi ek chiraag jalaa de to achcha lagta hai,

hum ye nahi kehte ki hamare aas paas khushiyon k mele ho,
par koi pyaar se muskura de to achcha lagta hai,

hum ye nahi kehte k hamare aas paas apno ki bheed ho,
par koi pyaar se apna keh le to achcha lagta hai,

hum ye nahi kehte hi hum pe hamesha pyaar ka saaya ho,
koi ek baar pyaar se haath fer de to achcha lagta hai,

hum ye nahi kehte ki koi hamare dard me malham laga de,
par koi bas hamari kahaani sun le to achcha lagta hai,

hum isliye nahi likhte ki taaliyon ki gadgadahat ho,
par koi pyaar se 'Wah' keh de to achcha lagta hai...

Kahaani - Garib ki

maati me hai janma wo, maati se usey mohabbat hai,
shaan-o-shaukat dhan sampatti uske liye sab maati hai,

jalti hui dopahari me wo aag k jaise jalta hai,
jamti hui sardi me wo thand se bhi tadapta hai,

uske liye na chhat hai koi, na thand ke liye koi kambal hai,
uske liye bas maati hai sab kuch, na maati se alag koi chahat hai,

bachpan me wo maati me khela, jawani bhi uski maati hai,
maati se hi nahata hai wo, maati hi uske liye paani hai,

maati me sota, maati hi khaata, uska aisa har din jaata,
maati bina na to chain hai usko, na usko koi raahat hai,

kisi k liye hai mehlon sa ghar kisi k liye bas maati ka dher,
dard se jab wo tadapta hai to dawa bhi uski maati hai,

jitni ho sardi, jitni ho garmi, jitna ho barish ka paani,
har mausam me maati hai humdum, uski to yahi kahani hai,

sochta hoon ye kabhi kabhi main, mujhme aur usme fark q hai,
mere liye to paisa hai sab kuch, uske liye sab maati hai,

maati ka hai putla wo, maati hi uska jeewan hai,
poojta hai wo maati ko hi, maati hi uska bhagwaan hai,

maati me hi janam hota hai aur maati me milke reh jaata hai,
maati se hi shuru ye kahaani maati pe khatam ho jaata hai...

Monday, April 26, 2010

Mohabbat ki baarish kar de

teri judaai k aag me yun jal rahe hain hum,
na to jee paate hain na to mar pate hain hum,
tu zaraa aake humpe mohabbat ki baarish kar de,
teri raahon pe aankhen bichhaye baithe hain hum...

Kuch sukhey phool hain bas...

pyaar bhare khat na rahe, na mehek bhare phool rahe,
kuch tukde kaagaz k aur kuch sukhey phool hain bas,

kal tak jab wo thi meri, hum har pal khush hi rahe,
kuch uski yaadein hain ab aur kuch zaalim dard hai bas,

pyaar bhara dil tha ye kal, aaj isme kuch bhi na raha,
kuch khule ghaaw hain ab aur kuch harey zakhm hain bas,

ab dil me na mohabbat hai, na pyaar bhare ehsaas rahe,
kuch jhooti kasme hain aur kuch toote vaade hain bas,

khwaab tha ye, jeewan k har pal me saath uska hal pal ho,
kuch tute huye sapne hain ab aur kuch adhure khwaab hain bas,

na zindagi se pyaar hai ab , na jeene ki koi chaah rahi,
kuch bachi hui saanse hain aur kuch bache dhadkan hain bas,

ab humse na koi ghazal bana, na laal koi gulaab raha,
kuch bikhre huye alfaaz hain aur kuch sukhey phool hain bas...

Tanha reh jaate hain

safar me zindagi ke kai humsafar mil jaate hain,
kuch saath chalte hain kuch pichhe reh jaate hain,
humne bhi to chaha tha saath kisi k chalna par,
kuch palon k saath k baad bas tanha reh jaate hain...

Sunday, April 25, 2010

Chahat - Maut k baad bhi

kaise kahun ki main aaj bhi tujhe chahta hoon,
hothon ki wo narmi ko aaj bhi main chhoota hoon,
raat ki tanhaayion mein jab tu tanha si hoti hai,
teri har dhadkan me teri saanso me main hota hoon,

chahta to ab bhi hu ki tere kareeb main aa jaun,
par sharir hi nahi hai to parchhayi kahan se laun,
tujhse juda ho k maut se mohabbat ho gayi thi,
maut k baad ab main apni zindagi kahaan se laun...

Tomaar dekha paai na ( Bengali )

aaj aami ekaa ei prithivi te, nijer kao k paai na,
hazaar maanusher bheede aami nije k khuje paai na,
kokhono tumi bhalobeshe aamake bedhe rekhechhile,
aaj shei bhalobaasha keno aami kothao khuje paai na,

aami tomaake kede tomaar kaach theke aante chai na ,
tomaar khushir saagore aami koshto aante chai na,
hisngshaar shei aagune aami nije k porate chai na,
taai aaj aami tomaar khushir shaamne eshe darai na,

che chhi tomake aar kichhu na, bhogobaan aami chai na,
ei tuku shudhu cheo janina keno je tomaake paai na,
bhalobasha kono oporaadh noye sheta tumio jano to,
tobuo keno aasho na tumi, keno tomaar dekha paai na....

Lagta hai

kal tak mera dil to bas mera tha,
ab uska bhi rukh teri or lagta hai,

in aankhon me itni baarish hai aaj,
aur dil me baadal ghanghor lagta hai,

kal tak bharosa tha chahat pe humein,
ab to chahat bhi humein chor lagta hai,

kal tak sangeet jeewan tha mera,
ab to ghazal bhi shor lagta hai,

meri saanso ka bandhan tujhse tha,
ab jaise koi tuta hua dor lagta hai,

tere hone se asaan zindagi thi meri,
ab to jeene me bhi zor lagta hai,

maang lu khuda se tujhe main apne liye,
par ab to wo bhi teri or lagta hai....

Muskurata chala jaunga

tanha chalta hoon main tanha chalta jaunga,
kal is jahan se bhi tanha chala jaunga,

kuch khushiyaan hain to kuch ghum hain yahaan,
unko saath liye main chalta chala jaunga,

kise mila hai kisika saath is duniya mein,
apne tanhayiyon me muskurata chala jaunga...

