Thursday, January 31, 2013

Tumhaari adaa

wo ruthnaa meraa, pyaar se manaanaa tumhaaraa
duur jaate jaate, fir wo paas aanaa tumhaaraa
gusse se meri taraf dekhnaa, kuch badbadaanaa
meri aankhon ko dekh wo muskuraanaa tumhaaraa

kabhi pyaar hadd se zyaadaa badh jaataa agar to
wo apni adaaon se mujhse hi sharmaanaa tumhaaraa
us pal agar tumhaare chehre ki taarif kar dun to
haathon mein apnaa hi chehraa chipaanaa tumhaaraa

Wednesday, January 30, 2013

Din laut aayenge


aaj bhi hum zindagi ke us mod pe akele khade hain
jahaan tumne kahaa thaa, thaharnaa, hum aayenge

lamhe, din, mahine, saal guzar gaye, hum wahin hain
magar ab bhi hai yakeen, ki ye din badal jaayenge

aetbaar tumhaari us baat pe nahi, bas tum pe hai humein
jaante hain hum, ki wo din khushi ke laut aayenge....
Dekhaa hi nahee


baat ye sach nahee ki humein intezaar nahee
aur baat hai ki unhe hum par aetbaar nahee

hum kyaa judaa huye un se kuch pal ke liye
wo samajhte baithe humein unse pyaar nahee

wo dekh nahi paaye humein mudke dekhte huye
aur soch liyaa humne mudke dekhaa hi nahee....
Muskuraa rahe hoge


kal shaam yunhi chhat par baithe baithe
taaron ko dekhte huye ye khayaal aayaa...

shaayad kahin duur, apne chhat pe baithe
un taaron me tum mujhe dekh rahe hoge
dekh meraa chehraa tumhe dekhtaa huwaa
shayad tum wahaan sharmaa rahe hoge...

kabhi chhipaa rahe hoge apnaa chehraa, aur 
kabhi chupke se mujhse nazar milaa rahe hoge 
hogi tadap mujhe seene se lagaane ki, par
tadapte huye bhi tum muskuraa rahe hoge

ye kaisi deewaangi hai, kaisaa nashaa hai
ki duur hoke bhi duur nahi hain ek pal
main tumhe mehsoos kar rahaa hoon yahaan
tum bhi mujhe wahaan mehsoos kar rahe hoge

aisaa pehle nahi hotaa thaa kabhi mujhe
main paagal tha magar itnaa nahi thaa kabhi
jaantaa hoon tumhaari haalat bhi mujh jaisi hai
tum bhi kuch mujh jaise kaam kar rahe hoge

kabhi baatein karte hoge apne ghar ki deewaaron se
kabhi yunhi akele baithe baithe kho jaate hoge
kabhi to khud ko sochte hoge baadalon ke bich tum
kabhi apne ki khwaab me aasmaan me udd rahe hoge

kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai
aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge
jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa
ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge....

Tuesday, January 29, 2013

Ab wo nahi aate

ab is mehfil me wo nahi aate....
haan ye sach hai, ab wo nahi aate...

jinke liye maine khud me mehfilon me aane ki aadat daali
jinke liye maine khud ko badal ke, khud ko bhulaa diyaa
wo jo kabhi is mehfil ki shaan huwaa karte the
wo jo har kisi ke dil me rehte the, sabki jaan huwaa karte the
jaane kyaa huwaa, is mehfil me ab wo nahi aate.....

shaayad hamaari aankhon me unhone mohabbat ko padh liyaa thaa
yaa shaayad unhone dil hi dil humse mohabbat kar liyaa thaa
kuch to hai jisne unhe yahaan, is mehfil me aane se rokaa huwaa hai
arsaa beet chukaa unko gaye huye yahaan is mehfil se
unse milne hum to aa jaate hain yahaan har roz, magar
wo yun naraaz huye humse ki wo nahi haate
haan ab is mehfil me ab wo nahi aate....

meri aankhen ab bhi yahaan aake bas unhi ko dhundti hain
meri dhadkane, bahut zoron se unhi kaa naam pukaarti hain
magar shaayad wo sun nahi paati ye aawaaz, mere dhadkano ki
tabhi to arse se unki ek jhalak tak naa mili in aankhon ko
shaayad unhone aanaa chhod diyaa hai ab is mehfil me...
shaayad, yahaan ab wo nahi aate....

