Thursday, June 9, 2016

Tanhaai



meri tanhaai mein bas mere kadmon ki aahat hai
kuch deewaarein hain, unpe kuch tasveerein hai

hawaa se kuch tasveerein tedi ho gayi hain
aur kuch par dhuul ki parat si jam gayi hai
kuch haseen chehre chhip gaye hain dhuul mein
chalo achchaa hai hum hosh mein to hain
warnaa woh chehre fir madhosh kar denge humein
aur humein mohabbat ho jaayegi... fir se...

kuch kaagaz ke tukde hain meri sandook mein
unmein naam likhaa thaa kisi kaa kabhi humne
magar bas naam hi likh paaye they hum..
aur kuch likhne ki koshish hi nahi ki kabhi
ek naam hi to thaa hamaare jeewan mein unkaa
aur isse zyaadaa kuch bhi nahi thaa rishta unse

jaane kitne hi ghazal, adhure reh gaye hain
alfaaz bahut jode magar jud paaye nahi kabhi
kabhi dil ne saath nahi diyaa to kabhi dhadkan ne
kabhi saath milaa dono kaa to hum hi gum rahe
aaj baithe hain kaagaz ke kuch kore panne leke
likhne apni hi kahaani.. apni tanhaayi hum...
magar likhen bhi to kyaa likhen...

meri tanhaai mein bas mere kadmon ki aahat hai
kuch deewaarein hain, unpe kuch tasveerein hai



No comments:

Post a Comment