Saturday, April 24, 2010

Main itna bhi nirdayi nahi hoon

tere jaane se kuch aisa ho gaya hoon,
dil k hi haathon majboor ho gaya hoon,
kal tak tere kahe raaston pe chalta tha,
aur aaj tera hi gunehgaar ho gaya hoon,
jaane anjaane me kuch galtiyaan ki hongi,
us pal tu bhi to mere sang rahi hogi,
par priye, main tujhe gunehgaar keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

tu hi thi jisne kabhi mujhe hasna sikhaya,
tu ne hi kabhi mere dil ko dhadakna sikhaya,
jab mujhe mohabbat ho chali thi maut se,
tu ne hi us pal mujhe jeena sikhaya,
jis safar me kuch pal saath chali thi tu mere,
aaj wahaan main chal raha hoon akela bin tere,
par priye, main tujhe bewafaa keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

ab mujhe har haseen chehre se dar lagta hai,
jaane q ab mujhe mohabbat se bhi dar lagta hai,
kal tak har saans k sath tera naam liya karta tha,
ab to mujhe apni saanso se bhi dar lagta hai,
jis din se tune mera saath chhod diya,
mere hothon ne bhi muskurana chhod diya,
par priye, main tujhe uski wajah keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

har safar me manzil paana mumkin nahi hai,
har ek ko haasil milna mumkin nahi hai,
kuch khwaab adhure reh jaate hain,
har khwaab ka poora hona mumkin nahi hai,
jo khwaab tere sang jeene ka tha mera,
usme saath chhut gaya hai ab tera,
par priye, main tujhe bewafaa keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

ab mere dil me koi aarzoo na rahi,
kisi ko paane ki tamanna na rahi,
ji chuke hain apni zindagi tere sang,
ab aur jeene ki tamanna na rahi,
zindagi k har pal ko humne muskura k jiya,
ab tere naam se zeher bhi muskrura k piya,
par priye, main tujhe apna qaatil keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon...

Friday, April 23, 2010

Bewafa mohabbat

chahat gulaab ki humein kaanto pe chala gayi,
roshni ki chaah humaara ghar jala gayi,
toofaan me hum nikle the samundar ki sair karne,
beraham toofaan humaari kashti hi dooba gayi,

chahat ek shamaa ki humein parwaana bana gayi,
pyaar pal bhar ka deke wo mere dil ko jala gayi,
barso se hum pyase the mohabbat k liye,
humaari wo pyaas aaj bewafai bujha gayi...

Ab aur nahi seh sakta main

aaj bhi meri dhadkane kisi ki chaahat k liye bekarar hoti hain,
armaano ka gala ghontke meri saanse bhi tanhaayi me roti hain,

chahat nahi hai aaj dil ko kisi husn ki malika se dil lagane ki,
bahut saha hai, ab taaqat nahi hai is dil ko aur dard sehne ki,

mohabbat k naam pe zamaane ne mere dil se khela hai,
par har berukhi ko is dil ne muskuraake jhela hai...

Mera desh mujhe yaad aata hai

jinme mera bachpan beeta, aaj wo galiyaan yaad aati hai,
jinme mera yowan beeta, aaj wo ghadiyaan yaad aati hain,

jin pedo ki shaakhon me hum bachpan me khela karte the,
un shaakhon ki yaad me ab hum aksar roya karte hain,

peele sarso k kheton ki wo khushboo humko yaad aati hai,
maa k haath k bane khaane ki aaj bhi humko yaad aati hai,

chhoot gaya wo bachpan mera, chhoot gayi wo jawani meri,
chhoot gaya wo aangan mujhse, chhoot gaya mera desh bhi mujhse,

apne ghar jaane k liye ab barso se hum taras rahein hain,
desh hai mera bharat pyara jiske liye hum tadap rahe hain,

kaash koi farishta aaye, mujhko mere ghar le jaaye,
mere hothon ki muskaan wo mere hothon ko de jaaye....

Kuch pal chain se so lu

tu kahe to main aaj waqt ko yahin rok lu,
tere sang zindagi k kuch pal to main ji lu,
kya pata kal ye khwaab in aankhon me na rahe,
tere baahon me kuch pal chain se main so lu...

Aaj bhi meri maa roti hai

jis din main is duniya me aayi,
roti hui aankhen thi meri maa ki,
ghum k nahi wo khsuhi k the aansun,
aankhen tab nam thi meri maa ki,
us din se roti hai meri maa,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

bachpan me mujhe chalna sikhaya,
maa ne hi maa kehna sikhaya,
mujhe agar kabhi chot lag jaati,
tab meri maa ki aankh bhar aati,
dard se tab meri maa roti thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

jab padhne ko college jaana tha,
aur rehne mujhe hostel jaana tha,
maa ki gili aankhon ne mujhko,
us roz bhi rokna chaha tha,
us din meri maa royi thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

jis din main bani thi dulhan,
tha mujhko duje ghar jaana,
saath apni maa ka chhodke,
tha ek naye ghar ko apnana,
us din meri maa royi thi,
aaj bhi nam aankhen hain uski,

sochti hoon kabhi kabhi main,
kya uska aansu se hai naata,
aaj main usse dur hoon itna,
tab bhi meri maa roti hai,
janam se mere roti rahi hain,
aaj bhi aankhen nam hain uski,

aaj main tere paas nahi hoon,
maa pochhle aaj aansu tu apne,
ek roz mujhe bhi to hai maa banna,
par chahti nahi hoon main yu rona,
ye baat sun k maa fir royi thi,
aaj bhi aankhen nam hain uski...

