Thursday, June 30, 2016

Kashmakash



khwaab aankhon mein sajte hain fir bikhar jaate hain
din aur raat bas haan aur naa mein guzar jaate hain

kai kai baar sochaa ki jaakar mil len unse hum magar
kadam hamaare hain jo uth kar bhi thahar jaate hain

umeed to hai ki woh fir se apnaa lenge humein, magar
kahin thukraa naa den is baat ko soch dar jaate hain


har raat waadaa karte hain khudse ki milenge unse kal
aur har subhah hum apne hi waadon se mukar jaate hain

pankh lagaakar armaa machalte to hain dil mein hamaare
magar kuch hi der mein woh zameen par utar jaate hain

naa koshish woh karte hain, naa koshish hum karte hain
galti qubool karne mein hi aksar beet umar jaate hain

sochte hain kabhi to aayegi khushi hamaare paas bhi
aur ghum bhari zindagi mein aur ghum bhar jaate hain

kyaa sahi hai, kyaa galat hai bas is kashmakash mein
hum khud ko unse aur bhi zyaadaa duur kar jaate hain


No comments:

Post a Comment