Friday, January 25, 2013

Pehchaan baaki hai

aajaao, ki ab bhi hum me thodi si jaan baaki hai
tumhaaraa diya huwaa abhi 'hriday' naam baaki hai

ab aajaao, aake khatam karo, ye lamhaa judaai kaa
zindagi chhoti hai, aur bahut se kaam baaki hain

tumko saath leke ab taye karnaa hai safar baaki
zindagi ke, ab bhi bahut se imtehaan baaki hain

baaki hain thodi dhadkanein, thodi si saans hai
lene ko tumhe baahon me ye dil pareshaan baaki hai

abhi to din niklaa hai, yakeen hai ki tum aaoge
chaand to niklaa nahi, abhi poori shaam baaki hai

tumse main duur hoon, magar dil tumhaare paas hai
aashiq kehlaataa hoon, meri yeh pehchaan baaki hai

kab tak tadpaaoge, kab tak mujhe tum yun sataaoge
ye aashiq tumpe karne ko ye jaan qurbaan baaki hai

aake mujhe chhu lo tum aur baahon me bhar lo mujhe
humpe tumhaaraa karne ko, abhi ye ehsaan baaki hai

Thursday, January 24, 2013

Tum aaoge


dekho naa ye bagichein aaj fir khilne lage hain ki tum aaoge
ye panchhi pankh failaaye fir se udne lage hain ki tum aaoge

banjar thi, sukhi thi kabse yeh zameen tumhaare nahi hone se
aaj isme phool khile hain, taazi khushboo si hai ki tum aaoge

intezaar jo barson se thaa aaj wo khatam saa lagne lagaa hai
dil me khushi ki leher si hai aaj, khush hain hum ki tum aaoge

firse hothon pe muskaan saji hai, wajah hogi fir nayi jeene ki
naa dilme koi dard hogaa, muskuraa rahe hain hum, ki tum aaoge

baahen kabhi sooni naa hongi, haathon me tumhaaraa haath hogaa
saath hogaa tumhaaraa umra bhar kaa, jaan gaye hain ki tum aaoge
Dard me hi jal jaaye hain


woh tumhaari mohabbat me fisle they, naa aajtak sambhal paaye hain
naa to thik se jal paayen hain, naa poori tarhaa pighal paaye hain

shaq to humein bhi nahi ki bhulaake khud ko wo mohabbat karte hain
magar, naa to woh khud me rahein, naa kabhi tum me dhal paaye hain

pehle wo thik they, tumse judaa is duniyaa kaa ek aam insaan, magar
jabse tumse mile, jaane kyaa huwaa do kadam tak naa chal paaye hain

kuch to hai tumme ki wo hosh me hote huye bhi hosh me naa reh sake
pi nahi sharaab, par tumhaare nashe se ab tak naa nikal paaye hain

kehte hain tumse hain wo, aur ab bas tum jaisaa bannaa chaahte hain
yeh bas ek koshish hi rahi, ab tak wo kuch bhi naa badal paaye hain

Wednesday, January 23, 2013

Shaayar ke ghazal ko dekh letaa hoon


bheegne ki khwaaish se kabhi to kaale baadal ko dekh letaa hoon
naa ho baadal to, tumhaare aankhon ke kaajal ko dekh letaa hoon

tum mujhme base ho kuch is tarhaa ki jab tumhaari yaad aati hai
aaine me, main tumpe marne waalaa, is paagal ko dekh letaa hoon

kabhi aajaaye ye baat dil mein, ki khush pehle thaa yaa ab main
main bhulaa ke apnaa ateet, main apne aajkal ko dekh letaa hoon

kaash tum kabhi udke aanchal jaise, mere seene se aake lag jaao
khwaab me roz main tumhaare udte huye aanchal ko dekh letaa hoon

tumhaari aankhen, tumhaari zulfein, kyaa kyaa cheez dekhun main
samajhke phool main tumhaare hothon ke kamal ko dekh letaa hoon

kuch bhi kahun tumhaari taarif me, sab kam hi hogaa, meri jaanaa
taarif mein kisi shaayar ke umdaa kisi ghazal ko dekh letaa hoon

sochtaa hoon duniyaa me sabse pyaari kyaa cheez hai, isi soch se
kabhi main tum ko, to kabhi main us taajmahal ko dekh letaa hoon
Karo ek koshish


naa karo yun baatein bas dil behlaane ke liye
karo tum dil se ek koshish, paas aane ke liye

hum to tum se jeete hain, tumpe hi marte hain
uthaao koi kadam meraa saath nibhaane ke liye

kab tak yunhi duur duur se baatein karoge tum
dedo ek maukaa tumhe seene se lagaane ke liye

