Tuesday, September 30, 2014

Main deewaanaa huwaa


ruk gaye kadam jahaan apne wahi apnaa thikaanaa huwaa
manzil sharaab aur pataa apnaa ab to maikhaanaa huwaa

poochhte hain log humse aksar hamaaraa ghar kahaan hai
kyaa bataayein unhe ki wahaan gaye huwe zamaanaa huwaa

gumshudaa hain hum abhi aur bas yahi apni haqeeqat hai
khudko hi dhund rahe hum aur yahi apnaa afsaanaa huwaa

kyaa mohabbat hai humein ab bhi jo poochha kisi ne aaj
unki is baat par barso baad hamaaraa muskuraanaa huwaa

mohabbat naam jis kisi kaa bhi woh abhi milti hai kahaan
lailaa majnu, shireen farhaad kaa afsaanaa puraanaa huwaa

ab nahi hosh humein hai, naa sambhalne ki aadat hi rahi
sunaa hai kehte huwe logo ko, 'Hriday' deewaanaa huwaa

Monday, September 29, 2014

Abhi baaki hai


surkhiyon mein hai nahi, kahin chhoti si khabar abhi baaki hai
dhadkanein ruk hi gayi hain, saans aakhri magar abhi baaki hai

yun aanaa huwaa tez hawaaon kaa ki shahar hi saaraa ujad gayaa
barbaad hone ke liye deewaaron se banaa yeh ghar abhi baaki hai

unko aanaa hai, haan woh aayenge, hai yakeen ab bhi is dil ko
hai nahi mohabbat abhi, yaadon kaa thodaa asar abhi baaki hai

dekhiye naa ab bhi muskuraa rahe hain, hum peeke zeher saaraa
keh bhi dijiye humpar dhaane ko kuch aur qahar abhi baaki hai

bahut chhipaayaa hai gili baarishon mein apne aansuon ko humne
dard mein muskuraane kaa is 'Hriday' mein hunar abhi baaki hai

Sunday, September 28, 2014

aapse bhi khoobsoorat aapki do aankhein
aap hi bataa dein ki hum kisko chaahein
musruraanaa, dil churaanaa
hai adaa yeh, qaatilaanaa

jaan le leti hai jaanaa
yun tumhaaraa paas aanaa
hum apne qaatilon se kuch is tarhaa bekhabar rahe
leke hamaare maut kaa saamaan woh hamaare ghar rahe

hamaari kashti ko doboone ki, lehron ne koshish bahut ki
saahil hamaare saath thaa, bachaa liyaa humein doobne se
ek shahar thaa yahaan, ab woh veeraanaa kehlaataa hai
ek aashiq thaa yahaan, ab woh deewaanaa kehlaataa hai
Izhaar naa kar paaungaa

naa ji naa main kabhi izhaar
mohabbat kaa naa kar paaungaa
bas dekhtaa hi rahungaa unko
aur dekh dekh muskuraaungaa

jab bhi kabhi woh guzrengi
nazar ke saamne se mere
chhip chhip unhe dekhungaa
aur dekhtaa hi main jaaungaa

suntaa rahungaa main aawaaz unki
khush ho jaaungaa unke muskuraane se
jab bhi nazar milegi unke mazron se
nazar churaake main sharmaaungaa

kitne hi saal yun guzar gaye
bas unko yunhi dekh dekh kar
aage bhi kai saalon tak main
unhe yunhi dekhtaa jaaungaa

saamne har pal woh hi woh hain
khwaabon mein woh aane lage hain
rehne lage mere khwaabon mein woh
main bas sotaa hi reh jaaungaa

suabh se shaam bas unki baatein
raat raat bhar unki yaadein
shaayad kabhi himmat kar loon main
jab unhe dil ki baat bataaungaa....

