Tuesday, September 23, 2014

Yeh shahar meraa nahi lagtaa
 
mujhe yakeen hai ki galti kismat banaane waale se hui hogi
jo mere haathon mein mohabbat ki lakeer daalnaa bhool gaye



deewaarein meri lagti hain, magar yeh ghar meraa nahi lagtaa
jaantaa hoon logon ko yahaan, magar shahar meraa nahi lagtaa

sab kuch to hai yahaan, fir bhi kisi ki kami si hai shaayad
raat mein tanhaa hotaa hoon main, dopahar meraa nahi lagtaa

yun chot khaai hai mohabbat mein maine, ki ab dar lagtaa hai
pichhe pichhe chaltaa saayaa meraa ab magar meraa nahi lagtaa

chalaa thaa is ummeed se, ki manzil bahut khoobsoorat si hogi
chal rahaa hoon ab bhi lekin, ab yeh safar meraa nahi lagtaa

bazaar mein mohabbat ke, kuch is tarhaa neelaam hui mohabbat ki
jisne bhi kharidaa mujhe woh khareedaar aksar meraa nahi lagtaa

kuch kadam kaa saath dekar, har kisi ne apni hi raah badal li
saath chaltaa hai jo bhi mere, woh humsafar meraa nahi lagtaa

No comments:

Post a Comment