Monday, May 7, 2012

Tumhaari yaad aayi hai

kya huwa agar tum nahi aayi, tumhaari yaad to aayi hai,
sangh apne ye hawaayen aaj tumhaari khushboo laayi hai,

mehek tumhaare baalon ki jo paagal banaa deti thi kabhi,
paagal karne humko fir se in hawaaon ke sangh aayi hai,

band kar kisi kitaab me ek gulaab rakha tha humne kabhi,
aaj tumhaare ehsaas se us gulaab me bhi taazgi aayi hai,

raat khwaab me tumhaare seene se lag ke soya tha main kal,
aankh khuli to in aankhon me aaj tumhaari tasveer aayi hai,

aaj barson ke baad hamaari pehli mulaaquaat yaad aayi hai,
kuch palon ke liye hi sahi mere hothon pe muskaan aayi hai,

yakeen hai humein tumhaare aane ka tum aaoge ek din jarur,
na aaye tum aaj iska ghum nahi tumhaari yaad to aayi hai,

meri tanhaayi ko duur karne aaj tumhaari yaad aayi hai
sangh apne ye hawaayen aaj tumhaari khushboo laayi hai...

No comments:

Post a Comment