Thursday, September 25, 2014

Yaad

pehli baarish, woh pehlaa baadal yaad aayaa
geeli baarish se bheegaa woh pal yaad aayaa

yaad aayi unke haseen labon ki woh sharaarat
kandhe se saraktaa huwaa, aanchal yaad aayaa

baahon ki narmi, uuuff unke saanson ki garmi
bikhraa huwaa aankhon kaa kaajal yaad aayaa

chhuwaa thaa 'Hriday' ko pehli baar jab unhone
us pal huwe they kaise hum paagal yaad aayaa

nazar ke saamne hamaare, tasveer unki aagayi
unke saath guzaaraa huwaa woh kal yaad aayaa

Wednesday, September 24, 2014

Ek dil ki kahaani

haan woh main hi thaa
jaantaa thaa, samajhtaa bhi thaa
hatheliyon ke bich tumhaare
kisi titli ki tarhaa thaa main
kabhi pankh failaataa
kabhi sikud jaataa

aadat nahi hai na mujhe
yun band band rehne ki
chaahe woh jism ho
yaa tumhaari woh do hatheliyaan

udnaa chaahtaa thaa main
duur, bahut duur
wahaan jahaan koi naa ho
koi chhal naa ho
koi dhokhaa naa ho

jaanti ho naa tum
kitni hi baar tootaa hoon
kitni hi baar main bikhraa hoon
haan tumhaare hi seene mein
dhadkaa bhi hoon
aur tadpaa bhi hoon
dekhaa hai maine tumhe rote huwe
ab nahi dekhaa jaataa mujhse

aansoon tumhaare
dil cheer dete hain
main dil hi to hoon naa
kabhi sunaa hai dil kaa dil ho
kaho naa fir kaise kahun
ki dil tootaa hai meraa kai kai baar

khol do hatheliyaan apni
udd jaaun main fir ek baar
duur kahin us neel gagan mein
banke titli koi....

Tuesday, September 23, 2014

Yeh shahar meraa nahi lagtaa
 
mujhe yakeen hai ki galti kismat banaane waale se hui hogi
jo mere haathon mein mohabbat ki lakeer daalnaa bhool gaye



deewaarein meri lagti hain, magar yeh ghar meraa nahi lagtaa
jaantaa hoon logon ko yahaan, magar shahar meraa nahi lagtaa

sab kuch to hai yahaan, fir bhi kisi ki kami si hai shaayad
raat mein tanhaa hotaa hoon main, dopahar meraa nahi lagtaa

yun chot khaai hai mohabbat mein maine, ki ab dar lagtaa hai
pichhe pichhe chaltaa saayaa meraa ab magar meraa nahi lagtaa

chalaa thaa is ummeed se, ki manzil bahut khoobsoorat si hogi
chal rahaa hoon ab bhi lekin, ab yeh safar meraa nahi lagtaa

bazaar mein mohabbat ke, kuch is tarhaa neelaam hui mohabbat ki
jisne bhi kharidaa mujhe woh khareedaar aksar meraa nahi lagtaa

kuch kadam kaa saath dekar, har kisi ne apni hi raah badal li
saath chaltaa hai jo bhi mere, woh humsafar meraa nahi lagtaa

Friday, September 19, 2014

Meri mohabbat

roshni hui hi kahaan, chiraagon ke jalaane se
saweraa huwaa to bas, aapke nazar aa jaane se

liyaa chehraa chhipaa sharmaa kar raat ne bhi
haseen zulfein aapki bas khol kar lehraane se

hain pataa bhool gaye hum apne ghar kaa aksar
khwaabon mein aakar bas aap ke chhoo jaane se

jab jab yaad aayi aapke bheege labon ki laali
laut kar aajaanaa huwaa hamaaraa maikhaane se

humne har ek boond ke saath aapkaa naam liyaa
jab bhi chhalkaa hai jaam, bharke paimaane se

hai apnaa haal jo aaj, humein maaloom kahaan
kehte hain log humein, lagte hain deewaane se

hai ek tasveer aapki, pannon mein kitaabon ke
dekh lete hain aksar kisi naa kisi bahaane se

kahiye naa, kaise rakhein khud ko qaaboo mein
hain paagal ho jaate ek yaad aapki aajaane se

'Hriday' deewaanaa hai ji aapki mohabbat mein
yeh samajh paayaa kahaan kisi ke samjhaane se

