Thursday, May 31, 2012

Kal raaat ki baat

kal raat chori se chupke se
use dekha tha maine baal banaate
jhaank ke apni khidki se
dekha maine use sajte sanwarte

andheri raat me thodi si roshni thi
unke kamre me wo akeli khadi thi
dekha maine use aaine me khud ko dekhte
aur dekh ke aaine ko wo muskuraai thi

jaane kya dekha usne khud me
angraayi leti hui usne fir se dekha khud ko
sheeshe se ek baar wo duur gayi
fir daud ke kareeb se usne dekha khud ko

wo dekh rahi thi khud ko aaine me
aur main usko apni khidki se
haaye! kya lamha tha wo kya bataun
dekha kisi haseen ko pehli baar
tha maine yun sajte sanwarte

dheere se usne apni chunni ko uthaayaa
khud ko chhipaaya sharmaake usme
fir achanak badi tezi se
us chunni ko hawaa me udaayaa usne

jhoom rahi thi jaane wo kis dhun me
kya tha jaane us pal uske mann me
main isi soch me dooba dekh raha tha use
ki achanak uske kamre me andhera huwa

fir ek meethi si awaaz aayi wahaan se

'mujhe milna hai mere piyaa se kal,
jaane kaise hoga wo pyaar ka pal,
seene se lag jaaungi main uske,
jab milenge mere sanam mujhse kal'

aage..........


kya hoga main apne kamre ki khidki
band karke takiye se chipak ke so gayaa... :P

No comments:

Post a Comment