ye ghum, ye aansun, ye dard judaai kaa kab tak
karo naa faislaa aakhri tum muskuraane ke liye

yaa to aajaao paas mere, aake ban jaao tum mere
yaa fir de do duwaa koi tumhe bhool jaane ke liyee
Hum paagal ho jaate hain


tumhaari baatein soch soch ke hum kho jaate hain
tum aaoge khwaab me yeh soch ke hum so jaate hain

kabhi kabhi dekhte hain apni khidki se jhaank ke
naa paake tumhe kahin, hum chup se ho jaate hain

tadapte rehte hain tumse milne ko subah se shaam
yaadein aansoo banke aankhon ko bhigo jaate hain

jaante hain ki tum aaoge, kuch pal ki deri  hogi
jaan ke bhi hum un palon me paagal ho jaate hain
Aankhon se pilaao mujhe

main thodaa pee loon, tum aakhon se pilaao mujhe
main thodaa jee loon, tum seene se lagaao mujhe

tumse hi meri har khushi hai, tumse hi saanse hain
main kho jaaun, tum apne zulfon me chhipaao mujhe

main pyaasaa hoon mohabbat kaa jaane kab se
bujh jaaye pyaas, tum hothon se chhuu jaao mujhe

pyaar bhi ajeeb cheez hai jo hasaati hai rulaati hai
naa rahun main hosh me, tum is tarhaa achhed jao mujhe

paake tumhe lagtaa hai ab kuch paane ki khwaaish nahi
dil me basaa ke, tum duniyaa se duur kahin lejaao mujhe
Main aankhon se piungaa

tumhaare aankhon se thodaa saa sharaab piungaa
hothon ko chhuu ke main thodaa saa gulaab piungaa

pyaasi hain meri aankhen tumhaare deedaar ke liye
dekh ke tumhe aankhon se cheez laajawaab piungaa

aake baithnaa kuch pal saamne, do baatein karnaa
main tumhaare husn ko nazron se behisaab piungaa

mil jaanaa aake ragon mein behte khoon ki tarhaa
main aaj jee bhar ke tumhaaraa shabaab piungaa

chaahe kehlo nasheri, yaa mujhe sharaabi kehlo
aaj tumhaare aankhon se thodaa sharaab piungaa

Tuesday, January 22, 2013

Tumse chaandni kar loon


jalaa ke chiraag mohabbat kaa, main roshni kar loon
taktaa rahe wo chaand, main tumse chaandni kar loon
Tum mere paas nahi


aaj bhi kabhi kabhi tanhaa baithe sochtaa hoon
ki kitni tezi se guzraa wo lamhaa, wo aakhri mulaquaat apni
tum mujhse miley, main tumse milaa, baatein kiye
aur fir judaa ho gaye, sadiyon ke liye....

wo faasle hamaare darmiyaan, kuch palon se ghante, aur fir saal
kuch is tarhaa faaslon ne hamaare bich faaslon ko badhaayaa
ki duur tum jaate rahe aur main bhi duur hotaa rahaa
naa ab tak tum sambhle ho, naa hi kabhi main sambhal paayaa

kaash, haan ye ek shabd kaash, aaj bhi zeher banke gunjti hai
cheer deti hai mujhe, mere dil ko, shareer ko, meri aatmaa ko
kaash, ek baar, us pal, kuch sochaa hotaa, 
dimaag ko bhulaa ke dil se faislaa kiyaa hotaa....

kaash... to aaj ye din aisaa naa hotaa
to yun hum baatein na karte anjaan ho ke ek duje se, duur baithe
tum shayad yahin kahin mere paas hote, mere dil me hote
na na .. dil me to ho ab bhi... magar wo baat nahi
tumhe rakhaa hai sajaa ke dil me magar tumko ehsaas nahi
main tanhaa akelaa hoon kahin, aur tum... aaj mere paas nahi...
Kaise bataaye tumhe hum


kitnaa aaraam miltaa hai tumhaare seene se lag ke kyaa bataaye tumhe hum
kaise dhadkano ki tezi badhti hai tumhe yaad kar, kyaa bataaye tumhe hum

baarish ki boonden bhi aag jaisaa kuch lagaa ke jalaati hain humein abto
un boondon me aag kahaan se aati hai, tum hi kaho kyaa bataaye tumhe hum

tumhaare honth, jinki taazgi kisi gulaab ke phool se kam nahi hain kabhi
kisi gulaab ko tumhaare paas laake, use chhoo ke kyaa dikhaaye tumhe hum

