Sunday, September 14, 2014

Bhagwaan badal jaate hain

manzilon ke paas jaake aksar, raaste badal jaate hain
safar mein zindagi ke aksar humsafar badal jaate hain

saahilon ke paas jaa kar aksar doobti hain kashtiyaan
lehron ko kyaa dosh den jab manzar hi badal jaate hain

jab tak kareeb hain, tab tak apno ko apne maante hain
faaslon ke badh jaane se, saare apne badal jaate hain

woh rishton kaa bandhan, jo kabhi atoot ho jaataa hai
kuch waqt ke baad kyun woh rishte hi badal jaate hain

har woh cheez, jis se mohabbat ho khud se bhi zyaadaa
waqt ke saath har us cheez ke maayne badal jaate hain

jin khwaabon ko aankhon mein sajaake, jaagte hain hum
kyun zindagi ke saath har woh khwaab badal jaate hain

kyaa dosh den us insaan ko, jise bhagwaan ne banaayaa
insaan kyaa cheez hai, khud bhagwaan badal jaate hain

No comments:

Post a Comment