Tuesday, September 9, 2014

Aisaa asar kar diyaa

kyaa batayein hum kisise ki kaisaa asar kar diyaa
deewaaron se bane makaan ko unhone ghar kar diyaa

jalaake sau chiraag kabhi humein roshani naa mili
ek baar muskuraake roshan saaraa shahar kar diyaa

bas aankh hi lagi thi abhi ki hogayaa unkaa aanaa
dekhiye naa aakar kaise raat ko dopahar kar diyaa

koshish to bahut ki humne ki yeh dil naa lage unse
jaadu yun chalaa unkaa har asar ko beasar kar diyaa

hui hi nahi baarish yahaan jaane kitne hi saalon se
chhookar unhone bahaar saa saaraa manzar kar diyaa

kahin ho naa jaaye mohabbat is dar se duur the hum
aake kareeb hamaare unhone dewaanaa magar kar diyaa

naam jiskaa thaa 'Hriday', kaanch kaa hi thaa tukdaa
use deke thodi mohabbat, usko sangemarmar kar diyaa

No comments:

Post a Comment