Thursday, January 3, 2013

Mohabbat

kar jaate hain waadaa milne kaa
karke har baar mukar jaate hain

hum karte hain intzaar aane kaa
lamhen bas yunhi guzar jaate hain

kuch jaadu hai unke naam me shayad
unke naam se hum sanwar jaate hain

dekh lete hain kabhi unhe hum to
hum bas bemaut hi mar jaate hain

mohabbat hi shayad khoobsurat hai
jo unse hum baar baar kar jaate hain

No comments:

Post a Comment