Sunday, June 5, 2016

Kyun hum pighalte hain



jaani pehchaani raahon par hum jaane kyun fisalte hain
khud hi girte hain hum aur kabhi khud hi sambhalte hain
karte hain koshish har ehsaas ko qaid kar len dil mein
unhe jitnaa bhi roken woh aur bhi zyaadaa machalte hain

mud mud ke dekhte hain hum unke ghar ki khuli khidki ko
jab bhi kabhi hum unki galiyon se ho kar nikalte hain
baahon mein bhar len unhein yaa honthon se chhuu len hum
kaise kaise khayaal aajkal hamaare dil mein palte hain

lat yeh kyaa lagi humein ki hum neendon mein chalte hain
sard si hawaaon mein bhi aajkal kyun hum pighalte hain
kyaa yeh mohabbat hai yaa hai bas deewaanaapan hamaaraa
karte hain woh hanske baat kisise to hum bas jalte hai


No comments:

Post a Comment