Monday, December 12, 2016

Woh






woh jo kabhi hamaari aankhon mein sajaa karte the
woh jinko dekh dekh hum raat guzaaraa karte the
woh jinse hum dil ki saari baatein kahaa karte the
woh jo har lamhaa hamaare saath rahaa karte the

woh jinke ehsaas se hi bahaar aa jaataa thaa kabhi
woh jinke naam se hi ghazal ban jaayaa karte the
hoti thi khushboo phoolon mein bas unke hone se
woh jinke hone se samundar mein lahar banaa karte the

kuch chhoot saa gayaa hai ab rishtaa unse hamaaraa
jinke hone se zamaane mein saare rishte huwaa karte the
andheri raat khatam hi nahi huwi kabhi unke jaane ke baad
jinke hone se hamaare shaam aur sawere huwaa karte the
 




Thursday, June 30, 2016

Kashmakash



khwaab aankhon mein sajte hain fir bikhar jaate hain
din aur raat bas haan aur naa mein guzar jaate hain

kai kai baar sochaa ki jaakar mil len unse hum magar
kadam hamaare hain jo uth kar bhi thahar jaate hain

umeed to hai ki woh fir se apnaa lenge humein, magar
kahin thukraa naa den is baat ko soch dar jaate hain


har raat waadaa karte hain khudse ki milenge unse kal
aur har subhah hum apne hi waadon se mukar jaate hain

pankh lagaakar armaa machalte to hain dil mein hamaare
magar kuch hi der mein woh zameen par utar jaate hain

naa koshish woh karte hain, naa koshish hum karte hain
galti qubool karne mein hi aksar beet umar jaate hain

sochte hain kabhi to aayegi khushi hamaare paas bhi
aur ghum bhari zindagi mein aur ghum bhar jaate hain

kyaa sahi hai, kyaa galat hai bas is kashmakash mein
hum khud ko unse aur bhi zyaadaa duur kar jaate hain


Tuesday, June 28, 2016

Tum



prem ki koi kahaani ho tum
kisi shaayar ki jawaani ho tum
tum hi jalaane waali aag ho
baarishon kaa paani ho tum

tum hi to mere har khwaab ho
tum har sawaal kaa jawaab ho
mohabbat ki nishaani ho tum
tum hi to khiltaa ghulaab ho

tum bin mile naa chainaa
tum ko hai dhunde nainaa
tum bin naa guzre din aur
tum bin naa beete rainaa

khiltaa huwaa kamal ho tum
khoobsurat saa koi pal ho tum
isse zyaadaa kya taarif karun
poori si koi ghazal ho tum




Monday, June 27, 2016



ek chhoti si kahaani hai, use bas apnaa naam de do
aaghaaz main kar chukaa hoon, tum bas anjaam de do




humein deewaanaa banaane ko naa koi kasar baaki rahaa
teri do aankhein rahi, sirf unhi kaa asar baaki rahaa

bhulaa to dete zarur tujhe dekhne ke baad hi hum magar
asar haseen shaam ki laali kaa, raat bhar baaki rahaa




aaj tum meri adhuri kahaani sun lo
meri aankhon kaa tum paani sun lo
jo sukhaa huwaa ghulaab rakha hai
woh mohabbat ki thi nishaani sun lo


deewaaron sangh hui baatein sun lo
khaamosh si aaj woh raatein sun lo
kuch meethi hain, kuch khatti hain
kyaa kyaa mili saugaatein sun lo

Sunday, June 26, 2016

Saahil pe thahar jaaungaa



ghum kaa maaraa hoon... jaane kidhar jaaungaa
jo chali thandi hawaa... saath guzar jaaungaa

kaunsi kashti mein hoon baithaa... kyaa pataa
jo lage thik jagah.. main wahin utar jaaungaa

roz bantaa hoon main.... roz toot jaataa hoon
lahar hoon... saahil pe jaake bikhar jaaungaa

likhtaa hoon roz kai.. geet apne dard ke main
jab ruki saans tab.. main bhi thahar jaaungaa

jee rahaa hoon.. shaayad tumhe main yaad nahi
jab karoge yaad tum. tab main to mar jaaungaa