Thursday, September 18, 2014

Haseen anjaam

husn ne unke kuch is tarhaa kaa kaam kar diyaa
bewajah hi dekhiye naa humko badnaam kar diyaa

haan jalwaa unke husn kaa, thaa badaa hi khoob
zulfon ko lehraa ke dopahar ko shaam kar diyaa

bheege se unke lab, jo hum dekhe the pehli baar
dekhte hi rahe hum, unhone qatl-e-aam kar diyaa

haan the hum nashe mein, yeh hum jaante bhi the
sambhal naa paaye hum, unhone intzaam kar diyaa

kar chuke the hum, khatam apnaa aakhri jaam bhi
maukaa hi naa milaa aur unhone jaam bhar diyaa

tohfaa mohabbat kaa, humein aisaa thaa laadiyaa
deewaano mein hamaaraa bhi aisaa naam kar diyaa

hum the begunaah, hamaaraa koi dosh thaa kahaan
ab aashiqui kaa hi humpar, har ilzaam kar diyaa

hamaare hi qatl kaa, hum par hi lagaakar ilzaam
dhundne waale ke liye, mehengaa inaam kar diyaa

kaise huwaa aisaa haal, hum sirf sochte hi rahe
aghaaz se pehle, unhone haseen anjaam kar diyaa

Monday, September 15, 2014

Main muskuraataa chalaa hoon

kabhi main sabhi se chhipaataa chalaa hoon
kabhi main har kisi ko bataataa chalaa hoon

haseen koi chehraa, jo pasand mujhko aayaa
dil ko main apne, bas lagaataa chalaa hoon

hai kabhi chot khaai, kabhi dhokhey khaaye
magar fir bhi main muskuraataa chalaa hoon

lakeeron mein dhundaa hoon apni jo kiismat
main kismat bhi apni, banaataa chalaa hoon

koi kaagaz ki kashti, hai jawaani yeh meri
main paani mein isko, bahaataa chalaa hoon

woh dost ho meraa, yaa koi dushman rahaa ho
main seene se sab ko, lagaataa chalaa hoon

ret par samundar ke main naam apnaa likhke
lehron se us ko, main mitaataa chalaa hoon

main gaataa hoon wohi jo aayaa 'Hriday' mein
mohabbat ke dhunn main, sunaataa chalaa hoon

koi kehtaa hai paagal, koi kehtaa deewaanaa
har baat ko hasi mein, udaataa chalaa hoon

Sunday, September 14, 2014

Bhagwaan badal jaate hain

manzilon ke paas jaake aksar, raaste badal jaate hain
safar mein zindagi ke aksar humsafar badal jaate hain

saahilon ke paas jaa kar aksar doobti hain kashtiyaan
lehron ko kyaa dosh den jab manzar hi badal jaate hain

jab tak kareeb hain, tab tak apno ko apne maante hain
faaslon ke badh jaane se, saare apne badal jaate hain

woh rishton kaa bandhan, jo kabhi atoot ho jaataa hai
kuch waqt ke baad kyun woh rishte hi badal jaate hain

har woh cheez, jis se mohabbat ho khud se bhi zyaadaa
waqt ke saath har us cheez ke maayne badal jaate hain

jin khwaabon ko aankhon mein sajaake, jaagte hain hum
kyun zindagi ke saath har woh khwaab badal jaate hain

kyaa dosh den us insaan ko, jise bhagwaan ne banaayaa
insaan kyaa cheez hai, khud bhagwaan badal jaate hain
Thodaa aaraam aa jaaye

hai intezaar humein, haseen woh shaam aa jaaye
ho duwaa qubool hamaari, hamaaraa inaam aa jaaye

kahaan sochaa thaa ki yeh hashra hogaa hamaaraa
qatl ho hamaaraa, aur humpe har ilzaam aa jaaye

naa ho dushman ke saath jo huwaa saathe hamaare
nibhaake har wafaa bewafaaon mein naam aa jaaye

baazaar mein mohabbat ke shaayad kai baar huwaa
giri keemat itni ki, kaudiyon ke daam aaa jaaye

taaqat rahi nahi, ki jaayein maikhaane tak khud
kuch ho is tarhaa ki haathon mein jaam aa jaaye

kab se soyi hi nahi aankhein meri, dekhiye naa
so jaayein chain ki neend, aur aaraam aa jaaye

ab mohabbat nahi zindagi se, ab maut de dijiye
de dijiye aisi sazaa, jo hamaare kaam aa jaaye