Thursday, April 22, 2010

Mera bharat mahaan hai

bachpan me kabhi suna tha ki mera bharat mahaan hai,
aajkal koi ye nahi kehta ki sach mein desh mahaan hai,

bhool k jung san sattawan ki bhool gaye sab balidaan hai,
dharm k naam pe baant k aaj ek bharat ek pakistan hai,

kal tak ye suna tha ki hamara ek hi hindustan hai,
aaj usi ke tukde hoke koi punjab koi rajasthan hai,

aaj dharm k naam pe uth raha har taraf toofaan hai,
koi hai hindu, koi hai sikh, koi hota musalman hai,

koi bible, koi bhagwat geeta , kisi ka naam quraan hai,
kehne ko sab kitaaben hain par sabka alag alag naam hai,

dharam k naam pe bhed bhaw q karta aaj insaan hai,
ek gagan k niche hi rehte, sabka ek bhagwaan hai,

insaano k khoon ka pyaasa ban gaya aaj insaan hai,
kal tak jisko nar kehte the aaj bana haiwaan hai,

kal tak naari maata thi, aaj karte uska apmaan hain,
zulm-o-sitam wo seh nahi paati, deti wo apne praan hai,

takshashila naalanda tha kal, aaj yahaan agyaan hai,
pita ki jama punji ko lutana aaj bachcho ki shaan hai,

chhote me kabhi suna tha humne maata pita bhagwaan hain,
aaj vriddhashram me rakhte hain unko aise to santaan hain,

bin vyaahe hi maa ban jaati aaj ki naari mahaan hai,
pyaar k naam pe chhal karna aaj k yuva ki pehchaan hai,

kahin pe chori, kahin pe loot, kahin pe qatl-e-aam hai,
aasmaan me khauff k baadal subah se lekar shaam hai,

kahin pe bhasha, kahin pe jaati, kahin dharm k naam hai,
aaj insaano k zulm ka shikaar hota sirf insaan hai,

kabhi kabhi to sochta hoon main ki badal gaya insaan hai,
itni nafrat, itna vinaash, usi ka to pramaan hai,

aaj nafraton ki aag me dekho jal raha hinduatan hai,
aap hi kaho main kaise kahun ki mera desh mahaan hai...

Wednesday, April 21, 2010

Mujhe pila de aaj

teri nasheeli aankhon se tu mujhe pila de aaj,
tere kamal se hothon se apni pyaas bujha lu aaj,
teri julfon k baadal se tu pyaar ka jal barsade,
main usi baraste paani me ji bhar k naha lu aaj...

Q fir se pyaar nahi hota

tute huye mere dil ko ab kisi pe aetbaar nahi hota,
kya kahen tumse humein ab q fir se pyaar nahi hota,
chahta hoon main tumhaari doobti kashti ko sahara de du,
par jaane q fir se haath badhaane ko dil tayyar nahi hota...

Koi apna mil hi jaata hai

duniya ko chhoti na samjho ye bahut badi hai mere dost,
yahaan hazaaron ki bheed me koi apna mil hi jata hai,
kya hua agar kisi ne tumhaara dil kabhi tod diya to,
ek k chale jaane k baad dusra humsafar mil hi jaata hai,

ye na socho ki uske jaane se tumne kya khoya hai,
chaahne se to yahaan jannat bhi mil hi jaata hai,
kabhi sochte hain ki agar aaj wo hamare sath hote,
kabhi sochte hain ki jo paas hai wo dur ho hi jaata hai,

tum ye na socho ki kal tak uske rehne se jahaan haseen thi,
agar koshish karo to jungle bhi jannat ban hi jaata hai,
galti hamari hai ki hum aankhen kholke dekhte nahi hai,
warna khushiyon ka samundar nazron k saamne aa hi jaata hai...

Tuesday, April 20, 2010

Kaash

uski kaali zulfen ghane baadal ki tarah thi,
kaash unse kabhi thoda pyaar to barsa hota,

uske gulaabi honth maano kamal ki tarah the,
kaash unse kabhi is kichad ko chhua hota,

dil k har dhadkan pe mere uska hi naam tha,
kaash kabhi usne meri dhadkano ko suna to hota,

aaj wo meri duniya se itni dur jaa basi hai,
kaash usne kabhi pichhe mudke dekha to hota,

main ye nahi kehta ki uski majboori nahi thi,
kaash usne mujhse ek baar sach to kaha hota,

saahil k kareeb laake usne yun chhoda mujhe,
kaash maine waqt pe tairna to sikhaa hota,

khud se bhi jyada mohabbat ki thi maine usse,
kaash meri mohabbat ka usko ehsaas to hua hota...

Uski yaad aa jati hai

main yaad nahi karta uski yaad aa jati hai,
duniya ki har cheez uski yaad dilaati hai,
main apne dhadkano se duri kaise banaun,
meri har dhadkan uski yaad dilati hai...

Tumhaari nazar nahi padti

kaash tum is gulaab ko apne aankhon k saamne rakhti,
use dekh ke mujhe tum kabhi kabhi yaad to karti,
par is gulaab to tumne apne baalon me lagaya hua hai,
jahaan bhoole se bhi tumhaari nazar nahi padti...

Tanha reh jaate hain

zindagi k kuch pal aise hote hain,
jo dil me bas dard de jaate hain,
chahke bhi hum un palo ko bhula nahi paate,
un yaadon k sang hum tanhaa reh jaate hain...

Nahi hota

is jahaan me har rishta khoobsurat nahi hota,
kahin pyaar to kahin jazbaat nahi hota,

har subah ek nayi umeed liye jaagte hain hum,
par shaam tak har khwaab poora nahi hota,

kahin zameen to kahin aasmaan nahi hota,
har kisi ki kismat me yahaan haasil nahi hota...

Pyaar samajh lete hain

chaar mulaquaton ko hum pyaar samajh lete hain,
uski muskaan ko hum iqraar samajh lete hain,
wo to haal-e-dil bayaan karti hi nahi kabhi,
uski khaamoshi ko hum pyaar samajh lete hain...

Monday, April 19, 2010

Mere haathon me tera haath hoga

judai k har gham ko hanske sahenge,
agar yaadon me tera saath hoga,
duniya laakh kar le koshish par,
ek din mere haathon me tera haath hoga...