Saturday, June 25, 2016


 
kehte hain humse humein bhulaa dijiye
yaa fir humein paas apne bulaa lijiye

aap aake humein seene se lagaa lijiye
yun rehke dur dur ab naa sazaa dijiye




tanhaa si zindagi kaa yeh ajab hi afsaanaa hai
meri mohabbat hai, isey mujhe hi nibhaanaa hai

woh hamaari pehli mohabbat hai, jaanti hai woh
uske liye to yeh bas uska ek aur deewaanaa hai

hain dil jo lagaa baithe hum unse anjaane mein
meri naadaani hai, aur mujhe hi samjhaanaa hai



Achchaa thaa

mohabaat kaa woh bhi ek afsaanaa achcha thaa
barbaad huwaa ek aur deewaanaa, achchaa thaa

hum unko samjhaate bhi kaise kuch jinke liye
hum hi bas bure the aur zamaanaa achchaa thaa

waadaa kiyaa thaa umra bhar saath nibhaane kaa
waadon se woh unkaa mukar jaanaa achchaa thaa

tohfe mein hamaare hi likhe huwe khat de gaye
hamaare liye unkaa woh nazraanaa achchaa thaa

apne ghar waalo ko manaa nahi paayi hoon main
dil tod jaane kaa unkaa bahaanaa achchaa thaa

jaate huwe keh gayi khush rehnaa zindagi bhar
dil todkar unkaa aisaa keh jaanaa achchaa thaa

us din aakhri baar dekhaa thaa unhe kareeb se
jaate huwe woh unkaa muskuraanaa achchaa thaa


Thursday, June 23, 2016



main kaagaz ke panno par likhaa woh afsaanaa hoon
raah par chaltaa har shaqs mudke dekhtaa zarur hai


khwaabon mein tujh sangh mulaaquaatein kar loon
bheegi hui baarishon se main ab baatein kar loon
tere chehre ko apni aankhon mein sajaa loon main
tujhse hi khoobsootrat main apni raatein kar loon


Wednesday, June 22, 2016

Kyun ladkhadaaun main



aankhein churaaun yaa aankhein milaaun main
yaa fir tumhein dekhkar bas muskuraaun main

dil to kehtaa hai ki sab kuch keh dun tumse
magar saamne tum raho to bas ghabraaun main

yeh kaisi bekaraari hai is dil ki bataao naa
seedhe raaston par bhi kyun ladkhadaaun main

yun to bante nahi geet kai kai din tak magar
dekh loon tumhe to kai geet gungunaaun main

hothon tak le aaun woh baat jo hai dil mein
yaa aaj bhi kuch kahe binaa laut jaaun main


Monday, June 20, 2016


dil ki saari baatein aaj aankhon ko keh lene do
do pal hi sahi humein khwaabon mein reh lene do

dil ki har baat apni hawaaon mein ghol di maine
aaj in hawaaon ko bas apne kareeb se beh lene do

Sunday, June 19, 2016

Khoobsoorat saa koi jahaan de de



muskuraahat ko koi khoi hui pehchaan de de
kareebi rishton mein fir se koi jaan de de

kuch lamhein hi to chaahiye saath bitaane ko
kaun kehtaa hai kisi ke liye koi jaan de de

agar paison se khushi kharidi jaa sake to
har gali mein khushiyon ki ek dukaan de de

jahaan rishton mein koi karwaahat hi naa ho
humein aisaa ek khoobsoorat saa jahaan de de

jiski sachche mann se hum poojaa kar saken
humein apno mein hi aisaa koi bhagwaan de de

insaaniyat ki kami nahi hai is zamaane mein
bas koi is duniyaa ko do chaar insaan de de


Kaun yeh kaam karne detaa hai



bejaan geeton mein bhalaa kaun jaan bharne detaa hai
woh ek teraa chehraa hai jo yeh kaam karne detaa hai

itni taazgi hai mohabbat mein ki kyaa bataayein hum
sukhey gulaabon ko bhi kahaan woh bikharne detaa hai

chhukar aai hai jo hawaa teri saanson ki khushboo ko
jaane kaun un hawaaon ko yahaan se guzarne detaa hai

koshish bahut karte hain ki rok len dil ko hum apne
dil yeh kahaan khudko seene mein thaharne detaa hai

maikhaane mein jaakar ghanto baithke bhi dekh liyaa
teraa chehraa kahaan tere nashe ko utarne detaa hai

surur mohabbat kaa kuch aisaa hai kyaa bataayen hum
naa woh jeene detaa hai, naa humein marne detaa hai


