Thursday, May 24, 2012

Kuch keh na paaye hum unse

yeh maaloom na tha ki pyaar kitna karte hain hum unse,
kehna to chaahaa bahut baar par keh na paaye hum unse,

har ek soch ka aghaaz hain wo aur anjaam bhi wohi hain,
apni kisi soch ke baare me kabhi keh na paaye hum unse,

kuch aadat si pad gayi thi in aankhon ko unhe dekhne ki,
kya haal hota hai unse judaa hoke keh na paaye hum unse,

dil ki baat dil me dabaa ke hum milte rahe unse har roz,
chaahte hain unhe kitna ye kabhi keh na paaye hum unse,

achcha lagta tha saath, haste khelte lamhe guzarte gaye,
un lamho me jo hamaara haal tha yeh keh na paaye hum unse,

dekhte hi dekhte wo bahut duur chali gayi humse judaa hoke,
par jaate jaate bhi apne dil ka haal keh na paaye hum unse,

tadapte rahe jis pyaar ke liye umra bhar wo na mila humein,
chali gayi kisi aur ki banke wo, kuch keh na paaye hum unse,

tanha the pehle, tanha hi reh gaye hum unke jaane ke baad,
par apne is tanhaayi ki wajah kabhi keh na paaye hum unse,

chaahte rahe dil hi dil unhe barso se par kya mila humko,
jab waqt aayaa haal sunaane ka kuch keh na paaye hum unse,

unke jaane ke baad sochte hain ki kaash keh diya hota unse,
kehna to chaahaa bahut baar par kabhi keh na paaye hum unse...

No comments:

Post a Comment