Tuesday, January 22, 2013

Tum mere paas nahi


aaj bhi kabhi kabhi tanhaa baithe sochtaa hoon
ki kitni tezi se guzraa wo lamhaa, wo aakhri mulaquaat apni
tum mujhse miley, main tumse milaa, baatein kiye
aur fir judaa ho gaye, sadiyon ke liye....

wo faasle hamaare darmiyaan, kuch palon se ghante, aur fir saal
kuch is tarhaa faaslon ne hamaare bich faaslon ko badhaayaa
ki duur tum jaate rahe aur main bhi duur hotaa rahaa
naa ab tak tum sambhle ho, naa hi kabhi main sambhal paayaa

kaash, haan ye ek shabd kaash, aaj bhi zeher banke gunjti hai
cheer deti hai mujhe, mere dil ko, shareer ko, meri aatmaa ko
kaash, ek baar, us pal, kuch sochaa hotaa, 
dimaag ko bhulaa ke dil se faislaa kiyaa hotaa....

kaash... to aaj ye din aisaa naa hotaa
to yun hum baatein na karte anjaan ho ke ek duje se, duur baithe
tum shayad yahin kahin mere paas hote, mere dil me hote
na na .. dil me to ho ab bhi... magar wo baat nahi
tumhe rakhaa hai sajaa ke dil me magar tumko ehsaas nahi
main tanhaa akelaa hoon kahin, aur tum... aaj mere paas nahi...

No comments:

Post a Comment