Saturday, June 18, 2016

Umar beet gayi tere deedaar ke liye



naa kar dillagi, ki umar beet gayi tere deedaar ke liye
do pal hi sahi, saamne to aa apne deewaane yaar ke liye

haalat hamaari aisi hai ki tu nazar aajaaye bas ek baar
fir to hum tayyar hain zindagi bhar ke intezaar ke liye

rog aisaa lagaa hai ishq kaa ki haalat sudharti hi nahi
jaantaa hoon main tu hi bas dawaa hai is bimaar ke liye

kaise yakeen dilaaun tujhe ki tu hi zindagi hai hamaari
aaj tu hi bataa de kyaa karun main tere aetbaar ke liye

tu muskuraa ke haan keh de bas ek baar, sach kehte hain
hadd se bhi guzar jaayegaa 'Hriday' tere pyaar ke liye

aa bhi jaa saamne tu, kyun tadpaa rahi hai humein itnaa
deedaar dede humein ab deewaane is dil ke qaraar ke liye


Wednesday, June 15, 2016

Main hosh mein aaun kaise



nashili aankhon se main ab dur jaaun kaise
tere chehre se nazar ab main hataaun kaise

nashaa chadhaa hai dheere dheere teraa ab
tu hi bataa ab main hosh mein aaun kaise

jaanaa hai tujhse duur yeh bhi jaante hain
apne is paagal dil ko main samjhaaun kaise

likha thaa tune raat geeley labon se apne
mehfil mein woh ghazal main sunaaun kaise

zulfon ke ghere mein guzri hai raat saari
teri bikhri laton ko main bhulaaun kaise

apni jo haalat hai woh bhi hum jaante hain
magar yeh baat kisi ko main bataaun kaise


Saturday, June 11, 2016

Koi rehtaa thaa us kamre mein



deewaar par tangi puraani ghadi ruk gayi hai
har subah ab koi bhi jagaataa nahi hai humein

panchhiyon ki aawaaz kaano tak pahunchti nahi
naa hi doodhwaalaa darwaazaa khatkhataataa hai

akhbaar kaa dher jam gayaa hai kamre ke aage
khidki ke sheeshon par dhul ki moti parat hai
suraj bhi har subah nikalkar doob jaataa hai
chaand ki roshni pahuchti nahi mere kamre tak

ab achcha nahi lagtaa humein milnaa kisi se
khush hain hum apne is band kamre main tanhaa
logo ne bhi shaayad bhulaa diyaa hogaa humein
tabhi kehte hain 'koi rehta thaa us kamre mein'


Thursday, June 9, 2016

Tanhaai



meri tanhaai mein bas mere kadmon ki aahat hai
kuch deewaarein hain, unpe kuch tasveerein hai

hawaa se kuch tasveerein tedi ho gayi hain
aur kuch par dhuul ki parat si jam gayi hai
kuch haseen chehre chhip gaye hain dhuul mein
chalo achchaa hai hum hosh mein to hain
warnaa woh chehre fir madhosh kar denge humein
aur humein mohabbat ho jaayegi... fir se...

kuch kaagaz ke tukde hain meri sandook mein
unmein naam likhaa thaa kisi kaa kabhi humne
magar bas naam hi likh paaye they hum..
aur kuch likhne ki koshish hi nahi ki kabhi
ek naam hi to thaa hamaare jeewan mein unkaa
aur isse zyaadaa kuch bhi nahi thaa rishta unse

jaane kitne hi ghazal, adhure reh gaye hain
alfaaz bahut jode magar jud paaye nahi kabhi
kabhi dil ne saath nahi diyaa to kabhi dhadkan ne
kabhi saath milaa dono kaa to hum hi gum rahe
aaj baithe hain kaagaz ke kuch kore panne leke
likhne apni hi kahaani.. apni tanhaayi hum...
magar likhen bhi to kyaa likhen...

meri tanhaai mein bas mere kadmon ki aahat hai
kuch deewaarein hain, unpe kuch tasveerein hai



Jeete jaanaa hai


zindaa rehnaa bhi badi ajeeb aadat hai
naa ho koi maqsad fir bhi zinda rehnaa hai
roz subah uthkar, jism kaa bojhaa leke
kamzor kadmo ko chalte jaanaa hai
haan inhi kadmo ko zindagi sambhaalnaa hai

badi aam si baat hai ki hum jeete hain
saansein hain apne aap chalti jaati hain
dhadkane naa chaaho tab bhi chalti hai
yeh adat hai jise roz nibhaanaa hai
naa chaahte huwe bhi humein jeete jaanaa hai