Sunday, April 18, 2010

Ek gulaab ki kahani

kal tak jo gulaab tere pyaar ko mehkaya karta tha,
aaj wo kisi kitab me dabkar ek adhuri kahani sunata hai,
hum to uski laali se tere hothon ko rangna chahte the,
usi ke laal rang se tera maang bharna chahte the,
kal tak jiski khushboo se mehekta tha aangan mera,
hum uski khushboo se saara jahaan mehkana chahte the,

wo gulaab jo suraj ki paawan dhup se dhul k aaya tha,
aaj murjhaake beete lamho ki katha sunaya karta hai,
duniya k saare rishte todke tujhko apnana chahte the,
hum teri mohabbat se saara jahaan rangna chahte the,
kal tak jiske khilne se chehra khil jaata tha tera,
hum tere har pal ko waisa khilta dekhna chahte the,

wo gulaab jo tune ek roz haath me mere thamaya tha,
bhule bhatke ab to bas wo teri yaad dilata hai,
hum to uski pankhudiyon se ehsaas jagana chahte the,
uski hi narmi se tere gaalon ko sehlaana chahte the,
kal tak jiske laal rang se holi rangta tha mera,
hum to usi rang se har tyohaar ko rangna chahte the,

kal tak jo gulaab hamare khushion ki gaatha sunata tha,
aaj wo kisi kitaab me dabke ghum k ghazal sunata hai,
hum to uske laal rang se pyaar ko rangna chahte the,
jeewan k har pal me tere saath chalna chahte the,
kal tak tere hone se na dard se rishta tha mera,
aaj tere na hone se bas wo hai jo na chahte the...

Asaan na hoga

tujhse dur jaana asaan na hoga tere aane k baad,
tujhe bhulana asaan na hoga tujhe paane k baad,
mere har haasil pe ab tera naam hai,
kisi aur ko chahna asaan na hoga tujhe chahne k baad...

Pyaar ka bandhan

pyaar se mazboot koi bandhan nahi, na tute na toda jaaye,
par ek baar wo tut jaaye to, na jude na joda jaaye...

Main jhoota tha

na wo jhooti thi na unka ilzaam jhoota tha,
main hi tha jo kisi baat pe unse rootha tha,
chhod diya maine unhe zindagi ki majdhaar me,
meri har kasam mera har waada jhoota tha...

Saturday, April 17, 2010

Mohabbat aur yakeen

humein na maloom tha ki ishq itna mushkil hoga,
humein na maloom tha ki doori itna dard degi,
hum to samajh rahe the ki pyaar ek khel hai jeewan me,
kise pata tha ki mohabbat hi ek din hamari jaan legi,

darte nahi hain hum jaan dene se,
par darte hain hamari jaan bhi ye baat jaan legi,
kuch kiye bina hum agar saath chhod jaate hain,
hamari jaan bhi humein bewafaa maan legi,

jeewan me ek pyaar hi to hai jispe humein aetbaar hai,
yakeen hai ek din wo hamara haath thaam legi,
lag jayegi gale hamare, saanso me saanse sama jayengi,
uski dhadkane bhi tab muskuraake bas hamara naam lengi...

Jeewan ki sachchai

waqt bhi jaane kyun kaise kaise naye khwaab dikhata hai,
apno ko gair banata hai sur dur waalo ko kareeb le aata hai,
waqt ka mazaakh samjhe ise ye maaan le jeewan ki sachchai,
ek pal me itna kareeb le aata hai ki agle pal ki judai se dar lagta hai...

Waqt kam pad rahe hain

hum shabdon se bayaan karna chahte hain dil k arma,
par kya karen shabd kam pad rahe hain,
jab saath hote ho to rangeen bana dete ho sama,
par kya karen milan k wo waqt kam pad rahe hain...

Bewafaa

apni shikast par to har koi aansu bahata hai,
kuch aise hote hain jo apni jeet par bhi rote hain,
gham-e-bewafai apne jaane-e-jigar ko deke,
aansuon se maathe pe likha hua naam "bewafa" dhote hain...

Khamoshi si chhai hai

aaj is jahaan me itni khamoshi si kyun chhai hai,
tu kya jaane tere bagair yahaan kitni tanhaayi hai,
hum to tujhe dar dar talash kar rahen hain,
lagta hai arse se tere saanso ki aahat tak nahi aayi hai...

Judai ka ghum na sehna pade

humein khud se dur hi na kijiye ki intzaar karna pade,
hamare yaad me kabhi bhi aapko ghadiya na ginna pade,
humein hamesha aap apne dil me chhipake rakhiye,
kabhi bhi aapko hamari judai ka ghum na sehna pade...

Meri Kahani

ek ajnabi chehra jiski aankon me thi ummeed nayi,
ek jhalak dikhlake humko hamare hosh uda gayi,

mili humein jab pehli baar , pehli nazar me hua tha pyaar,
unko ye ehsaas na thi ki hamara dil wo chura gayi,

yaaron se hum kehte the ki bahut pyaari hai jaan hamari,
dekhoge jab ek din usko jaan jaoge pasand hamari,

darte the kehne se unko jaane kya hoga anjaam,
unko ye maloom na tha ki wo thi khwaabon me hamari,

guzar gaye din mahine saal, bas apna dil tadapta rehta,
karta tha main unse mohabbat , par unse dil ki baat na kehta,

sang the mere sangi saathi, poochha karte mere dil ka haal,
unse saari baat chhipata , saamne unke chup hi rehta,

karta kabhi jo unse baat, tab unka bas ek sawaal hi rehta,
kahega kab tu dil ki baat, har pal tu yun chup q rehta,

chahti hongi wo bhi tujhko, unse tu sach q nahi kehta,
dost hai wo meri sabse pyaari, doston se main ye jhoot hi kehta,

behna hai meri chhoti pyari, usko thi pasand pasand hamari,
jaanti thi wo baatein saari, boli kab laoge bhabi hamari,

kaise kehta main sachchai, ki karti hai wo kisi aur se pyar,
kaise banau apni unko, wo hain kisi aur ki yaar,

behna kehti jaane do bhaiya, is baare me kehna bekaar,
fir bhi mera dil ye kehta , jaane kab kar paunga izhaar,

unke bahut kareeb bhi aaya, par dil ki baat main na keh paaya,
mazaak me kabhi izhaar kiya to uske baad bahut pachhtaya,

kaash kabhi main scah keh pata, karta hoon main unse pyaar,
jab bhi sochta hoon ye baat, kai baar mera dil bhar aaya,

khub bhejta sankshit sandesh, roz main unse baatein karta,
har pal main tadapta rehta, dil ki baat kehne se darta,

