Thursday, May 17, 2012

Laut ke aanaa naa huwa

gaye jo rooth ke wo humse ek baar fir aanaa na huwa,
chaaha to bahut magar humse fir gungunaanaa na huwa,
likhte rahe hum har geet unki yaad me unke naam se,
par sach kahun to un geeton ko kabhi gaanaa na huwa,

karte rahe koshish mitaane ki har ek nishaani unki,
par dil me chhipe unki yaadon ko bhulaanaa na huwa,
jalaate rahe chiraag har shaam unki yaad mein magar,
hamaari andheri zindagi me roshni ka aanaa na huwa,

chhipaate rahe aansoo apne, dil hi dil rote rahe hum,
jo gaye wo duur humse to humaaraa muskuraanaa na huwa,
bahaane banaate rahe ki khush hain hum apni zindagi me,
par is tanha zindagi ko zindagi kehne ka bahaanaa na huwa,

ghum is baat ka hai ki unka kabhi hume apnaanaa na huwa,
aur hamaare is paagal dil ka kabhi unko bhulaanaa na huwa,
tadapte rahe hum har pal unki yaad me unse judaa ho ke,
aur unka kabhi hamaare baahon me laut ke aanaa na huwa....

No comments:

Post a Comment