Wednesday, January 2, 2013

Meraa waadaa hai

aadhaa sach shaayad tumhe ab bhi nahi maaloom hai
kahaan hoon main aajkal ye shaayad nahi maaloom hai

jaanke dukhi hoge, yaa shaayad khush bhi ho jaao tum
mere gharwaalo ne mujhe bahut pehle khud se alag kar diyaa tha
wajah, bas itni si thi ki maine unse baat ki thi pehle
ki tumhe apne ghar ki dulhan main banaaungaa

magar unse baat karke unko manaane ke baad
maine tumhe thukraa diyaa thaa
tumse duur bahut duur chalaa gaya thaa
wo naraz the mujhse ki maine tumhaaraa dil todaa thaa
wo tumhe apni beti maan chuke the aur maine
tumhaare saath aisaa dhokhaa kiyaa thaa

ab jaanke wo khush honge ki tum fir se meri banne ko tayyar ho
jisko unhone bahut pehle hi bahu maanaa thaa wo aayegi
unke bete ko fir se zindagi jeene ke sahi tarike sikhaayegi
bahut khush honge sab tumhaari waapasi ke baare me jaanke

jaante nahi ho tum kitnaa khush hoon main aaj
tumhe paake jaise maine saaraa jahaan paa liyaa ho aaj
naa daro, karlo bharosaa ek aakhri baar mujhpe
waada hai, tumhe itni khushiyaan dungaa
ki ek zindagi kam pad jaayegi
na daro, tumhaaraa dil tutne naa dungaa main is baar...
ye waadaa hai... haan ye mera sachcha waada hai....

No comments:

Post a Comment