Saturday, June 25, 2016

Achchaa thaa

mohabaat kaa woh bhi ek afsaanaa achcha thaa
barbaad huwaa ek aur deewaanaa, achchaa thaa

hum unko samjhaate bhi kaise kuch jinke liye
hum hi bas bure the aur zamaanaa achchaa thaa

waadaa kiyaa thaa umra bhar saath nibhaane kaa
waadon se woh unkaa mukar jaanaa achchaa thaa

tohfe mein hamaare hi likhe huwe khat de gaye
hamaare liye unkaa woh nazraanaa achchaa thaa

apne ghar waalo ko manaa nahi paayi hoon main
dil tod jaane kaa unkaa bahaanaa achchaa thaa

jaate huwe keh gayi khush rehnaa zindagi bhar
dil todkar unkaa aisaa keh jaanaa achchaa thaa

us din aakhri baar dekhaa thaa unhe kareeb se
jaate huwe woh unkaa muskuraanaa achchaa thaa


No comments:

Post a Comment