Tuesday, June 7, 2016

Zulfein Teri


naseeb waali hain teri zulfein
jo tere chehre ko chhuu aati hain
bebaak, bekhauff....
binaa teri izaazat ke
mehsoos kar aati hai gaalon ki narmi ko
chhuu aati hain teri saanson ki garmi ko

geele se labon par tere kabhi kabhi
bahut der tak thahar jaati hain woh
hum bas khwaahish mein gulaabi hothon ke
andar hi andar jalte rehte hain...
har pal.. har lamhaa....

bahut jalte hain hum teri zulfon se
jo binaa tujhse poochhe...
tujhse mohabbat kar aati hain...
aur tu bhi har baar... sharmaake...
aankhein jhukaake... mann hi mann...
khush ho jaati hai....

dheere se kabhi tu agar
unhe hataati bhi hai chehre se....
woh fir se aake tere chehre ko
baahon mein bhar leti hain...
bahut jalte hain hum teri zulfon se
badi naseeb waali hain zulfein teri..



Sunday, June 5, 2016

Tumhaaraa hi deewaanaa hogaa



par... pyaar to hai naa ab bhi
yaad aataa hoon naa main ab bhi
jab bhi aankhein band karti ho
nazar aataa hoon naa main ab bhi

to fir tum khud hi kaho naa
kyaa yeh mohabbat nahi hai?
har saans ke saath yaad aanaa
kyaa yeh chaahat nahi hai

maanaa ki hamaari majboori thi
kismat mein hamari doori thi
mohabbat to kee humne magar
kahaani hamaari adhoori thi

kyaa jeene ke liye woh yaad kaafi nahi
hamaari woh do chaar mulaaquaat kaafi nahi
jaante ho naa kai sapne aate hain raat mein
pooraa har sapnaa ho... ek raat kaafi nahi


thik usi tarhaa... ek janam kaafi nahi..

agle janam mein humein fir aanaa hogaa
aakar humein fir saath nibhaanaa hogaa
kasak koi chaahe ho naa ho dil mein tumhaare
'Hriday' tab bhi tumhaaraa hi deewaanaa hogaa



Kabhi dil naa lagaayegaa



na lagaao dil in geeton se ki kuch bhi naa mil paayegaa
ek tanhaa ki kahaani hai, tumhe bhi tanhaa kar jaayegaa
mehsoos karne ki koshish karoge mere in geeton ko kabhi
dard ke is samundar mein tumhe bas dard hi nazar aayegaa

yahaan bas kaantaa hai aur jaltaa huwaa saa sholaa hai
agar kareeb aaoge to yeh zakhmi tumhe bhi kar jaayegaa
dard ki to puraani aadat hai, har kisi ko dard dene ki
degaa tumhe bhi dard, fir tumhaare haal pe muskuraayegaa

'Hriday' bhi kabhi aahsiq thaa, aashiqui woh kartaa thaa
sochaa thaa aashiqui ke naam par woh jaan tak de jaayegaa
magar uske dil ke toot jaane par, kasam usne khaa li fir
'Kisi haseen chehre se fir kabhi dil naa woh lagaayegaa'


Kyun hum pighalte hain



jaani pehchaani raahon par hum jaane kyun fisalte hain
khud hi girte hain hum aur kabhi khud hi sambhalte hain
karte hain koshish har ehsaas ko qaid kar len dil mein
unhe jitnaa bhi roken woh aur bhi zyaadaa machalte hain

mud mud ke dekhte hain hum unke ghar ki khuli khidki ko
jab bhi kabhi hum unki galiyon se ho kar nikalte hain
baahon mein bhar len unhein yaa honthon se chhuu len hum
kaise kaise khayaal aajkal hamaare dil mein palte hain

lat yeh kyaa lagi humein ki hum neendon mein chalte hain
sard si hawaaon mein bhi aajkal kyun hum pighalte hain
kyaa yeh mohabbat hai yaa hai bas deewaanaapan hamaaraa
karte hain woh hanske baat kisise to hum bas jalte hai