pyaar me unke shayar ban gaya, bheja karta kai sher unhe,
roz dekhta ek sapna naya, aur karta pyaar mai dher unhe,

ghadi aayi jab imtehaan ki, pyaar ka mere izhaar karne ki,
dara bhi tha main, sehma bhi, dar tha unke inkaar karne ki,

dost thi meri sabse pyaari, lagti thi mujhe sabse nyaari,
agar keh du main sachchi baat, tut na jaaye yaari hamari,

kehna chaha jab mere dil ne, tha wo bahut bade mushkil me,
kehdu unse main saari baat, ya rehne du sab apne dil me,

isi duwidha me unse keh dala, kar baitha izhaar dilwaala,
kai saalo jo dil me thi baat, ab unse maine keh daala,

kar liya jab maine izhaar, jeet gaya main saara sansaar,
khushi se main pagal ho utha, unhone bhi kiya tha iqraar,

kehlo ise meri nadaani, ya maan lo meri prem kahani,
unse pyaar hua tha mujhko, wahi thi mere dil ki raani....

Aap hi batao

kabhi sochte hain aapke liye hasi k do pal nikalenge,
kabhi sochte hain aapko hum apni godi me sulayenge,
kya kahen aap ho ki q humse itne dur dur rehte ho,
aap hi kaho hum apne dil k armaano ko kaise sambhalenge...

Khwaish thi is dil ki

khwaish thi is dil ki aapko ek jhalak dekhne ki,
izhaar-e-mohabbat k baad ek baar aapse milne ki,
jaane kaise dikhti hogi, jaane kaisi lagti hogi,
tamanna hai ji bharke aapke roop ko niharne ki...

Hum mohabbat karte hain

is dil me dard bahut hai, apno ko batane se darte hain,
chahe koi laakh karle zid , batane se aitraaz karte hain,
unse batana chahte hain, par unka dil dukhane se darte hain,
wo kuch bhi samjhe, par hum unse bepanaah mohabbat karte hain....

Koi aur kaise hoga

dil jo aapka na hua to hamara kaise hoga,
sanson k aapke na chhua to ehsaas kaise hoga,
hum to aapki yaadon ko seene se lagaye baithe the,
khwaabon me aap na huye to koi aur kaise hoga....

Baadal

kaale baadal, gore baadal,
saundarya ka chadar odhe baadal,
aate baadal , jaate baadal,
pyaar k geet gaate baadal,

pyaare baadal, chanchal baadal,
dekho dekho paagal baadal,
mera hai bas itna kehna ,
ek baar tu barasja baadal....

Kaayar hain wo

kaayar hain wo jo apne pyaar ka izhaar hi na kar paaye,
darte hain kahin unki dosti tinko me bikharke na reh jaaye,
chahenge har pal hamesha ki kisi ko unke pyaar ka ehsaas ho,
chaahe isi intzaar me unki poori zindagi nikal jaaye...

Kaise jiye

taras jaate hain hum deedar-e-yaar k liye,
yaar bina jiye bhi to kaise jiye,
saanse to tham jaati hain tanhaayi mein,
yaadon k aansu piye to kaise piye...

Kabhi kabhi

aaankhon se aansu ka ek katra baha hai abhi abhi,
tere yaadon ka ek jhaunka chhooke gaya hai abhi abhi,
hum to bhula baithe the saare rishto ko is jahaan se,
par tere pyaar ka ehsaas hai jo hume rula deta hai kabhi kabhi...

Main aur meri tanhaayi

main aur meri tanhaayi aksar ye baatein karte hain,
pyaar to hum dono karte hain par kehne se jaane q darte hain,
sach to ye hai ki wo bhi humse mohabbat karte hai,
aur jhoot ye bhi nahi ki dilo jaan se hum bhi unpe marte hain...

Chahat

chahat ek ehsaas hai is jahaan me dil milaane k liye,
chahat k siwa is jahaan me jiye bhi to kaise jiye,
shart thi hamari ki na bhulayenge ek duje ko,
pal do pal me hi tum humein bhula k chal diye,

jaane kyun hamari chahat ka tumne ye sila diya,
zamane bhar k ghamo ka sagar humein dila diya,
yaad aati hai tumhaari ruswaaiyaan aaj bhi,
jinhone mujhe mere maut ka saudagar bana diya...

Ek tere mil jaane k baad

zindagi ko jeene ki wajah mil gayi ek tere mil jaane k baad,
ek bhatke musafir ko sahi raah mil gayi ek tere mil jaane k baad,
maano samundar mein kashti thi zindagi meri,
us kashti ko saahil mil gayi ek tere mil jaane k baad...

Dil ka dard

muskaan teri mere dil kya asar karti hai hum bata nahi sakte,
na ho wo to zakhm kitne gehre karti hai hum dikha nahi sakte,
dikha sakte hain hum tujhe apni har muskaan har khushi,
chah k bhi hum tujhe apne dil ka dard dikha nahi sakte...

Zindagi meri zindagi hai tumse

zindagi meri zindagi hai tumse,
mujhe bepanah mohabbat hai tumse,
jeene k liye saanse jaruri hain,
par meri saanse to judi hain tumse,

agar tum na mili hoti humse,
humein pyaar na hua hota tumse,
jee rahe the hum apni duniya me,
humne jeena bhi to seekha hai tumse...

Aazmalo hamari mohabbat

kyun aapko hamari baaton pe vishwaas nahi hota,
hamari mohabbat ka kyun ehsaas nahi hota,
aazmaake dekhte kabhi aap hamari mohabbat ko,
kabhi hamare waadon pe avishwaas na hota...

Bhoolna asaan na hoga

bhoolna chahta hoon main usey,
par shayad bhulana asaan na hoga,
meri har yaad se judi hai wo,
un yaadon ko mitana asaan na hoga...

Khwaab poore honge

khwaab jo mere dekhogi wo poore honge,
har khwaab poora hone tak hum hi honge,
kyun mujhe khone k darr se tut jaati ho roz,
agar tutoge tum to saath me hum bhi to honge...

Friday, April 16, 2010

Mar k bhi saath nibhaunga

juda hoke bhi juda na ho paunga,
tujhe chhod k main kahaan jaunga,
rishta tujhse hai har janam ka,
mar ke bhi tera saath main nibhaunga...

