Wednesday, January 30, 2013

Muskuraa rahe hoge


kal shaam yunhi chhat par baithe baithe
taaron ko dekhte huye ye khayaal aayaa...

shaayad kahin duur, apne chhat pe baithe
un taaron me tum mujhe dekh rahe hoge
dekh meraa chehraa tumhe dekhtaa huwaa
shayad tum wahaan sharmaa rahe hoge...

kabhi chhipaa rahe hoge apnaa chehraa, aur 
kabhi chupke se mujhse nazar milaa rahe hoge 
hogi tadap mujhe seene se lagaane ki, par
tadapte huye bhi tum muskuraa rahe hoge

ye kaisi deewaangi hai, kaisaa nashaa hai
ki duur hoke bhi duur nahi hain ek pal
main tumhe mehsoos kar rahaa hoon yahaan
tum bhi mujhe wahaan mehsoos kar rahe hoge

aisaa pehle nahi hotaa thaa kabhi mujhe
main paagal tha magar itnaa nahi thaa kabhi
jaantaa hoon tumhaari haalat bhi mujh jaisi hai
tum bhi kuch mujh jaise kaam kar rahe hoge

kabhi baatein karte hoge apne ghar ki deewaaron se
kabhi yunhi akele baithe baithe kho jaate hoge
kabhi to khud ko sochte hoge baadalon ke bich tum
kabhi apne ki khwaab me aasmaan me udd rahe hoge

kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai
aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge
jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa
ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge....

No comments:

Post a Comment