Thursday, June 2, 2016

Nashaa mohabbat kaa



aksar kitaab ke panno ko palat_taa jaataa hoon main
fir tere diye ghulaab ko dekh muskuraataa hoon main

kehnaa chaahtaa hoon bahut si baatein sabhi se magar
zaalim zamaane se bhi to bahut ghabraataa hoon main

kabhi zameen pe pade dhool ko seene se lagaataa hoon
kabhi aasmaan ko chhune ko pankh failaataa hoon main

kaisi hai bechaini is dil ki main samajh paataa nahi
inhi uljhano mein aur ulajhtaa chalaa jaataa hoon main

yun to aadat thi hi nahi kisi nashe ki mujhe aaj tak
mohabbat ke nashe mein hi ab jhoomtaa jaataa hoon main




Tuesday, May 31, 2016

Geele se kuch lamhein hain



kuch os ki geeli boondein hain
kuch geele se woh sawere hain
mere geele se us takiye pe
bas geele se kuch lamhein hain

jo tanhaa akele kaatein hain
woh tanhaa si meri raatein hain
hai ab saath nahi koi mere
yaadein hain, bas yaadein hain

kabhi shaam sunehri hoti thi
kabhi raat nashili hoti thi
un lamhon ki kuch yaadein hain
jo saath humne guzaarein hain

nagmein hain, kuch shikwe hain
kuch aadhi adhuri baatein hain
kuch toote huwe se kasmein hain
aur kuch aadhe se afsaane main


Wajah behtar de do



khwaahishon ko mere par de do
aur fir bas utni si umar de do
raat ke saaye se dar naa jaaun
sar chhipaane ko ek ghar de do

shor bahut hai aas paas mere
sukun bharaa ek shahar de do
ehsaas mere jal rahe hain saare
bas thandi si ek dopahar de do

dard ki aadat to ab ho hi chuki
muskuraane kaa bas hunar de do
zindagi ke din kam hain bahut
jeene ki wajah koi beh-tar de do


Naam teraa



geet likhne baithaa hoon
kore se ek kaagaz par
alfaaz mere tikte hi nahi
kaagaz ke in panno par

udte phirte ehsaas mere sab
titli jaise machalte hain
jahaan kahin bhi hawaa chali
sangh hawaa ke hi chalte hain

aaj kore se is kaagaz par
naam teraa hi likh du main
isse behtar geet koi fir
kahaan koi main likh paaun

tere sapne, teri yaadein
in mein hi main jeetaa hoon
teri hi bas baatein hain
kaagaz ke in panno par

geet koi main likh du aaj
kaagaz ke kuch tukdo par
naam teraa hi likh du main
aaj apne saare geeton par

Wednesday, May 25, 2016

Mohabbat ho jaane do



thodaa saa deewaanaa hoon, thodaa aur ho jaane do
tumhaari sharbati aankhon mein humein kho jaane do

khol do zulfein apni ki baarish saa kuch ho jaaye
unhi boondon ko hamaaraa tann mann bhigo jaane do

kab se pyaase hain hum ek boond mohabbat ke liye
naa roko aaj khud ko tum ki mohabbat ho jaane do

bhar lo humein tum apni narm si baahon mein jaanaa
aur apni hi baahon ke ghere mein humein so jaane do

'Hriday' to banaa hi hai mohabbat karne ke liye
mohabbat ke naam se ek aur afsaanaa ho jaane do

saanson ko samaa jaane do ek duje ki saanson mein
aaj humein tum do jism aur ek jaan ho jaane do


Tuesday, May 17, 2016



jaise bheege huwe se kuch ehsaas hain
jaise un mein bhi baat kuch khaas hai
chaah kar bhi aaj kuch ban paaye naa
har lafz hi jaane kyun aaj udaas hai
 
 
thode thode bheege huwe se lamhein
thode thode bheege huwe se hum hain
sangh mere tum bhi bheege jaao naa
zindagi ke yeh lamhein bahut kam hain


aakar baahon mein mere bheeg jaao naa
bhool jaao jo bhi tumhaare ghum hain
doob jaao aake meri aankhon mein tum
jaanaa bas tumhaare liye hi to hum hain


Monday, May 16, 2016



bikne lagi hai mohabbat jab se baazaaron mein
sajne lage hain geeley khwaab in aankhon mein




bikne lagi hai mohabbat jabse baazaaron mein
hone lage hain mash-hoor hum bhi yaaron mein


Humne woh shahar chhod diyaaa



aansuon ko ab jagah mil gayi
khwaabon ne ghar chhod diyaa
jahaan roz aanaa jaanaa thaa
humne woh shahar chhod diyaa

ab to bas kuch yaadein hain
aur puraani kuch tasveerein
aage hamaaraa ab hogaa kyaa
humne har fikar chhod diyaa

kuch duur tak saath chale the
kasmein bhi kuch nibhaaye the
apnaa jis mein koi saath nahi
humne woh safar chhod diyaa

jaate jaate woh kasam de gaye
ab kabhi pyaar naa karnaa tum
mohabbat achchi koi cheez nahi
humein samjhaakar chhod diyaa

bachi hui kuch saansein hain
bache huwe kuch dhadkan hain
humne tanhaayi se ghabraakar
ab marne ka darr chhod diyaa



 
 
humein bhulaakar kehte hain, fikar bahut hai
dil se khel jaane kaa unmein hunar bahut hai
 
 

 
 
tanhaa zindagi ke safar mein humein
unhone tanhaa is  qadar chhod diyaa
waadaa umar bhar nibhaane kaa karke
kuch duur saath chalke muh mod liyaa
 
 

Saturday, May 14, 2016

Duwaa kiski thi



bejaan aur berang si zindagi hamaare siwaa kiski thi
kisne thaa khoyaa sab kuch, kahaani bhalaa kiski thi

dil thaa tootaa hamaaraa, bhalaa dosh hum kis ko den
ilzaam bewafaai kaa humpar aayaa, to wafaa kiski thi

ghar huwaa neelaam hamaaraa kisi ki khushi ki khaatir
kyaa bataayein hum kisi se ki aakhir khataa kiski thi

bas dard hi dard rahaa har pal zindagi mein hamaare
haath they humne uthaaye, hui poori duwaa kiski thi

hum deewaane the jo dil lagaa baithe hasi chehre se
qatl kisne kiyaa aur humein mili jo sazaa kiski thi

mil nahi paayaa sukoon dil ko kabhi, kisi bhi tarhaa
kiski thi zameen, kiskaa aasmaan aur hawaa kiski thi


Thursday, May 12, 2016

Kaun ho tum
 


kabhi milnaa khudse fursat se
to jaan jaaogi kaun ho tum
baat karke dekhnaa kabhi apne aap se
pehchaan jaaogi khud ko tum...

poochhnaa khud se kabhi
khud ke hi baare mein...
kyaa main kisi mard ki jaageer hoon?
kyaa main pairon tale raundi gayi dhool hoon?
yaa fir kisi ke dil behlaane kaa saamaan hoon?
jisne bhi chaahaa khelaa mere armaano se
kamzor si cheez samajh ke sabne hai todaa mujhe
kisi bejaan si cheez ki tarhaa
meraa istemaal kiyaa gayaa
kyaa hai meri pehchaan...

dekhnaa jawaab yahi aayegaa...
tumse hi bas tumhaare liye...
papa ki dulaari beti ho tum
unke muskuraane ki wajah ho tum
maa kaa sanskaar ho tum
unki pehchaan ho tum...
bhaai ke haathon mein dhaagaa baandhne waali
bhaai ki taaqat ho tum...
pati kaa har kadam par saath nibhaane waali
ek jeewan sangini ho, humsafar ho tum...
ek maa ho tum.... haan maa....
jiskaa shabdon mein varnan naamumkin hai...
aur kyaa kahun ki kaun ho tum...


jaago.. pehchaano khud ko...
ek ablaa naari nahi...
shakti ho tum....
haan shakti ho tum...




Zindagi kyaa cheez hai



surkh hothon ki woh laali, zulfon kaa jaadu tumhaare
dekh kar ke hum samajh gaye, dillagi kyaa cheez hai
jheel si aankhein tumhaari, doob hi jaayen naa hum
dekhaa unhe jo gaur se to jaanaa tishnagi kyaa cheez hai


bikhre huwe the lafz saare, khud ba khud hi jud gaye
dekhaa tumhe to jaan gaye ki shaayari kyaa cheez hai
zindagi ko itne kareeb se, dekhaa kahaan thaa kabhi
dekhaa tumhe to jaan gaye ki zindagi kyaa cheez hai


zulfon mein chehraa chhipaake muskuraake chal diye
seekhey koi tumse aakar ki jaadugari kyaa cheez hai
aksar log kehte hain humein ki rog kaunsaa hai yeh
ishq karte to samajhte ki aashiqui kyaa cheez hai



