Wednesday, May 23, 2012

Daud zindagi ki

zindagi ke kuch puraane panno ko palat ke dekhna chaahaa,
aaj maine fir se apna wo khoya huwa bachpan paanaa chaahaa,

bahut daud chuka hoon main raftaar me is duniyaa ke magar,
ek baar fir se un sukuun ke palon me laut k jaanaa chaahaa,

is bhaagti huyi zindagi me kahaan rukna hai iska pataa nahi,
maine aaj apne aane waaale waqt ke manzil ko jaannaa chaahaa,

kya main bahut duur aa chuka hoon ki laut ke jaa naa sakun,
aaj kuch pal akele baith ke kuch khushiyon ko paanaa chaahaa,

bahut dhundne par bhi mujhe wo sach dikhaaayi na de paayaa,
aaj fir se apne bachpan ki tarha dil se muskuraanaa chaahaa,

wo guzra huwa pal, wo khushi ke lamhe jo mere the kabhi,
un lamho ko maine ek baar fir se apne liye paanaa chaahaa,

zindagi ke kuch puraane panno ko palat ke dekhna chaahaa,
aaj maine fir se apna wo khoya huwa bachpan paanaa chaahaa...

2 comments: