Thursday, May 31, 2012

Tumhaari aarzoo rehti hai

aankhen band ho to tumhaari tasveer dikhti hai,
aankhen kholun to tumhaari aarzoo rehti hai,
dekhun na ek pal tumhe nazron ke saamne to,
tumhaari kasam hamaari jaan nikalti rehti hai...

Main aake tumse mil jaaunga

rakhna khol ke apni baahen, main aake seene se lag jaaunga,
aankhon ke raaste se hoke main tumhaare dil me utar jaaunga,
ghadiyaan intezaar ki ab bahut kam bachi hain meri jaanaa,
main suraj ki pehli kiran ke saath aake tumse mil jaaunga....
Kal raaat ki baat

kal raat chori se chupke se
use dekha tha maine baal banaate
jhaank ke apni khidki se
dekha maine use sajte sanwarte

andheri raat me thodi si roshni thi
unke kamre me wo akeli khadi thi
dekha maine use aaine me khud ko dekhte
aur dekh ke aaine ko wo muskuraai thi

jaane kya dekha usne khud me
angraayi leti hui usne fir se dekha khud ko
sheeshe se ek baar wo duur gayi
fir daud ke kareeb se usne dekha khud ko

wo dekh rahi thi khud ko aaine me
aur main usko apni khidki se
haaye! kya lamha tha wo kya bataun
dekha kisi haseen ko pehli baar
tha maine yun sajte sanwarte

dheere se usne apni chunni ko uthaayaa
khud ko chhipaaya sharmaake usme
fir achanak badi tezi se
us chunni ko hawaa me udaayaa usne

jhoom rahi thi jaane wo kis dhun me
kya tha jaane us pal uske mann me
main isi soch me dooba dekh raha tha use
ki achanak uske kamre me andhera huwa

fir ek meethi si awaaz aayi wahaan se

'mujhe milna hai mere piyaa se kal,
jaane kaise hoga wo pyaar ka pal,
seene se lag jaaungi main uske,
jab milenge mere sanam mujhse kal'

aage..........


kya hoga main apne kamre ki khidki
band karke takiye se chipak ke so gayaa... :P
Aaa jaao naa

kabse khadaa hoon tumhaari raahon pe
aake bhar lo mujhe apni baahon me
pyaasaa, taras rahaa hoon main
aajaao na aake chhoo lo mujhe
ye aadat achchi nahi tumhaari
ek pal kareeb aake duje pal duur jaane ki
sataate ho bahut mujhe tum
ye aadat achchi nahi tumhaari
duur baith ke muskuraane ki
kisi apne ko yun jalaane ki
aajaao na aake bhar lo mujhe baahon me
dekho kabse khadaa hoon main tumhaari raahon me....
Wo laut ke aayaa hai

koi dekhe aake meri aankhon mein aaj ki khushi kya hoti hai,
koi judaa ho ke agar fir mil jaaye to kitni khushi hoti hai,

main karta raha intezaar jiska aankhon ko bichaake raahon me,
wo aayi hai, dekho wo aayi hai, main bhar loon use baahon me,

main gaaun, main naachun, main jhoom loon aaj paagal banke,
haqeeqat me aaya hai jo khwaab banke baitha tha nigaahon me...
Main aansuu bahaataa nahee

chaahe koshish kitni bhi kar lo tum
yaadon se koi duur jaa paataa nahee
agar aasaan hota tumse duur reh paanaa
to main is tarha se tumhe bulaataa nahee

aur baat hai ki jee leta hoon tumhaare bina
kya karun itni asaani se koi mar paataa nahee
jo bandhan tumse hai meri saanson ka jaanaa
wo bandhan chaah ke bhi main tod paataa nahee

roz kai kai geet likhta hoon tumhaari yaad me
magar un geeton ko jaane kyun gaa paataa nahee
ghataa, kabhi saawan, kabhi badaal kehta hoon
par sahi shabdon ko main ab jod paataa nahee

main samajhta hoon tumhaari majbooriyaan
par main khud ko samjhaa paataa naheee
mohabbat maine ki nahi thi, ho gayi thi
ab main mohabbat ko bhulaa paataa nahee

aaine me kai kai baar khud ko dekhta hoon
usme main apni puraani chhavi dekh paataa nahee
kaash tum aajaati waapas mere paas sadaa k liye
to main is tarha apne aansuuu bahaataa naheee.....

Wednesday, May 30, 2012

Wo din mohabbat ke

yun to bahut duur hain tumse, yaadon se hum duur nahi hain,
dekhke tumhaari tasveeron ko aaj bhi tanha muskuraate hain,

kya din the wo, kyaa raatein thi, wo mausam mohabbat ke,
kho ke un yaadon me hum aaj bhi aksar bheeg jaate hain,

wo baatein tumhaari, wo muskaan tumhaari, kya bataaun,
tumhaari unhi adaaon me aaj bhi hum to doob jaate hain,

tumhaari wo aadatein humein aaj bhi bahut yaad aate hain,
likhe tumhaare geeton ko hum aaj bhi tanha gungunaate hain...
Wo kehti rahee, ye mohabbat nahee

main usse milne aksar jaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,
main kareeb bahut uske jaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,

har khushi main uspe lutaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,
main vaadon ko apne nibhaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,

main jaan apni usko bataataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,
pehchaan apni usko bataataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,

kaaton se usko harpal bachaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,
phoolon se uski raah main sajaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,

aansoo apne usse chhipaataa rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee,
main pyaar ussee behad karta rahaa,
wo kehti rahee, ye mohabbat nahee.....
Kabhi kabhi aa jaayaa karo

chalo hum ye nahi kehte ki tum gaayaa karo,
par kisi bahaane se is mehfil me aayaa karo,
khush ho lenge hum tumhaari moujudgi dekh ke,
bas aake tum mere kareeb baith jaayaa karo,

tumhaari aankhon ko dekh ke gaa lenge hum,
tum apni sharaabi aankhon ko le aayaa karo,
tumko na dekhen to koi geet bante nahi,
tum aake koi khoobsurat geet ban jaayaa karo,

tum mere bulaane pe yahaan aa jaayaa karo,
bas aake tum mere kareeb baith jaayaa karo....
Tumse bahut pyaar karta hoon

subah se shaam tak main kai kai baar marta hoon,
tasveer ko dekh tumhaare main aahen bharta hoon,
ye to majboori hai meri ki main mil nahi paataa tumse,
par yakeen to hoga tumko bhi tumse bahut pyaar karta hoon...

Tuesday, May 29, 2012

Tumhe seene se lagaa lunga

ye duuri kuch palon ki hai, main aake jald hi tumhe apnaa lunga,
sach kehta hoon jald hi aake main tumhaaraa haath thaam lunga,
tadap rahe ho jis pyaar ke liye tum barso se meri jaanaa,
dekhna bahut jald hi main aake tumhe apne seene se lagaa lunga...
Paas hi hoon

main kal bhi tumhaare paas tha aaj bhi paas hi hoon,
main to tumhaare dil mein chhipa koi ehsaas hi hoon,
ye duuri jismo ki hai par rooh to ek hai meri jaanaa,
duur ho chaahe jism par main tumhaare dil ke paas hi hoon...
Kaise likhen hum

bahut roye hain hum raat bhar tumhaari yaad me ye kaise likhen hum,
karwate badalte rahe raat bhar bistar pe kaise ye kaise likhen hum,
vaadaa kiya tha tumhe khush rakhne ka umra bhar wo kaise tode hum,
ro doge tum mera sach jaanke to kaho jhoot koi baat kaise likhen hum...

Hum paighaam likhte rahe

kaagaz ke tukdo pe hum kai kai baar tera naam likhte rahe,
milan duur hai apna ye soch pyaar ke paighaam likhte rahe,
sahi nahi jaati humse bhi dard-e-judaai tujhse meri janaa,
syaahi me milaake apne aansu hum har paighaam likhte rahe...
Khoobsurat tohfa

unki hi baatein mere zubaan pe subah se shaam hain,
unke naam ke siwaa mere dil me ab naa koi naam hai,
bin maagne hi aisa khoobsurat tofha mila hai rab se,
ab to unse hi mera aaghaaz aur mera har anjaam hai...
Shayad usne mujhe bhulaa diyaa hoga

apne 'telephone' ko is umeed se dekh leta hoon ki usne 'miss' kiya hoga,
apni khush haal zindagi me usne judaai ka dard shayad hi mehsus kiya hoga,
shayad usko ye bhi yaad nahi hoga ki kabhi main uska kitna khaas tha,
ulajh ke apne rishton ke bandhan ne usne mujhe jarur bhula diya hoga,

ye aur baat hai ki uske bina mere liye ek lamha bhi guzaarna mushkil hai,
par usne mujhse judaa hoke shayad hi mere un yaadon ko yaad kiya hoga,
mohabbat to usne bhi ki thi mujhse, is baat pe mujhe pooraa yakeen hai,
waqt jaise jaise guzarta gaya usne meri mohabbat ko bhi bhula diya hoga,

jin deewaaron pe kabhi meri tasveer dekha karti thi wo kuch waqt pehle,
un deewaaron ko aaj usne apne naye rishton ke rang me rang diya hoga,
kuch sukhe gulaab jo kabhi diye the maine use pyaar ki nishaaani bataake,
kisi lifaafe me baandh ke badi bedardi se nadi ke paani me bahaa diya hoga,

bade pyaar se, doobke uske khayaalon me maine kuch khat likhe the usko,
un khaton ko padha to hoga bade pyaar se par ab usne unhe jalaa diya hoga,
dar hoga use is baat ka ki kahin main laut ke na aa jaaun uski zindagi me,
isi dar se usne apni aadaton ko badalke khudko mujhse chhipa liya hoga,

par wo nadaan shayad jaanti nahi hai ki mohabbat to ek khoobsurat ehsaas hai,
maine to dil se kiya tha, usne dil behlaane ka ek zariya samajhke kiya hoga,
aaj bhi hawaaon me uski khushboo mehsoos karta hoon jaisa pehle karta tha,
ho sakta hai wo aaj mujhe pyaar nahi karti par yakeen hai kabhi to kiya hoga...

Saturday, May 26, 2012

Tum mujhe achchi lagti ho

ye aur baat hai ki main tumse kehta nahi
par sach hai ki tum mujhe achchi lagti ho
tum jo bhi ho, jaisi bhi ho, har haal me
dil se kehta hoon tum mujhe achchi lagti ho

tumhaaraa sharmaanaa, tumhaaraa muskuraanaa
paas aate aate tumhaaraa duur chale jaanaa
sataati ho mujhe, jalaati ho mujhe, magar
jo bhi karo tum mujhe bahut achchi lagti ho....

Friday, May 25, 2012

Lamhe deewaanepan ke

wo lamhe deewaanepan ke aaj bhi bahut yaad aate hain,
soch ke tumhaari baaton ko hum tanha muskuraate hain,
kho jaate hain jaane kahaan, khud ki khabar rehti nahi,
tumhaare likhe un geeton ko ab hum tanha gungunaate hain...
Chaahatein yaad aati hain

ho nahi tum saath mere par tumhaari baatein yaad aati hain,
tumhaare sangh wo meri puraani mulaaquaatein yaad aati hain,
dekhta hoon kabhi kabhi main palat ke panne apne 'album' ke,
har tasveer ko dekh ke guzri hui wo raatein yaad aati hain,

main bhoola hoon kuch tumhaare baare me aisa ho nahi sakta,
tanhaa raaton ki tanhaayion me tumhaari aahatein yaad aati hain,
kehte ho tum jise dosti main use mohabbat ka naam deta hoon,
kuch yaad aaye na aaye magar tumhaari chaahatein yaad aati hain....
Bhool jaaoge ye duniyaa saari

chalunga main tumhaaraa haath thaame, kabhi ladkhadaane na tumko dunga,
chalte chalte koi thokar lage to, baahon me tumhe main apne bhar lunga,
ab phool aur titli hi kya hai, shamaa kya hai, parwaanaa kya hai,
bhool jaaoge tum ye duniyaa saari, jaanaa itna main tumhe pyaar kar lunga...

Thursday, May 24, 2012

Tuta dil kiska hai

kya khoya maine hai
kya khoya usne hai
kya paayaa maine hai
kya paayaa usne hai
toota dil kiska hai
mera hai ya uska hai

kal wo meri khaas thi
main bhi uska khaas tha
kal wo mere paas thi
main bhi uske paas tha
aaj rishte kuch aur hai
kuch mera kuch uska hai
dil jo aaj tuta hai
mera hai ya uska hai

kaanch ka tha dil mera
usne jisko toda hai
saath reh ke kuch pal
usne hi muh moda hai
aaj sooni baahen hain
tanha har ek rasta hai
jaane kya aaj mehenga hai
par pyaar bahut sasta hai
toota dil kiska hai
mera hai ya uska hai

bheed me bhi tanha hoon
saath uska chhoota hai
jaane kya wajah hui jo
yaar mera rootha hai
kasme kuch jo tuti hain
vaade kuch jo tute hain
dhundne chalaa hoon main
kya mera kya uska hai
toota dil ye kiska hai
mera hai ya uska hai.....
Hum ye nahi kehte

hum ye nahi kehte ki hamaari aashiqui farhaad se zyaadaa hai,
hum ye nahi kehte ki sachcha aashiq bannaa hamaaraa iraadaa hai,
aashiqui to wo ehsaas hai jo jannat se bhi pyaaraa hai, magar
kya karna jannat ka, bas tumhaari baahon me rehne ka iraadaa hai...
Pyaar bahut karta hai

lehron ki aawaaz se mera mann jhoomne ko karta hai,
koi chehra hai jis se ye dil pyaar bahut karta hai,
paagalon sa rehta hai, aur pyaar ke geet gaataa hai,
dil me chhipaake rakha hai bas kehne se ye darta hai...
Kuch keh na paaye hum unse

yeh maaloom na tha ki pyaar kitna karte hain hum unse,
kehna to chaahaa bahut baar par keh na paaye hum unse,

har ek soch ka aghaaz hain wo aur anjaam bhi wohi hain,
apni kisi soch ke baare me kabhi keh na paaye hum unse,

kuch aadat si pad gayi thi in aankhon ko unhe dekhne ki,
kya haal hota hai unse judaa hoke keh na paaye hum unse,

dil ki baat dil me dabaa ke hum milte rahe unse har roz,
chaahte hain unhe kitna ye kabhi keh na paaye hum unse,

achcha lagta tha saath, haste khelte lamhe guzarte gaye,
un lamho me jo hamaara haal tha yeh keh na paaye hum unse,

dekhte hi dekhte wo bahut duur chali gayi humse judaa hoke,
par jaate jaate bhi apne dil ka haal keh na paaye hum unse,

tadapte rahe jis pyaar ke liye umra bhar wo na mila humein,
chali gayi kisi aur ki banke wo, kuch keh na paaye hum unse,

tanha the pehle, tanha hi reh gaye hum unke jaane ke baad,
par apne is tanhaayi ki wajah kabhi keh na paaye hum unse,

chaahte rahe dil hi dil unhe barso se par kya mila humko,
jab waqt aayaa haal sunaane ka kuch keh na paaye hum unse,

unke jaane ke baad sochte hain ki kaash keh diya hota unse,
kehna to chaahaa bahut baar par kabhi keh na paaye hum unse...

Wednesday, May 23, 2012

Mere dil ki kahaani

har shaam usko bhulaane ki ek nayi kahaani banaataa raha,
aur har kahaani me naam bas usi ka main gungunaataa raha,

yun to kehta raha ki yaad ab nahi aati mujhe us bewafaa ki,
aur har shaam usi ki yaad me ek nayaa chiraag jalaataa raha,

aasaan hai kehna ki bhool jaaunga use main kuch palon me,
par has us pal me usi ke naam se main aansoo bahaataa rahaa,

kehta hoon har kisi se ye dil paththar ka hai, ise dard nahi,
sach to ye hai ki har roz uske ghum me toot ke bikharta rahaa,

shamaa ki yaad me main khud ko parwaanaa samajh jalaataa rahaa,
talaash me zindagi ke dheere dheere maut ke kareeb jaataa rahaa...
Daud zindagi ki

zindagi ke kuch puraane panno ko palat ke dekhna chaahaa,
aaj maine fir se apna wo khoya huwa bachpan paanaa chaahaa,

bahut daud chuka hoon main raftaar me is duniyaa ke magar,
ek baar fir se un sukuun ke palon me laut k jaanaa chaahaa,

is bhaagti huyi zindagi me kahaan rukna hai iska pataa nahi,
maine aaj apne aane waaale waqt ke manzil ko jaannaa chaahaa,

kya main bahut duur aa chuka hoon ki laut ke jaa naa sakun,
aaj kuch pal akele baith ke kuch khushiyon ko paanaa chaahaa,

bahut dhundne par bhi mujhe wo sach dikhaaayi na de paayaa,
aaj fir se apne bachpan ki tarha dil se muskuraanaa chaahaa,

wo guzra huwa pal, wo khushi ke lamhe jo mere the kabhi,
un lamho ko maine ek baar fir se apne liye paanaa chaahaa,

zindagi ke kuch puraane panno ko palat ke dekhna chaahaa,
aaj maine fir se apna wo khoya huwa bachpan paanaa chaahaa...
Wo mohabbat kare kaise

aise deewaanepan ka ilaaz koi kare to kare kaise,
doob ke dard ke samundar me koi pyaar kare kaise,

jiske kismat me siwaaye ghum ke kuch bhi nahi hai,
tumhaare liye khushiyon ka mahal khadaa kare kaise,

rootha nahi hai, bas chhipaa hai tumhaari nazron se,
apni haalat ko dekhke sochta hai saamnaa kare kaise,

fark bahut hai haisiyat me tumhaare aur uske jaanlo,
zameen ka tukda hai chaand ki wo tamanna kare kaise,

chaahta hai tumhe wo sach me har ek cheez se badh ke,
tum hi kaho apni is mohabbat ka wo izhaar kare kaise...

Wo aayenge laut ke

jinhone bulaayaa tha humein bas wo hi laut kar nahi aaye,
dhundte rahe unhe har jagah par wo kahin nazar nahi aaye,

ek waqt tha jab unke bina ek lamha bhi guzaarna mushkil tha,
aaj unke intezaar me hain hum aur wo laut ke ghar nahi aaye,

kuch to baat hogi ki wo naraaz hain humse, judaa hain humse,
aayenge laut ke ye sochke aankhon ko neend palbhar nahi aaye...

Mohabbat ki kahaani

agar khushi milan ki hai kuch pal ki to ghum judaai ka bhi hai,
wafaa ki misaal hai mohabbat ko kahin kahin bewafaai bhi hai,
mumkin nahi ki har khushi mil jaaye imtihaan me mohabbat ke,
kahin rang hai ummeedon ka to kahin naaummeedi ki parchhaai bhi hai...
Socha nahi tha

gunaah mohabbat ka karne se pehle kabhi socha nahi tha,
sazaa milegi iski kabhi humein ye kabhi socha nahi tha,
darte nahi hain hum jal jaane se mohabbat me oh jaanaa,
chaahte hain tumhe, kisi aur ke baare me socha nahi tha...
Achchi baat nahi

yun roz roz baatein banaanaa achchi baat nahi,
jhoote bahaano se mujhe samjhaana achchi baat nahi,
ab judaai sahi nahi jaati mujhse ek pal ki bhi,
is tarha kisi ka dil dukhaanaa achchi baat nahi...
Aadhi adhuri mulaquaat na karo

yun badhaa ke meri pyaas tum jaane ki ab baat na karo,
is tarah har roz tum aadhi adhuri mulaaquaat na karo,
theher jaao kuch pal aur meri bahon me o meri jaanaa,
jee len kuch pal saath, tum tanha meri ye raat na karo...
Bewajah mohabbat

kya mumkin nahi ki jiye hum apni khushi ke liye,
hasna bhi hai to kyun kisi aur ki marzi ke liye,
achcha hota ki hum aate nahi is duniya me kabhi,
yahaan karen mohabbat bhi to kisi wajah ke liye...
Dil ka paagalpan

main yun to apne dil ki koi baat kisi se keh paataa nahi,
par dekha hai jabse tumhe main chup ek pal reh paataa nahi,
dil ki har ek baat bataane tumko dauda chalaa aataa hoon main,
jaanaa, dil ke paagalpan ko main chaah ke bhi ab rok paataa nahi...
Hadd se guzar jaane do

doob ke tumhaari aankhon me mujhe aaj zaraa mar jaane do,
jo bhi dil ki hasratein hain unhe aaj poori kar jaane do,
bahut tarsa hoon, bahut tadpa hoon, aaj na roko mujhe tum,
tutke baahon me mere tum ishq ko hadd se guzar jaane do....

Tuesday, May 22, 2012

Aashiq jal jaaya karte hain

shamaa se mil jaane ko hi parwaane aayaa karte hain,
ishq wo aag hai jisme aashiq jal jaayaa karte hain,
dekhte rahe duur se aur darte rahe mohabbat se, hum
aise aashiq nahi jo  maut se dar jaayaaa karte hain...
Main tumhe mashoor kar dunga

meri mohabbat me main tumhe mashoor kar dunga,
duniya ke har ek ghum se tumhe duur kar dunga,
reh na sakoge tum mujhse juda ho ke ek pal bhi,
chaahat me meri tumhe main itna majboor kar dunga...
Wo aayenge kabhi

kitne saawan guzar gaye unki yaad mein, par wo na aaye kabhi,
wo aayenge ek din laut ke ye maine khud ko samjhaa rakha hai,

ghum nahi is baat ka der lagegi unko aane me, par aayenge wo,
unke intezaar me raahon pe kab se nazron ko bichaa rakha hai,

kya tohfa de unhe pyaar ka ye samajh na paaye kabhi, is liye,
gulaab ke kuch phoolon se maine apne ghar ko sajaa rakha hai,

aayenge unhe aanaa hoga, is baat ka aaj bhi yakeen hai mujhe,
yahi wajah hai unki har nishaani ko seene se lagaa rakha hai,

tasveer unki aankhon me basi hai use sabse chhipaa rakha hai,
unki har ek yaad ko aansu banaake aankhon me basaa rakha hai...

Humein unse mohabbat nahi

wo samajhte hain ki humein unse mohabbat nahi
ye aur baat hai ki hum unse kabhi bataate nahi
dil me chhipaa ke rakhte hain dil ka har ehsaas
pyaar to karte hain par kabhi hum jataate nahi...
Deewaana kar loon

aajao meri baahon me ki tumse thoda pyaar kar loon,
doob ke tumhaari aankhon me tumpe aetbaar kar loon,
main aashiq tumhaari adaaon ka hoon jaan-e-jana,
chaahat me khudko deewaanaa main har baar kar loon...
Duur jaati nahi

yun to unse judaa ho ke arsa beet chuka,
par unki yaadein mujhse duur jaati nahi,
kehne ke liye main duur ho unse magar,
wo tasveer mere aankhon se duur jaati nahi....
Yaadein hain

maasoom si mohabbat ki maasoon si yaadein hain,
kuch poori aur kuch adhuri si mulaqaatein hain,
juda hoke unse kuch ab achcha nahi lagta humein,
achchi lagti hain mujhe unki puraane baatein hain.....

Monday, May 21, 2012

Khwaabon ko sajaati ho

baarish ki koi boond banke tum mujhe chhoo jaati ho,
chhoo ke mere tan badan ko mujhe gudgudaa jaati ho,
main tadapta rehta hoon ki chhoo sakun tumhe kabhi,
tum hawaa me khushboo banke bas udti chali jaati ho,

tum neend me aake mere haseen khwaabon ko sajaati ho,
jaag ke tumhe dhundu to tum kahin gum si ho jaati ho,
main udaas, paagal sa banke, dhundta hu tumhe har jagah,
aur tum chhipke baadalon me mujhe dekh ke muskuraati ho,

tum gulaab ho kisi baag ka, kisi aangan ko sajaati ho,
tum dariyaa ko pyaar ka, kisi ki pyaas ko bujhaati ho,
pyaasaa to sanam main bhi hoon, tum ek baar aajaao na,
har kisi se milti ho tum, bas mujhe hi tadpaa jaati ho....
Jaan-e-jahaan

dekhta hoon tumhaari aankhon ko to bas dekhta hi rehta hoon,
na dekhun tumhe to yaaron se tumhaari baatein hi kehta hoon,
chhipata hoon tumse main har ek baat apne dil ki magar main,
har ek geet me apne tumhe hi apna jaan-e-jahaan kehta hoon...
Kuch aur baat hoti

sochta rehta hoon ki kaash tu mere saath hoti,
tu hoti meri zindagi me to kuch aur baat hoti,

khush hoon main aaj, shaq nahi koi is baat ka,
magar tere hone se khushiyon ki aur baat hoti,

yun to kai log mile jahaan me aur milke bichhde,
tere jaisa koi saath hota to kuch aur baat hoti,

kuch haseen mulaaquatein, kuch haseen baatein hoti,
tu hoti meri zindagi me agar to kuch aur baat hoti,

apna bhi ek aashiyaan hota, jise main apna keh sakta,
kaash tu meri hoti to zindagi ki kuch aur baat hoti....

Saturday, May 19, 2012

Na socha tha

bade armaano ke saath dil lagaayaa tha tumse,
na socha tha ki tum saath chhod jaaaoge mera,
chal ke kuch pal saath jeewan ke safar me tum,
na socha tha is tarha haath chhod jaaoge mera...

Friday, May 18, 2012

Wo bahut der se gayi

shayad hamaari mohabbat me koi kami reh gayi,
jaate jaate wo humein hi bewafaa keh gayi,
jana tha chhod ke hamaara saath chali jaati,
par ghum bas is baat ke hai ki bahut der se gayi...
Aake zaraa dekh jaanaa

kabhi guzzro meri gali se to tum mere aashiyaane ko dekh jaanaa,
zaraa sa waqt nikaalke usme rehne waale deewaane ko dekh jaanaa,

umeed ka diyaa jalaayaa tha tumne kabhi aake usko dekh jaanaa,
tum aake us diye ke niche bas rahe har andhere ko dekh jaanaa,

kitaab ke panne palat ke usme chhipe sukhe gulaab ko dekh jaanaa,
tum mil na sako mujhse agar to wahaan pade sharaab ko dekh jaanaa,

kaagaz ke tumhe tukde milenge, tum har us tukde ko dekh jaanaa,
tukdo ko agar jod sako to unme tum apni tasveer ko dekh jaanaa,

puraane kuch tumhe khat milenge, tum har us khat ko dekh jaanaa,
har khat me tumhaaraa naam milega, tum apne naam ko dekh jaanaa,

khush ho tum ye maaloom hai mujhe, tum meri haalat ko dekh jaanaa,
aa naa sako tum mere jeete jee to aake mere laash ko dekh jaanaa...
Socha tha

chaahaa tha kisi ko khud se badhke maine,
socha tha har khushi main laa dunga usko,

maang le kabhi agar koi sitaaraa mujhse,
taye tha chaand tak main laa dunga usko,

main kaante sab chun lunga uske daaman se,
duniyaa ka har ek phool main la dunga usko...

Thursday, May 17, 2012

Kahin murjhaa naa jaao

bahut kareeb hoon tumhaare par chhoota nahi hoon,
is dar se ki tum koi chhui-mui ho, sharmaa naa jaao,

dil me kasak uth_ti hai tumhaare hothon ko chhoo loon,
par is dar se nahi chhootaa kahin tum ghabraa naa jaao,

chaahun to tumhe seene se lagaa ke pyaar kar loon,
par phool to tum gulaab ka, kahin murjhaa naa jaao...

Thoda aur jee lete

kuch der aur baith jaate hamaari aankhon ke samne,
to aankhon se tumhaare husn ko thoda aur pee lete,
yun to maar hi daalaa hai tumne apne ishq me jaana
ruk jaate agar tum to hum shayad thoda aur jee lete...
Mann ho jaataa hai humein

ye kaise ummeed kar sakti ho humse hi hum hosh me rahe,
dekh ke tumhaari aankhon ko nashaa ho jaataa hai humein,
yun to aadaat nahi peene ki humein sharaab, par sach hai,
hothon ko dekh tumhaare peene ka mann ho jaataa hai humein,

titliyon ko dekha hoga tumne bhi phoolon pe mandraate huye,
dekh tumhaari surat titli banne ka mann ho jaata hai humein,
bheegi gui kaayaa ko dekh loon kabhi agar kisi barsaat mein,
baarish me mohabbat ke bheeg jaane ka mann ho jaata hai humein....
Main tumhe kya de paaunga

kyun chaahti ho tum mujhe, main tumhe kya de paaunga,
kisi hawaa ke jhaunke ke saath kabhi main udd jaaunga,

sar chhipaane ko chaat nahi, main tumhe kya de paaunga,
kisi bhaari barsaat me main paani ke saath beh jaaunga,

kaanch ka dil hai mera, main tumhe pyaar na kar paaunga,
koi mamooli si chot lagte hi main tut ke bikhar jaaunga,

tanhaa hi main rehta hoon, main ab saath kya de paaunga,
tanhaayi me rehte rehte main kabhi tanha hi mar jaaunga,

khwaabon ka hoon mahal banaata, main tumhe kya de paaunga,
ret ke kisi tiley ki tarha kabhi main tut ke bikhar jaaunga,

chaahti ho tum khud se zyaaadaa, par tumhe chaah na paaunga,
chaahat me haaraa khilaadi hoon, kabhi chaahat na kar paaunga,

khaayaa hai dhoka maine kabhi, main ab aetbaar na kar paaunga,
ab haste haste is duniya se bin mohabbat ke hi guzar jaaunga....

Pyaar tumhi se karta hoon

jaanaa main tumpe marta hoon,
aahen tumhaare naam se bharta hoon,
kyun tum dekh nahi paati kabhi,
main pyaar sirf tumhi se karta hoon...

Hum unhe yaad na karen

wo kehte rahe ki hum unke liye koi fariyaad na karen,
intzaar me unke hum apna kimti waqt bardaad na karen,
mumkin hai ki hum saans lena chhod de kuch pal k liye,
par ye kaise mumkin hai kabhi hum unhe yaad na karen...
Samjhaate rahe

jhoot nahi kehte apno se use har baar samjhaate rahe,
karte rahe pyaar uss se aur use dosti samjhaate rahe,
thaam lete they uska haath har baar chaahat me hum, par
uske poochhne pe use haath ki rekhaayen samjhaate rahe...
Laut ke aanaa naa huwa

gaye jo rooth ke wo humse ek baar fir aanaa na huwa,
chaaha to bahut magar humse fir gungunaanaa na huwa,
likhte rahe hum har geet unki yaad me unke naam se,
par sach kahun to un geeton ko kabhi gaanaa na huwa,

karte rahe koshish mitaane ki har ek nishaani unki,
par dil me chhipe unki yaadon ko bhulaanaa na huwa,
jalaate rahe chiraag har shaam unki yaad mein magar,
hamaari andheri zindagi me roshni ka aanaa na huwa,

chhipaate rahe aansoo apne, dil hi dil rote rahe hum,
jo gaye wo duur humse to humaaraa muskuraanaa na huwa,
bahaane banaate rahe ki khush hain hum apni zindagi me,
par is tanha zindagi ko zindagi kehne ka bahaanaa na huwa,

ghum is baat ka hai ki unka kabhi hume apnaanaa na huwa,
aur hamaare is paagal dil ka kabhi unko bhulaanaa na huwa,
tadapte rahe hum har pal unki yaad me unse judaa ho ke,
aur unka kabhi hamaare baahon me laut ke aanaa na huwa....

Wednesday, May 16, 2012

Aao kabhi

kuch sukhe gulaab milenge
kuch puraane khat milenge
aao kabhi mere aashiyaane me
kuch bikhre huye khwaab milenge...

Roya nahi hoon

tere aahat ke intzaar me main kab se soya nahi hoon,
dekh na le mujhe tu rote huye isliye roya nahi hoon....

Pehle jaisi baat naa rahi

chaahte to hum aaj bhi hai kisi ko jaan se badh ke,
par shaayad us chaahat me pehle jaisi baat na rahi,
mil lete hain kai chehron se mehfilon me hum aksar,
shayad ab pehli jaisi haseen koi mulaaquaat na rahi,

yun to safar me zindagi ke kai log mile kai bichhde,
maanga tha jinka saath kabhi wo mere saath na rahi,
har raat khwaabon me chehra kisi ka hota tha kabhi,
raat khwaab me mere aajaayen wo haseen raat na rahi,

mahal khadaa kiya tha humne apne armaano ka ret se,
toofaan me wo dheh gaya, baaki koi bhi baat na rahi,
maangte the kabhi kisi ko apni duwaaon me hum aksar,
par kaise bataaun ki wo surat mujhe ab yaad na rahi...

Tuesday, May 15, 2012

Wo mujhe bulaa rahi hai

dekho na kitne pyaar se mujhe wo dekh rahi hai,
apni aankhon se mujhe apne kareeb bula rahi hai,

hothon pe apne kaliyon si muskuraahat sajaa ke,
dekho na mere ang ang ko kaise gudguda rahi hai,

aisa lag raha hai maano mere saamne khadi hai wo,
uski tasveer ko dekh mujhe uski yaad aa rahi hai,

maaloom hai wo hai nahi meri, mere paas nahi hai,
par dekho na ab bhi uski tasveer muskura rahi hai,

kab tak yunhi tadapta rahunga main uski yaad me,
dekho na mujhse duur reh ke mujhe tadpa rahi hai,

suna tha ki mohabbat koi aag hai jo jalaa deti hai,
aisa lag raha hai ki wo aag aaj mujhe jala rahi hai,

hawaa ka koi jhaunka aake udaa le gaya us tasveer ko,
dekho na kis andaaz me mujhse aaj wo sharma rahi hai,

dekh uski tasveer ko mujhe uski yaad aa rahi hai,
dekho na mujhse duur rek ke mujhe tadpa rahi hai...

Unki yaad

jitni koshish ki humne duur jaane ki unse
wo hamare aur bhi kareeb aate chale gaye
hum karte rahe koshish unhe bhulaane ki
wo humein aur zyaada yaad aate chale gaye
Unko yaad karte hain

hum aaj bhi unse judaa hoke unhi ko yaad karte hain,
wo nahi milte par hum milne ki fariyaad karte hain,
dil me aaj bhi ummeed ka chiraag jalaa rakha hai,
aur tadap ke mohabbat me khud ko barbaad karte hain...

Chhipaaya nahi karte

dekho yun apne dil ki baat kisi se chhipayaa nahi karte,
dil me jo ho baat wo kabhi dil me dabaayaa nahi karte,

kya pata jo kehna hai tumhe aaj unse kal keh na sako,
waqt ke guzar jaane ke baad kabhi pachhtaaya nahi karte...
Main kuch bhi nahi hoon

main tumse hi tha aur aaj bhi tumse hi hoon
tumse juda ho ke main kuch bhi to nahi hoon

tumse hi saanse, tumse hi dhadkan hai meri
tumse judaa ho ke main zinda bhi nahi hoon

soch meri tumse hai, tumpe hi aake rukti hai
tumse judaa kuch bhi main sochta to nahi hoon

suraj sahi, chanda sahi, taare bhi mere saath hi
par un sabon ke hone se main roshan to nahi hoon

tum hi ho meri har khushi, tum hi ho meri zindagi
tum nahi to kuch nahi, main kuch bhi to nahi hoon...
Hriday

'Hriday' kya hai, bas ek naam hi to hai,
dil se nikli dil ki ek aawaaz hi to hai...
Agar do dil mil nahi paate hain

agar do dil mohabbat me mil nahi paate hain
to wo bas samjhauta hi banke reh jaate hain

kuch rishton ki khushi ke baare me sochte hain
kuch rishton ko wo haste huye chhod jaate hain

bas naam ke liye hi rishton ko wo nibhaate hain
dil me bharke dard ko har lamha muskuraate hain

aashaayen, na ummeeden, na hote koi khwaab hain
kismat ko apne koske zindagi ko jeete jaate hain
Lamhe

khoobsurat se ye lamhe hum kaise bhool paayenge,
tumse duur jaake bhi hum tumhe bahut yaad aayenge...

Monday, May 14, 2012

Apne dil ka haal sunaanaa hoga

tumhe apne dil ha haal apne piya ko sunaanaa hoga,
jo dard hai tumhaare seene me ye usko bataana hoga,
ye thik nahi ki tum tadapti raho akeli uski yaad me,
tumharaa sach jaanke usko bhi tumhe apnaanaa hoga,

main ye nahi kehta ki tum maan lo uski har ek baat,
par tumhaara jo khayaal hai usko ye samjhaanaa hoga,
ho sakta hai usko buri lage tumhaari baat, gusaa kare,
par kam se kam ek baar to usko tumharaa dard jaanna hoga,

maut aasaan hai paana magar tum hi kaho isse kya hoga,
tum kya chaahti ho ye ek baar to usko batlaanaa hoga,
ho sakta hai uski bhi kuch majbooriyaan hai aaj wahaan,
par ek baar to usey laut ke tumhaare paas aanaa hoga,

toofaan hai is pal, par har toofaan ko shaant ho jaanaa hoga,
banjar hai aaj zameen, par bahaaron ko bhi wahaan aanaa hoga,
kya huwa jo aaj ghaamon ke baadal kaale chaaye hain aasmaan me,
un baadalon se tuumhaare liye khushiyon ko baras jaanaa hoga,

na karo tum yun afsos ki kuch kehna tha usse, keh nahi paaye,
bulaa ke dekho usko, ek baar usey tumko sun ke jaanaa hoga 
tumhe apne dard bhare dil ha haal apne piya ko sunaanaa hoga,
jo dard chhipaa hai tumhaare seene me ye usko batlaana hoga...
Bahut der se gaye

unko jaanaa tha apne raaste, wo chale gaye,
ghum is baat ka hai ki wo bahut der se gaye,

humne jo mahal banaaye the khwaabon ke kabhi,
wo khwaab kaanch ke the jinhe wo tod ke gaye,

dil apna deewaana tha jisne sirf unhi ko chaaha,
unko taras bhi naa aayi jab tanha chhod ke gaye,

jinko dekh ke kabhi hum muskuraate the har pal,
aaj wahi hamaare aankhon me aansoo chhod ke gaye,

unko jaanaa tha apne raaste, wo chale gaye,
ghum is baat ka hai ki wo bahut der se gaye....
Kaun chaahta hai

tumhaare baahon ke ghere ko chhod bhalaa jaanaa kaun chaahta hai,
tumse judaa hoke pyaar ka geet yahaan gungunaana kaun chaahta hai,
muskuraane ki ye aadat hamaari tumhaare kaaran hi hai meri jaanaa,
tumhaari aankhon me aansoo laake yahaan muskuraana kaun chaahta hai....
Haalat hamaari

hamaari bhi kahaani kuch kuch aisi hi hai,
saanson ki rawaani bhi kuch waisi hi hai,
mar rahi ho tum har pal me sau sau baar,
aur haalat hamaari bhi tum jaisi hi hai....

Saturday, May 12, 2012

Main tumhe paana chaahta tha

main tumhe chot nahi pahuchana chaahta tha,
main to sirf aur sirf tume paana chaahta tha,
jo huwa, wo bas us haalaat ne mujhse karwaaya,
main to hameshaa hi tumhe apnaana chaahta tha,

jise khud se badh ke chaaha tha kabhi maine,
jab usi ne mujhe usse duur jaane ko kaha to,
kaho kaise main rok paata khud ko aisa karne se,
main to bas tumhe seene se lagaana chaahta tha,

main to sanam ki baahon me mar jaana chaahta tha,
main to sirf aur sirf tumhi ko paana chaahta tha....

Friday, May 11, 2012

Ek din

bahut duur hoon aaj tumse par laut aaunga main ek din,
tumko paane ke liye hadd se guzar jaaunga main ek din,
jhootla dunga har ilzaam tumhaara paas aaunga jab main,
baahon me bhar ke tumhe pyaar kar jaaunga main ek din...
Main khudko haarta dekhna chaahta hoon

kuch adhure panne mere jeewan ke main palat ke dekhna chaahta hoon,
jo dekh nahi saka tha pehle wo saara sach main dekhna chaahta hoon,

un kheton me suraj ki garmi me tumhaaraa haath tham ke chalta tha,
haar ke apne aap se haathon me tumhaara haath dekhna chaahta hoon,

maaloom hai maine tumhaare saath chhal kiya hai, dhokha diya hai,
main tumhaari aankhon me khoya huwa vishwaas dekhna chaahta hoon,

todna aasaan hai rishton ko ye maaloom hai aur jodna utna mushkil,
halaaton se jung ladke main aaj hamaaraa saath dekhna chaahta hoon,

main haara huwa ek khilaadi hoon, ab haarne ki taaqat nahi hai meri,
main ab tumhaari mohabbat me khudko haarta huwa dekhna chaahta hoon...
Kya rishta hai tumse

kuch ajeeb sa hai rishta tumse,
kuch ajeeb sa hai naata tumse,
maaloom hai mujhe ye pyaar nahi hai,
par mera koi atoot bandhan hai tumse,

dil ki har ek baat samajhti ho tum,
kabhi hasti to kabhi hasaati ho tum,
dekhta hoon tumhe to dekhta rehta hoon main,
jaane kaisa ye rishta hai tumse,

bheed me bhi tumhaari yaad aati hai,
tanhaayi me tumhaari yaad sataati hai,
har chehre me tumhaara chehra dikhta hai,
jaane ye kaisa rishta hai tumse,

koi to bataaye mujhe ki aisa kyun hota hai,
koi itna kareeb kyun ho jaata hai,
jiski duuri se dar lagne lage kabhi,
kuch aisa hi mera rishta hai tumse,

samajh me mere aata nahi hai,
kuch ajeeb sa mera rishta hai tumse.....
Sikh raha hoon

sikha tha usise maine jeene ka har ek andaaz,
ek baar fir zindagi ko jeena sikh raha hoon,

phulon se dosti karke ke dekh liya maine,
ab main kaanton pe chalna sikh raha hoon,

sikhaataa tha kabhi sabhi ko ghum se duur rehna,
ab jaise main khud hi muskuraana sikh raha hoon...
Main mohabbat bhulaane aaya hoon

apne dil se main teri kahaani mitaane aaya hoon,
pyaar ki har ek nishaani main lautaane aaya hoon,

udke aayegi hawaaon ke saath raakh ye maaloom hai,
fir bhi main aaj tere khaton ko jalaane aaya hoon,

laal gulaab jisse aaj bhi pyaar mehekta hai tera,
band karke lifaafe me aaj use lautaane aaya hoon,

jin chiraagon se roshan hui thi ye duniyaa hamaari,
un chiraagon ko apne haathon se bujhaane aaya hoon,

rakh ke paththar apne dil pe tere dar pe khadaa hoon,
apne hi haathon apne armaano ka qatl karne aaya hoon,

wo hawaayen jo kabhi apne saath mohabbat laati thi,
un hawaaon ka rukh bhi main aaj badalne aaya hoon,

dil ke apne dard chhipaake geet sunaane aaya hoon,
main apne dil se teri har kahaani mitaane aaya hoon,

main aaj pyaar ki har ek nishaani mitaane aaya hoon,
bhulaake khudko main aaj mohabbat bhulaane aaya hoon...

Thursday, May 10, 2012

Qatl kiya hai usne

kaise bataayen ki kya zulm kiya hai usne,
nazar se apne hamaara qatl kiya hai usne,

dekha jab pehli nazar to dekhte rahe use,
jaaduu se husn ke deewaana kiya hai usne,

kaajal se kaali aankhon kaa jaaduu hi tha,
ki jaaduu se pyaar ke pagal kiya hai usne,

shabnami uske hothon ki kya taarif karun,
apne har andaaz se ghaayal kiya hai usne,

uske zulfon ke baadal se jab andhera huwa,
pyaar se apne uzaalaa tab kiya hai usi ne,

baahon ke ghere me aake mere seene se lagi,
mere dil ki dhadkano ko tez kiya hai usne,

kya karun, kya na karun, kuch hosh hi nahi,
nashe me apne ishq ke paagal kiya hai usne,

'jaan meri jaan' keh ke jaan le liya usne,
pyaar se apne hamaara qatl kiya hai usne...
Mujhe yaad hai

us shahar ki aakhri shaam mujhe yaad hai
uske saath wo aakhri mulaaquaat yaad hai
bhoolne ko to bhool jaayen hum apna pata
magar uus haseen ki har ek baat yaad hai

mili aakhri baar bhi har ek baar ki tarha
uska mere baahon me aajaana mujhe yaad hai
seene se lagte hi mere ro padi jaane kyun
uska us din aansoo bahaanaa mujhe yaad hai

baithi mere paas mera wo haath thaam ke
chup si thi, khaamosh si thi wo us din
har baar bahut baatein karti thi mujhse
us din ka uska chup rehna mujhe yaad hai

kuch to alag tha is baat ka ehsaas tha mujhe
uska mujhse aankhen churaana mujhe yaad hai
kuch tha dil me uske jo keh na saki us pal
uska mujhse wo baat chhipaana mujhe yaad hai

jaate huye uska firse laut aana mujhe yaad hai
kaske mujhe apni baahon me bhar lena yaad hai
roti hui aankhen kuch keh rahi thi mujhse us din
uska us din ka tadapna aaj bhi mujhe yaad hai

wo bindi, wo kaajal, wo pairon ki paayal uski
wo aaj hai nahi bas uska pyaar mujhe yaad hai
uske saath hui wo har ek mulaaquaat yaad hai
usse ki hui har ek baat aaj bhi mujhe yaad hai....

Tuesday, May 8, 2012

Samajhne ki koshish to karo

ye aadat nahi hai meri tumhe sataane ki har pal
meri majbooriyon ko samajhne ki koshish to karo
tadap rahi to tum mujhse juda ho ke ye sach hai
meri tadap ko tum b samajhne ki koshish to karo

kahaan mujhe bhi pasand hai duur rehna tumse ab
yeh to waqt hai kuch aisa ki hum mil nahi paate
ek taraf mere farz hain aur ek taraf meri chaahat
tum meri is haalat ko samajhne ki koshish to karo

saath jeene ki kasam khaai thi humne kabhi jaana
aaj tum yun humse mar jaane ki baat na kiya karo
maut hal nahi hai kisi bhi cheez ka yahaan par
tum is baat ko zaraa samajhne ki koshish to karo

kya vishwaas nahi tumhe hamaare vishwaas pe aaj
tum fir se zaraa meri baaton pe aetbaar ko karo
yun na kaho mujhe bewafaa, main bewafaa nahi hoon
tum meri wafaa ko zaraa samajhne ki koshish to karo

tum muskuraaogi mujhe rota dekh ke tumhaari maut pe
par tumhaari maut se pehle main khud hi mar jaaunga
jeene ki khwaish hai meri tumhaare saath, marna nahi
tum meri mohabbat ko samajhne ki koshish to karo....

Hum tera saath dekhte hain

apne haathon me liya hum tera haath dekhte hain,
tere sangh hui koi haseen mulaquaat dekhte hain,

hum hothon pe saje huye tere gulaab dekhte hain,
zulfon se hoti hui pyaar ki barsaat dekhte hain,

nashili teri aankhon me hum sharaab dekhte hain,
madhoshi ke doobi hum apni har raat dekhte hain,

kya huwa jo tu hamaare saath nahi hai aaj yahaan,
hum to har lamhe me bas tera hi saath dekhte hain,

na jaane tere saath kaise kaise khwaab dekhte hain,
kabhi tera saath to kabhi andheri raat dekhte hain...
Kyaa tumhe meri yaad aati nahi

ek zamaanaa guzraa tumhaare sang likhe huye,
ek zamaanaa guzraa tumhaare liye likhe huye,

kin andhero me khoi to tum ki dikhti nahi,
kyun mere itna bulaane par bhi aati nahi,
main tanha tumhaare geeto ko gaa raha hoon,
kyun aajkal tum mere saath gungunaati nahi,

ye tumhaari berukhi samjhun ya kahun naraazgi,
kyun mere itna poochhne par bhi bataati nahi,
main pareshaan, pagal sa hoon tumhaare pyaar me,
aur tum ho jo mere is haal ko dekh paati nahi,

waade kiye the tumne kabhi saath jeene marne ke,
kya sach me tumhe un waadon ki yaad aati nahi,
jaane kahaan duur mujhse chhipke baithe ho tum,
kya tum bhi aajkal meri tarha muskuraati nahi,

wo dosti, wo pyaar, wo baatein hamaari, kya
tumhe un guzre huye lamhon ki yaad aati nahi,
tum bin bhalaa kaun hai mera yahaan apna,
kyun tum meri tanhaayi ko samajh paati nahi,

meri dhadkano ki aawaaz sun leti thi kabhi,
kya aaj tum meri cheekh tak sun paati nahi,
kyun is tarha mujhse duur jaake baithi ho tum,
kyun mere hazaar baar bulaane par bhi aati nahi...