Wednesday, May 11, 2016



meri baahon mein aakar tum, toot ke bikhar jaao
hoon main deewaanaa koi, thodaa aur tum kar jaao


 
 
baarish ki boondein ho jaise
chhan chhan si barasti hui
haan bilkul aisaa hi lagtaa hai
jab tum muskuraati ho...

baarish ki boondon mein
pankh failaake naachtaa mor koi
haan bilkul waisaa hi lagtaa hai
jab tum chalti ho....
 
 

Tuesday, May 10, 2016

Thodaa saa khumaar to aaye



sukhey huwe gulaabon mein fir se bahaar to aaye
is banjar bhoomi par mohabbat ki fuhaar to aaye

jis chehre ko dekhne ke liye paagal hote hain hum
woh haseen chehraa hamaare saamne ek baar to aaye

woh seene se lagaale humein bhi to kyaa baat ho
hamaare is dil ko bhi thodaa saa qaraar to aaye

kab tak yunhi dard ke geet hum sunaate rahenge
in geeton mein kabhi thodaa saa khumaar to aaye

hazaaron ki ummeed to kabhi thi hi nahi yaaron
hamaare geeton mein waah waahi do chaar to aaye

behek jaaye kabhi hamaari aankhon ko dekhte hi
hum par kabhi us hasi chehre ko aetbaar to aaye

kabhi to meherbaan ho upar waalaa hum par bhi
is badnaseeb par bhi kabhi kisi ko pyaar to aaye



Monday, May 9, 2016

Ishq kabhi puraanaa nahi hotaa



har raat taaron kaa jaise tim-timaanaa nahi hotaa
yahaan mohabbat kaa pooraa har afsaanaa nahi hotaa

hamaare liye hi sahi, chalo koi baat nahi yaaron
warnaa sabke liye itnaa buraa zamaanaa nahi hotaa

khataa itni ki bas ki anjaane mein dil lagaa baithe
warnaa is tarhaa se hamaaraa lut jaanaa nahi hotaa

poochhte hain log humse ki kitni mohabbat hai unse
mohabbat ko naap len aisaa koi paimaanaa nahi hotaa

har baar unki berukhi ko hasi mein udaa diyaa humne
duniyaa kaa har shaqs hum saa deewaanaa nahi hotaa

wo kehte hain humse, bhulaa denaa puraani baaton ko
koi samjhaye unhe ke ishq kabhi puraanaa nahi hotaa


Sunday, May 8, 2016

Main sambhal kahaan paayaa hoon



amundar se main fir nikal kahaan paayaa hoon
tere jaane se main sambhal kahaan paayaa hoon

ladkhadaake gir padaa kuch duur chal kar main
tere bin tanhaa kabhi chal kahaan paayaa hoon

kismat mein thaa nahi milnaa hamaaraa shaayad
lakeeron ko main bhi badal kahaan paayaa hoon

lafz sab bikhre pade hain tere chale jaane se
unhein jodkar banaa ghazal kahaan paayaa hoon

achchaa lagtaa hai band kamre mein akele rehnaa
apni tanhaai se baahar nikal kahaan paayaa hoon

aadat si ho chuki hai shaayad gham mein jeene ki
apni aadat ko fir main badal kahaan paayaa hoon

samundar se main fir nikal kahaan paayaa hoon
tere jaane se main sambhal kahaan paayaa hoon


Friday, May 6, 2016

Yun muskuraanaa naa hotaa


kaash usdin unkaa khidki pe aanaa naa hotaa
humein dekh unkaa yun muskuraanaa naa hotaa

naa jhukaate apni nazrein humein dekhkar woh
is tarhaa se unkaa agar sharmaanaa naa hotaa

chalte rehte hum apne hi raah par roz ki tarhaa
palatke us taraf dekhne kaa bahaanaa naa hotaa

na aaye hote nazar mein mohalle ke logo ke hum
yun dushman hamaaraa saaraa zamaanaa naa hotaa

naa miley hote unse to baat hi kuch aur hoti
naam pe hamaare mohabbat kaa afsaanaa naa hotaa

dekh humein us din naa woh muskuraate agar to
shaayad 'Hriday' is tarhaa deewaanaa naa hotaa


mohabbat pe hai tan nyochhawar, mohabbat pe hai dhan nyochhawar
mohabbat se hi hum hai jaanaa, mohabbat pe hai jeewan nyochhawar