Tujhe apni jaan main la du

is jahaan ki saari khushiyaan tujhe la du,
maange to chaand ka tukda bhi main la du,
maanga tune to bas hai saath hi mera,
maange to tohfe me apni jaan main la du...

Meri muskaan tujhse hai

rishta hamare saanson ka bhi tujhse hai,
meri har subhah har shaam tujhse hai,
kal tak humein aadat na thi muskuraane ki,
aaj mere hothon pe muskaan bas tujhse hai...

Na tu meri thi na waqt mera tha

tune chaha tha humein apne fursat k kuch lamhon me,
aur is gareeb k paas tab waqt k siwa aur kuch nahi tha,
aaj tu itni tez chal rahi hai zindagi ki daud me,
lagta hai tere dil me mere liye koi ehsaas nahi tha,

mere dil me to hamesha se tu hi rahi hai, aaj bhi hai,
par lagta hai mere liye tere dil ka kamra khaali nahi tha,
aaj jab pichhe mudke dekhta hoon to dar lagta hai,
lagta hai ki na to tu meri thi aur na waqt mera tha...

Thursday, April 15, 2010

Aag husn ka

dekha to humne bhi hai jalte patango ko,
par ishq me uske to jalti shama bhi hai,
aag husn ka sab kuch jalaa deti hai,
hota dhuan dhuan mohabbat ka sama bhi hai...

Tumne padhna nahi chaha

hothon se har baat nahi kehte hai hum,
par aankhon se kai baar humne kehna chaha,
aankhon se har waqt bayaan karte the hum,
tumne kabhi unhe padhna hi nahi chaha...

Tere husn ka jaam

dekh k tujhe yun behosh hain hum,
teri qaatil aankhen mera qatl kar gayi,
bin piye sharaab yun madhosh hain hum,
tere husn ka jaam humpe asar kar gayi...

Saath tumhaara

band aankhon se tumhaare khwaab dekhta hoon main,
siley hothon se tumhaara naam pukaarta hoon main,
mere to dil k har dhadkan pe naam tumhaara hi hai,
jeewan k har pal me saath tumhaara dekhta hoon main...

Wednesday, April 14, 2010

Tumko na bhool paunga

kyun sochti ho tum ki kabhi main tumhe bhool jaunga,
tumhari awaaz pe main maut k darwaaze se laut aunga,
maut aa jaye kabhi to maang lu do pal ki zindagi khuda se,
mar bhi gaya to tumhaare mohabbat ko na bhool paunga...

Main, haan sirf main

beete huye kuch lamho k baare me,
sochta hoon kabhi kabhi main,
tanha apne hi soch k ghere me,
rehta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...

apne hi aasuon k samundar me,
tairta hoon kabhi kabhi main,
unhi aasuon se pyaas apni,
bujhata hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...

aaine me surat teri dekhke use,
todta hoon kabhi kabhi main,
aur usme apne dil k tute tukdo ko,
jodta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...

zindagi ke suney safar me tujhe,
dhundta hoon kabhi kabhi main,
raat ki tanhaiyon me tujhe,
mangta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...

paththar ki bani us murti ko,
poojta hoon kabhi kabhi main,
adhure kuch sapno k kaaran usse,
roothta hoon kabhi kabhi main,
main, haan sirf main,
aur koi nahi...

Main chala hoon

kal tak tere mohabbat me bas ashk bahaye maine,
aaj un ashko ko mitaane chala hoon,

kal tak meri zindagi me naam bas tera tha,
aaj main usi naam ko mitaane chala hoon,

lagta tha ki dard me hi qaid hai zindagi meri,
aaj main usi dard ko mitaane chala hoon,

tere jaane k baad yun tanha tha main jeewan me,
aaj unhi tanhayion ko mitaane chala hoon,

haan aaj ek naye safar pe main chala hoon,
aaj main har ghum ko mitaane chala hoon....

Chahat

adhkhule honth tere gulaab jaise,
jinke chhune se hum khamosh se hain,
apne kaboo me ab hum rahen kaise,
teri chahat me hum madhosh se hain...

Aakhri mohabbat

har dhadkan pe mere tera hi naam hai,
tu hi meri har talash meri justju hai,
kaise kahun tujhe ki tu mere liye kya hai,
mera pehla pyaar meri aakhri mohabbat tu hai...

Tuesday, April 13, 2010

Aaina

kaise kahun ki q maine aaina dekhna chhod diya,
aaine me khud ko dekhun to tum nazar aate ho,
tumhe bhulane k liye maine aaina tod diya,
pehle ek the par ab to hazaar nazar aate ho...

Bayaan nahi karte

hum jazbaaton ko zubaan se bayaan nahi karte,
haal-e-dil har kisi se bayaan nahi karte,
wo to hamare dil ko aankhon se padh lete hain,
hum alfaazon me kuch bhi bayaan nahi karte...

Raat khaamosh hai aaj

q hamari dhadkane kuch shaant si hain aaj,
aur hawaon ka bhi rukh kisi aur disha hai,
tere khwaab k intezaar me so rahe hain aaj,
aankhen to band hain par khaamosh nisha hai...

Naam to mera hi hai

tumhaare in behte huye aasuon me naam to mera hi hai,
tumhaare in dard bhare tanhayion me naam to mera hi hai,
badnaam karte ho hume ye kehke ki saare ghum tumhe maine diye,
par tumhaare dil pe jo likha ek naam hai wo to mera hi hai,
jee rahi ho tum aaj par zindagi tumhaare naam to mera hi hai,

jo saath main tumhe de na saka wo saath tumhaare liye rakha tha,
jo baat main keh na saka wo baat dil me tumhaare liye rakha tha,
kaash tumne us din bhari mehfil me mera haath thaam liya hota,
aaj saari duniya me tum ye na kehti ki bewafa naam to mera hi hai,
jee rahi ho tum aaj par zindagi tumhaare naam to mera hi hai....

Sunday, April 11, 2010

Mera nahi

khwaabon par bhi kahaan zor chalta hai aaj,
ab to meri dhadkano par bhi kaaboo mera nahi,
tujhe sukun ki saugat main kahan se du aaj,
is jahaan me jo mera tha wo bhi ab mera nahi...