Monday, May 7, 2012

Anjaam dekhte hain

hum najaane tere saath kaise kaise khwaab dekhte hain,
kabhi haathon me tera haath to kabhi jaam dekhte hain,
ye aur baat hai ki hum duur bahut duur hain tujhse,
hum tere saath hi jeewan ka har ek anjaam dekhte hain....
Samajh paati nahi

bhoolna mumkin nahi aur bhoolaana aasaan nahi,
tum paas ho nahi aur tumhaari yaad jaati nahi,
tumhaari khushi ki khaatir kahaa tumhe jaane ko,
ab kya huwa tumhe, ab kyun tum muskuraati nahi,

jaate huye kahaa tha tumne ki khush ho tum wahaan,
par khush hoti to tumhaari yaad mujhe sataati nahi,
jiske ek boond aansoo se sailaab aa jaataa tha kabhi,
kyun apne aansuon ko aaj tum aankhon me rok paati nahi,

marzi tumhaari hi thi, tumhi ko jaana tha duur mujhse,
ab duur jaake mujhse tum kyun chain se reh paati nahi,
chaahta main tab bhi tha tumhe, aaj bhi chaahta hoon,
tum hi ho jo meri mohabbat ko kabhi samajh paati nahi....
Main tumhe dekhun

kabhi tere maathe ki bindi ko dekhun,
kabhi tere paaon ki paayal ko dekhun,
dekh ke tujhe bas dekhta hi rahun,
main tujhe sar se paaon talak dekhun,

kabhi teri kaali zulfon ko dekhun,
kabhi shabnami aankhon ko dekhun,
apni hothon se chhhune ke liye main,
kabhi tere bheege hothon ko dekhun,

dekhne ko bahut kuch hai yahaan magar,
main to har pal bas tujhe hi dekhun,
tu pyaar ki koi devi hi to hain,
main to tujhe apni har duwa me dekhun...

Tumhaari yaad aayi hai

kya huwa agar tum nahi aayi, tumhaari yaad to aayi hai,
sangh apne ye hawaayen aaj tumhaari khushboo laayi hai,

mehek tumhaare baalon ki jo paagal banaa deti thi kabhi,
paagal karne humko fir se in hawaaon ke sangh aayi hai,

band kar kisi kitaab me ek gulaab rakha tha humne kabhi,
aaj tumhaare ehsaas se us gulaab me bhi taazgi aayi hai,

raat khwaab me tumhaare seene se lag ke soya tha main kal,
aankh khuli to in aankhon me aaj tumhaari tasveer aayi hai,

aaj barson ke baad hamaari pehli mulaaquaat yaad aayi hai,
kuch palon ke liye hi sahi mere hothon pe muskaan aayi hai,

yakeen hai humein tumhaare aane ka tum aaoge ek din jarur,
na aaye tum aaj iska ghum nahi tumhaari yaad to aayi hai,

meri tanhaayi ko duur karne aaj tumhaari yaad aayi hai
sangh apne ye hawaayen aaj tumhaari khushboo laayi hai...

Saturday, May 5, 2012

Wo apna dard chhipaati rahi

wo chhip chhip ke tanhaai mein aansoo bahaati rahee,
jab bhi mili mujhse apne aansuon ko chhipaati rahee,

dekh ke uski aankhon ka haal agar wajah poochha kabhee,
wo har baar aankh me gaya huwa koi tinka bataati rahee,

khushiyon se duur, dard se kuch aisa rishta thaa uskaa,
har dard ko bahut pyaar se apne seene se lagaati rahee,

dekh ke dusron ke aansoo koshish karti thi kam karne ki,
wo bhulaake apni mohabbat humein mohabbat sikhaati rahee,

seene pe rakh ke paththar wo khushi ke geet gaati rahee,
jaane kya dard tha usey jise wo hameshaa chhipaati rahee...

Friday, May 4, 2012

Tum ro lena

kabhi meri yaad me aansoo aajaayen to ro lena,
kabhi mere naam se apne palkon ko bheego lena,

milna kismat me na tha apne to hum nahi mile,
jo kismat me hai tumhaare tum usi ke ho lena,

bhoolana mumkin nahi mohabbat ko ye maaloom hai,
tum bheegi baarishon me apne dard ko bheego lena,

kabhi agar wo dekh le tumhe aansoo bahaate, tum
ghar ki yaad keh ke uske seene se lagke ro lena...
Khushi muskuraayegi

khile huye phoolon ko dekh sochta hoon kabhi to mere ghar bahaar aayegi,
kabhi to khushiyaan meri hongi aur saath mere khushiyon ke geet gaayegi,

kyua huwa jo aaj andhera hai har taraf kabhi to roshni laut ke aayegi,
mere dil ke aansuon ko mitaake ek din mere saath khushi muskuraayegi....

Thursday, May 3, 2012

Pyaar kar ke jaate

jaana tha humse duur to zaraa wajah bataa ke jaate,
is tarha kyun gaye tum, zaraa sa muskuraa ke jaate,
tadap rahe hain aaj bhi soch ke ki koi khataa thi,
jaate jaate tum hume hamaari khataa bataa ke jaate,

thodi der hui aane me par thoda intezaar kar ke jaate,
hamaare kiye waade pe tum thoda sa aetbaar kar ke jaate,
ab to umra bhar ye ghum rahega seene me ki tum na miley,
jaate jaate tum humein thoda saa pyaar kar ke jaate...

Tuesday, May 1, 2012

Sahaare kya hain

un sharbati aankhon ke ishaare kya hain,
badhke unki aankhon se nazaare kya hain,
hum to ghayal huye hain un aankhon se hi,
ab unke bina hamaare sahaare kya hain,

naam bas hum unka hi pukaarein kya hain,
unke siwa lamha koi guzaarein kya hain,
kat_ti nahi raaten ka kate hai din bhi,
unke siwa jahaan me ab bahaarein kya hain...
Hadd se guzar jaayen

milo jo kabhi to armaan adhure na reh jaayen,
dil ki saari hasratein hum poori kar jaayen,
hum bharle tumhe apni baahon ke giraft mein,
chhoo ke tumhaare hothon ko pyaar kar jaayen,

aankhen band karke tumhe seene se lagaa len,
saanse meri tumhaari saanson se guzar jaayen,
na rahe afsos ki mohabbat adhuri thi hamaari,
bas pehli milan me hum haddon se guzar jaayen...

Mujhe bhulaa do

pyaar me likha huwa har ek khat ko jalaa do,
judaa ho ke mujhse meri har nishaani mita do,
afsos na ho kabhi ki adhuri reh gayi mohabbat,
aaj tum mujhse judi hui har ek baat ko mita do...