Friday, May 18, 2012

Aake zaraa dekh jaanaa

kabhi guzzro meri gali se to tum mere aashiyaane ko dekh jaanaa,
zaraa sa waqt nikaalke usme rehne waale deewaane ko dekh jaanaa,

umeed ka diyaa jalaayaa tha tumne kabhi aake usko dekh jaanaa,
tum aake us diye ke niche bas rahe har andhere ko dekh jaanaa,

kitaab ke panne palat ke usme chhipe sukhe gulaab ko dekh jaanaa,
tum mil na sako mujhse agar to wahaan pade sharaab ko dekh jaanaa,

kaagaz ke tumhe tukde milenge, tum har us tukde ko dekh jaanaa,
tukdo ko agar jod sako to unme tum apni tasveer ko dekh jaanaa,

puraane kuch tumhe khat milenge, tum har us khat ko dekh jaanaa,
har khat me tumhaaraa naam milega, tum apne naam ko dekh jaanaa,

khush ho tum ye maaloom hai mujhe, tum meri haalat ko dekh jaanaa,
aa naa sako tum mere jeete jee to aake mere laash ko dekh jaanaa...

No comments:

Post a Comment