Aashiq

hum to aasiq hain tumhaari mohabbat ke,
maikhane ka nasha humpe na chad paayega,
aankhon ke raaste dil me sama jayenge,
hamara ishq tumpe kuch aisa asar kar jaayega..

Ek aashiq tera bhi hai

aashiqo ki bheed me ek aashiq tera bhi hai,
jiske har dhadkan me naam tera hi hai,
maanga nahi tha kuch khuda se usne kabhi,
par ab uski har dua me naam tera hi hai...

Tujhe bhool nahi paayenge

bhool to tujhe hum bhi nahi paayenge,
tujhe yaad karke har pal muskurayenge,
teri baaton ko un mulaquaton ko yaad karke,
har ghadi pyaar k geet gungunayenge....

Tu hi meri jeet hai

mere hothon pe aaj bas tere pyaar k geet hain,
mere har khaamoshi me tere naam ka sangeet hai,
tere chahat k tohfo ki kami nahi hai mere paas,
tu hi mera har lakshya aur tu hi meri jeet hai...

Unko yaad karte hain

kabhi unko kabhi unke ghum ko yaad karte hain,
unki mohabbat ko har ghadi hum to yaad karte hain,
hum to unhe apni parchhai samajh rahe hain,
kya kabhi bhoole se wo humko yaad karte hain...

Friday, April 9, 2010

Kismat

na paake paane ko hum haasil kahenge,
jeewan k har pal me hum tere rahenge,
tera pyaar mil gaya to jannat kahenge,
na mile tum humein to kismat kahenge...

Maut ki mohabbat

kabhi dil ki sunke likh lete hain hum,
kabhi dhadkane kuch kehti hain humse,
dil ne agar dhadakna band kar diya to ,
us din maut ko mohabbat ho jayegi humse...

Sirf dard hi likhte hain

chahte ghazal likhna hum mohabbat k naam hain,
par kalam chalti hai to kuch aur hi likhte hai,
hum to uski mohabbat ko kab ka bhula chuke hain,
ab mohabbat k naam pe sirf dard hi likhte hai...

Tujhse preet si ho gayi hai

ab to gunah karne ki hamari aadat si ho gayi hai,
roz tumko yaad karne ki chahat si ho gayi hai,
khaamoshi teri roz aake kaano me kuch keh jaati hai,
kaise kahen teri har khamoshi ab sangeet si ho gayi hai,

ab to tere intezaar ki aadat si ho gayi hai,
har ghadi raah takne ki chahat si ho gayi hai,
ab to dhadkano me bhi tu mere aati hai,
lagta hai ki jaise tujhse preet si ho gayi hai...

Thursday, April 8, 2010

Haal-e-dil

kabhi tanhaayi ko kabhi tere saath ko yaad kar lete hain,
hum bhi kabhi kabhi haal-e-dil bayaan kar lete hain,
kabhi kabhi jab tu chhed jaati hai humein aake khwaabo me,
usi ehsaas ho labzon me bayaan kar lete hain...

Ab bas dard hoga

har dard ko ab sehna hoga,
har ghum me muskurana hoga,
chahe koi saanse bhi maang le,
haste haste de dena hoga,

ab humein na kabhi dard hoga,
har dard ab bedard hoga,
haske sahenge har zulm ko,
ab ghum hi apna humdard hoga...

Tere sang jeena chahta hoon

zindagi ke is safar me saath chalna chahta hoon,
tere har adhure khwaab ko poora karna chahta hoon
chahta nahin hoon main tu pyaar me mere mar mite,
pyaar ko paake tere sang jeena chahta hoon...

Sapna sakaar hoga

ab to bas intezaar hai jab tera deedar hoga,
na koi bandishen hongi bas hamara pyaar hoga,
barso se tadap rahen the jis pyaar k liye,
tere milne se hamara wo sapna sakaar hoga...

Maut ko zindagi mil gayi

tere aane se jaise mere jeene ki wajah mil gayi,
pyaar tera paake saare jahaan ki khushi mil gayi,
tere jaane se ye jahaan shamshaan sa tha,
tere aane se jaise mere maut ko zindagi mil gayi,

Shayad bahut khush hota main

kaise bhula paunga us mohabbat ko main,
jise maine maanga nahi tha wo to khud hi aayi thi,
apni saanson ko kaise rok paunga main,
wo to mere saanson me har dhadkan me samayi thi,

asaan hota is tarah mohabbat ko bhulana,
to use kab ka bhula chuka hota main,
uski har ek yaad ko dil se mitaake,
shayad aaj bahut khush hota main....

Mat ro mere dil

kisi k yaadon ko yun yaad kiya nahi karte,
jo chhod gaye unke ghum me jiya nahi karte,
aaj raat andheri hai to kya hai savera dur nahi,
is tarah khud pe zulam kiya nahi karte,

pal bhar ki khsuhiyaan deke wo chala gaya humse dur,
jo kar gaya hamare khwaabon ko chaknachur,
ek roz unko bhi hamari yaad tadpayegi,
us din wo bhi khoob royegi,

kehte hain hum aapse ki bhool jao saare ghamon ko,
ye bhi kehte hain ki bhool jao un yaadon ko,
ro ro k q kar rahe ho apna haal behaal,
bhool jao un guzre zamano ko,

maloom hai mujhe kehna aasaan aur karna mushkil hota hai,
dil jiska tut ta hai wo har ghadi rota hai,
hum to bas keh sakte hain ki na ho udaas tum,
par hume kya pata ki tumhe dard kitna hota hai,

duwa karenge ki jald hi tumhaari muskaan laut aaye,
tumhaari zindagi me bhi sachchi mohabbat aaye,
yun bewafai me fir kisi ka dil na tute,
har koi jahaan me bas khushiyaan hi paaye....

Ishq

ashq se ishq tha humein kal ab ishq se ishq kar chale,
yun faasle apne mitaake hum tere sang pal bhar chale,
chahat thi maut se humein ab zindagi se pyaar kar chale,
hum apna dil-o-jaan apne jaan-e-jigar k naam kar chale...

Tu hi mera pyaar hai

meri har muskaan tera raah tak rahi hai aaj,
dil ki dhadkano ko mere tera intezaar hai,
haar jeet kya hai bas tu hi har taraf hai aaj,
dil mera ye keh raha hai tu hi mera pyaar hai...