Thursday, May 5, 2016

Pankh failaanaa chaahtaa hoon



main jeene ke liye ab fir koi bahaanaa chaahtaa hoon
haan yeh sach hai main fir se muskuraanaa chaahtaa hoon

bujh gayaa hai jo chiraag kuch pal jal jaane ke baad
roshni ke liye use firse main jalaanaa chaahtaa hoon

udnaa chaahtaa hoon khule aasmaan mein bahut oonchaa
panchhiyon ki tarhaa main pankh failaanaa chaahtaa hoon

jinhone aansuon ke siwaa kabhi kuch diyaa hi nahi mujhe
un rishton se main ab peechhaa chhudaanaa chaahtaa hoon

bataao kab tak yunhi dard mein doobaa rahun main yaaron
mohabbat ke geeton se mehfilon ko sajaanaa chaahtaa hoon

failaake baahein tez hawaaon mein main fir ek baar
paagal hawaaon ko seene se main lagaanaa chaahtaa hoon

chot khaai hai maine mohabbat mein jaantaa hoon main
firse mohabbat kar ke mohabbat ko aazmaanaa chaahtaa hoon

buri nahi hai mohabbat cheez koi, yeh sach hai yaaron
karke mohabbat main duniyaa ko yeh bataanaa chaahtaa hoon

main jeene ke liye ab fir koi bahaanaa chaahtaa hoon
haan yeh sach hai main fir se muskuraanaa chaahtaa hoon




Wednesday, May 4, 2016

 
anjaani sadak par chale jaa raha hoon, naa meraa thikaanaa koi
naa hai yahaan koi meraa apnaa aur naa hi mujhe pehchaanaa koi

Monday, May 2, 2016

Woh jaane kidhar gaye



hawaa ke jhaunke they jo ab guzar gaye
kaanch ke tukde the, tutke bikhar gaye

kissa dard kaa, sunaayein bhi to kaise
kuch zakhm the puraane jo ab bhar gaye

kuch rishton ko apnaa kahaa thaa kabhi
jinse jodaa thaa woh jaane kidhar gaye

koshish bahut ki chhalak jaane ki magar
dard aankhon tak aakar bas thahar gaye


Monday, April 25, 2016

 
na kaho ki meri khushboo hai tumhaare saanson mein
ragon mein mere bas tum hi to basti ho lahu banke...

Sunday, April 24, 2016

Ek Daastaan ... Ishq ki...



yun to sawaal is dil mein behisaab huwe
aur aap hi mere sawaalon ke jawaab huwe

aap se hi saje aankhon mein khwaab huwe
jitne bhi huwe haseen aur lajawaab huwe

jab kabhi dhadkano mein shor saa badhaa
bas aap hi in dhadkano mein janaab huwe

botal se nashaa to humein huwaa hi nahi
nashaa aapkaa hi thaa, aap sharaab huwe

aapki taarif mein hum kahein bhi to kyaa
ankhien jaisi jheel, honth gulaab huwe

kyaa din, kyaa raat, humein kyaa pataa
hamaare aap hi chaand aur aaftaab huwe

deewaane se huwe aapke ishq mein padkar
aur duniyaa ki nazar mein hum kharaab huwe


Wednesday, March 30, 2016

Zaruri to nahi



bahaut si baaton ko leke pareshaan hoon
har baat kaa koi hal ho, zaruri to nahi

waqt achcha to kabhi bura rehta hi hai
khoobsoorat har pal ho, zaruri to nahi

kab kiyaa manaa koi tohfaa dene se maine
par har kahin tajmahal ho, zaruri to nahi

ehsaas ko lafzon mein pirota hoon main
par haasil-e-ghazal ho, zaruri to nahi

hosh mein reh kar bhi kee jaa sakti hai
mohabbat mein paagal ho, zaruri to nahi


Tuesday, March 1, 2016



naa dikhaane se hogaa, naa jataane se hogaa
pyaar kabhi huwaa to, woh nibhaane se hogaa

afsaano se hogaa, naa meethi baaton se hoga
sukoon to bas use seene se lagaane se hogaa