Saturday, September 13, 2014

Hum pyaar nibhaanaa bhool gaye

chali koi aisi hawaa, ki hum muskuraanaa bhool gaye
kar li mohabbat magar hum usko nibhaanaa bhool gaye

bheegne kaa mausam thaa aur bhignaa bhi chaahte the
galti bas itni hui, ki hum baahar jaanaa bhool gaye

chiraagon se ghar ko sajaayaa ki roshni si ho jaaye
roshni kaise hoti jab hum un ko jalaanaa bhool gaye

uske hi ghar kaa pataa hum kaagaz par likh ke chale
pahuch bhi jaate hum magar pataa dekhnaa bhool gaye

maikhaane gaye bhi the, nashaa jaisaa kuch ho jaaye
yaad jo aayi aankhen uski, jaam lagaanaa bhool gaye

kyaa kehte usse hum jisse kai waade they humne kiye
bahaanaa banaa lete par har woh bahaanaa bhool gaye

der itni bhi hui nahi thi laut ke woh naa aaa paaye
humse yeh galti hui ki hum usko bulaanaa bhool gaye

chhoti si baat thi, jis baat ke kaaran sab chhootaa
galti hamaari thi bas woh baat bhulaanaa bhool gaye

thode se paththar hi the, aisi koi mushkil thi nahi
girne se bach jaate, khud ko sambhaalnaa bhool gaye

Thursday, September 11, 2014

Haan mujhe tumhaari yaad aayi hai


dekhe huwe har khwaab ke saath
khilte har gulaab ke saath
ugte huwe aaftaab ke saath
har sawaal ke jawaab ke saath

haan mujhe tumhaari yaad aayi hai.....

pankh failaate mor ke saath
raat ke baad ke bhor ke saath
saanson ki har dor ke saath
dhadkan ke har shor ke saath

haan mujhe tumhaari yaad aayi hai.....

palpal ke intezaar ke saath
mere har aetbaar ke saath
dil ke har qaraar ke saath
mere tumhaare pyaar ke saath

haan mujhe tumhaari yaad aayi hai.....

bahaaron aur fazaaon ke saath
udti huwi hawaaon ke saath
nibhaayi huwi wafaaon ke saath
maangi huwi duwaaon ke saath

haan mujhe tumhaari yaad aayi hai.....

Raaste mein maikhaanaa har shaam aaayaaa

main peetaa nahi yaaron, woh to botal saamne aa jaati hai
dekhti hai meri haalat, aur fir mujhi par muskuraati hai




meri mohabbat kaa yaaron, kuch aisaa anjaam aayaa
botal mein sharaab aur haathon mein jaam aayaa

naa dawaa koi kaam aayi, naa zaakhm hi koi bhare
sirf ek laal rang hi thaa, jo ki mere kaam aayaa

tadpaa hoon jab bhi kabhi, main apni tanhaayi mein
bas dekh kar tasveer uski, is dil ko aaraam aayaa

hai dil usi ne todaa meraa, zakhm bhi usi ne diyaa
duwaaon mein mere magar, sirf usi kaa naam aayaa

kisi ne paagal kahaa, to koi muskuraake chal diyaa
apne hisse mein to yaaron, bas yahi inaam aayaa

usne jaise chhodaa mujhe, main sharaab chhod dungaa
magar raaste mein ghar ke, maikhaanaa har shaam aayaa

Tuesday, September 9, 2014

Aisaa asar kar diyaa

kyaa batayein hum kisise ki kaisaa asar kar diyaa
deewaaron se bane makaan ko unhone ghar kar diyaa

jalaake sau chiraag kabhi humein roshani naa mili
ek baar muskuraake roshan saaraa shahar kar diyaa

bas aankh hi lagi thi abhi ki hogayaa unkaa aanaa
dekhiye naa aakar kaise raat ko dopahar kar diyaa

koshish to bahut ki humne ki yeh dil naa lage unse
jaadu yun chalaa unkaa har asar ko beasar kar diyaa

hui hi nahi baarish yahaan jaane kitne hi saalon se
chhookar unhone bahaar saa saaraa manzar kar diyaa

kahin ho naa jaaye mohabbat is dar se duur the hum
aake kareeb hamaare unhone dewaanaa magar kar diyaa

naam jiskaa thaa 'Hriday', kaanch kaa hi thaa tukdaa
use deke thodi mohabbat, usko sangemarmar kar diyaa