Mohabbat ka aane wala kal

kal is jahaan me mohabbat ka wo hashra hoga,
tutenge sainkdo dil aur aansuon ka sama hoga,

kuch dino ki baat hai mohabbat ka bazaar hoga,
jab bhare bazaar me mohabbat nilaam hoga,

aaj har rishte ki buniyaad hoti hai wafaa,
kal har vishwaas ka naam bewafaa hoga,

kal is duniya me mohabbat ka wo hashra hoga ,
na chalne ko zameen hogi na upar aasmaan hoga,

kehte hain hum ki jajbaat kabhi marte nahi hai,
par kal in jajbaaton ka na naam na nishaan hoga...

Wednesday, April 7, 2010

Yaadein

zulm hai yaadon ka ki wo bhoolne deta nahi,
har ghadi main chahun fir bhi dur wo jaata nahi,
har ghadi mere paas aake shor wo karta hai roz,
ishq ko mere pyaar ko bhool main paata nahi...

Monday, April 5, 2010

Wo bhi tadapti hogi aaj

aansuon ki baandh tuti wahaan bhi hogi aaj,
idhar aap hain to udhar wo bhi akeli hogi aaj,
chaha to tha unhone saath nibhana aapka,
par unki bhi kuch majboori rahi hogi aaj,

mohabbat ka ye hashra dekh wo roti hogi aaj,
khaamosh raaton me adhkhuli aankhon se wo soti hogi aaj,
kal tak aap usi ka chehra dekh k muskurate the,
aapke aansu dekh wo bhi wahaan tadapti hogi aaj,

hai nahi paas aapke wo dur hai jo aaj,
par pyaar sirf aapse wo karti hogi aaj...

Sunday, April 4, 2010

Chhod de mujhko satana

mitana to hai par asaan na hoga mohabbat mitana,
samjhega ye dil nahi aur na aasaan hoga tujhe bhulana,

is ghadi tujhe yaad karke aa raha hai humko to rona,
aaj teri yaad me hai ho raha ye dil deewana,

kaash tu ne ek baar mujhse kaha hota rukne ko,
aa main jaata paas tere hota na koi bahana,

tab tujhe ehsaas na tha, pyaar kya hai na ye pata tha,
aaj jab meri hai nahi tu, gunaah hai tera yaad aana,

dard leke dil diya tha, pyaar bas tujhi se kiya tha,
chhod k tu gayi hai jabse, sunsaan lagta hai zamana,

isliye to kehta hoon aaj, baahon me mere tu aaja,
rok na khud ko tu yun, main hoon tera ashiq purana,

dil hai mera, dard mera, ghum hain mere, hum hain tere,
laut aa mere paas tu, chhod de mujhko satana...

Khuda

aankhon me basaake poojte ho maangte ho humein humse kyun,
sach kaho agar pyar hai to fir dil me itna ghum hai kyun,
kehte khuda humein ho tum to hoga humein fir dard kyun,
agar khuda ko dard ho to fir naam hai "khuda" hi kyun...

Tum

kal tak mere aansu pochke muskaan jagate the tum,
kal tak meri zindagi ko zindagi banate the tum,
aur aaj jab meri zindagi hi maut ban gayi,
kya batayen jaanam bahut yaad aate ho tum...

Saturday, April 3, 2010

Dil samajhta hai

na ho udaas agar koi tere gham pe hasta hai,
kalam k chalne ko zamana pagalpan samajhta hai,
aasun bhare alfaaz to khaamosh hote hain,
dil k likhe ko to bas dil samajhta hai...

Sikhaya to aapne hi hai

aaasuon se samundar namkeen karna chahta hoon aaj,
par barso se inhe chhipana sikhaya to aapne hi hai...

yahi sochke main muskurana chahta hoon aaj,
ki ghamo ko bhulana sikhaya to aapne hi hai...

aapki yaad me ro raha hai dil hamara aaj,
par dard me muskurana sikhaya to aapne hi hai...

aapko khwaabon se bhulana main chahta du aaj,
par neendon me aake dil churana sikhaya to aapne hi hai...

sang mere ho nahi par aapko yaad kar raha hoon aaj,
yaadon me aake gungunana sikhaya to aapne hi hai...

maikhaane pe haathon me jaam liye khada hoon main aaj,
par sochta hu ki na pina sikhaya to aapne hi hai...

kehte hain saathi mere ki bhula du aapko main aaj,
par yaad har ghadi karna sikhaya to aapne hi hai...

kisi aur ke dil pe dastak kaise de sakta hoon aaj,
pyaar sirf aapse karna sikhaya to aapne hi hai...

maut mil jaaye mujhe main chahta hoon aaj,
par zindagi ko jeena sikhaya to aapne hi hai...

khuda bhi khwaabon me aake humse kehta hai aaj,
bhool jaun aapko par kaha maine khuda se,
kaise bhool jaun use jise banaya to aapne hi hai...

Friday, April 2, 2010

Dil

kalam to bas ek bahana hai,
ehsaas-e-mohabbat likhta hai dil,
saanson ka bandhan aksar tut jaata hai,
chalti hai kalam aur rota hai dil...

Asar kar jayegi

bhoole se hi sahi jab unki nazar pad jaayegi,
patjhad me sawan sa asar kar jaayegi,
jinke intezaar me hum nazre bichhayen baithe hain,
unki mohabbat tab asar kar jaayegi....

Dil ki baatein

Dil ki baatein dil tak pahuch hi jaati hain,
Kuch kehne ki jarurat nahi hoti,
Doston k liye ishaara hi kaafi hota hai,
Shabdon ki jarurat nahi hoti...

Kaash

kaash insaano ne insaano se mohabbat ki hoti,
to is jahaan me khuda ki jarurat nahi hoti...!!!

Zindagi

Zindagi haqeeqat nahi bas ek khwaab hai,
jo samajh saken unke liye ye lajawaab hai

Aajkal

Tute huye dil k tukde bator raha hoon aajkal,
Tere aasuon ko p k ji raha hoon aajkal,
Kal tak main bhi roya karta tha tere yaad me,
Teri yaadon ko bhulake muskura raha hoon aajkal...