Monday, September 8, 2014

Main lutaa jaa rahaa hoon

naa maaloom mujhe main kahaan jaa rahaa hoon
chalo sangh mere main jahaan jaa rahaa hoon

hain saagar ki lehrein, shaant kabhi paagal
in lehron ke sangh main bahaa jaa rahaa hoon

chidiyon ki hai chu chu, koyal ki hai koo koo
bas dhunn mein hi unke, doobaa jaa rahaa hoon

paagal dil meraa, aur main bhi hoon paagal
main paagal aur zyaadaa huwaa jaa rahaa hoon

hawaa mein hai khushboo, khushboo hai tumhaari
tumhaari khushboo mein, mehkaa jaa rahaa hoon

geeli si baarish, aur baarish kaa yeh paani
bheegaa samaa hai, fir kyun jalaa jaa rahaa hoon

leke haathon mein haath, tum chalo saath mere
main kis jahaan mein, kyaa pataa jaa rahaa hoon

koi roko, koi toko, zaraa sambhaalo bhi mujhko
hoon main nashe mein, main giraa jaa rahaa hoon

main paagal to thaa hi, dewaanaa bhi hoon ab
dewaanepan mein bas main bahaa jaa rahaa hoon

hai kasak ek 'Hriday' mein, aur thodi mohabbat
aur mohabbat mein hi main, lutaa jaa rahaa hoon

Sunday, September 7, 2014

Sambhal jaane do naa

hoon nashe mein main abhi, zaraa mujhko sambhal jaane do naa
baitho kuch pal aur saamne, zaraa dilko to bahal jaane do naa

dekhti raho aankhon mein meri tab tak, ki main paagal ho jaaun
chhoo kar geeley labon se apne zaraa mujhko to jal jaane do naa

abhi to aag lagi bhi nahi thik se, tum isey bujhaane chale ho
aajaao aake baahon mein mere zaraa khudko pighal jaane do naa

in geeli baarishon mein, geela saa yeh ehsaas meraa tumhaaraa
naa baandho inhe dil mein, zaraa inko tum machal jaane do naa

bhool jaao saare bandhan, saari bandishein is jahaan ki tum ab
rok lo haseen waqt ko tum ab, naa ise yunhi nikal jaane do naa

Saturday, September 6, 2014


saamne khadaa mere anjaan saa koi shaqs thaa
dekhaa gaud se to jaanaa woh meraa hi aks thaa

Thursday, September 4, 2014

Sazaa de do

bhar chuke hain zakhm, dard koi nayaa de do
hai aadat nahi inaam ki, ab koi sazaa de do

aadat si ho chuki hai, mai-khaane ki doston
botal mein sharaab ke kadwi koi dawaa de do

kisko hai yahaan chaah, jeele zindagi poori
abhi lagi hai thodi aag, thodaa hawaa de do

roshan saa ho jahaan, yeh mumkin hai kahaan
bujhaa saa hai chiraag, ab bas dhuwaan de do

suntaa hai jo sabki, woh koi insaan to nahi
karlen unse do baat, bas humein khudaa de do

rehtaa hai kahaan woh jise kehte hain khudaa
chale jaayenge apne aap, humein pataa de do

hain tanhaa akele aur tanhaayi hai bas apni
aajaaye ab humein maut, bas yeh duwaa de do
Yun aanaa huwaa unkaa

kuch is tarhaa se woh meri zindagi mein shaamil ho gaye
naa they kisi kaam ke hum, dekhiye ab to qaabil ho gaye

humne jo kuch sapne they sajaaye, aankhon mein hamaare
they bahut duur, unke aate hi humein woh haasil ho gaye

thi majdhaar mein kashti hamaari, jo the hum leke chale
thaamaa jo haath unhone aise, woh hamaare saahil ho gaye

chheen li dhadkanein woh, jo hamaare dil mein thi rehti
ban gaye hain jaan hamaare, woh to hamaare dil ho gaye

unkaa chalnaa, sharmaanaa, aur haaye unkaa muskuraanaa
kyaa kahen hum, ki kaise woh hamaare hi qaatil ho gaye

Tuesday, September 2, 2014

kuch alag hi naaraazgi rahi leheron ki hamaare saath
jab jab naam likhaa kisi kaa ret par, aakar mitaa gayi