saawan ki jhadi ho tum, suraj ki mujhe chhooti, wo pehli kiran hi ho tum
magar, ye baat kabhi aake kareeeb tumhaare bhalaa kyaa bataaye tumhe hum

hum to bas isi baat se khush hain ki tumhe hamaari mohabbat pe yakeen hai
tumpe humein kitnaa yakeen hai, tum hi kaho, yeh kaise bataaye tumhe hum
Bas itni si mohabbat


ek lamhaa guzartaa nahi tum bin meraa
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai
naa dekhun tumhe to chain miltaa nahi
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai

kaho to chaand laa dun tumhaare liye
par jaante ho tum ye mumkin nahi hai
kaho to main ye zameen hi hilaa duun
par jaante ho tum ye mumkin nahi hai

hai bas ek maasoom si mohabbat tumse
tum kaho to main baar baar bataa dun
par kuch achcha nahi lagtaa tum bin
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai

tum kaho to bijliyaan main giraa dun
kaho to dil me aag hi main lagaa dun
par ye to maaloom tumko bhi hai naa
ki aisaa karnaa mumkin to nahi hai

magar ye baat sach hai meri jaanaa
ki mujhe sirf  tum se mohabbat hai
chaahungaa umra bhar tumhe is tarhaa
bas itni si mohabbat, mujhe tumse hai

Monday, January 21, 2013

Tum yahaan ho


main tumhaari aankhon me hoon, mujhe dhundte tum kahaan ho
main tumhe wahin milungaa, meri jaan-e-janaa tum jahaan ho

tum chalo dhoop mein, main pedon ki ghani chaaon ban jaaun 
kabhi chuu ke dekhun apne dhadkano ko, maano tum yahaan ho

chaltaa hoon bheed me, tanhaa akele, magar dekhlun gaur se
log sab anjaane, band kar lun aankhen jahaan tum wahaan ho

Sunday, January 20, 2013

Wo meri mohabbat ban gaye

kuch is tarhaa jude wo mujhse ki meri zarurat ban gaye
ret ke dher the, magar mere liye pyaar ki murat ban gaye

wo paththar the ye naa jaan ke hum unhe pujte rahe
pata hi na chalaa wo kaise meri mohabbat ban gaye
Mere preet ho tum

dhadkano kaa shhor, mere dil ke geet ho tum
jo bajti hai mere kaano me, wo sangeet ho tum

tumhi ko chaahta hoon, tumhi ko maangtaa hoon
tum ko paake jaanaa, mere mann ke meet ho tum

ye khel mohabbat kaa, aasaan to nahi thaa jaanaa
tum ko paake jaanaa, ki mere har jeet ho tum

tumpe hi jaan lutaaun, tumpe hi qurbaan hoon main
tumse meri har ghazal hai, mere hi preet ho tum
Mere ehsaas ho

main jaantaa hoon ki tum yahin kahin mere aas paas ho
mujhe khwaab lagtaa hai, magar tum mere hi ehsaas ho

mehsoos kartaa hoon main tumhaare sparsh ko neendon me
jaantaa hoon tum mere dil ki, mere dhadkano ki pyaas ho

kaise bataaun tumhe ki kitni mohabbat hai mujhe tumse
jaanaa main zindaa hoon magar tum hi to meri har saans ho

tumse judaa hoke meraa koi astitwa nahi, main kuch nahi
tum hi to mere zindagi ki khushi ho, har mithaas ho

shabd thaa, tumse jud ke main ek ghazal ban gayaa hoon
samajh lo meri zindagi me tum mere liye kitne khaas ho...
Ishaare dhundte firey

kuch aadat yun padi ki hum sambhal ke bhi sahaare dhundte firey
jahaan kadam le gaye humein, hum nishaan tumhaare dhundte firey

tumhaare seene se lag ke tumhaari dhadkano ko yun mehsoos kiyaa
dhadkan hamaare chalne se pehle tumhaare ishaare dhundte firey

kashti zindagi ki apni leke chale the safar me kuch is tarhaa
hum kahaan hosh me the, hum majdhaar mein kinaare dhundte firey

tumse miley, kareeb huye, aur tumse jud_te chale gaye is tarhaa
khoye rahe tumhaari aankhon me, unhi me sab nazaare dhundte firey

jitnaa miley tumse, tadapte rahe, aur jalan dil kaa badhtaa rahaa
hum deewaane tumhaare kareeb sukuun dil kaa hamaare dhundte firey
Tumhaari sharaarat

kyaa likhun main tumhaare baare me
kyaa kahun tumhaari shararaton ke baare mein
kaise tum aake mere khwaabon me
chhuu ke chale jaate ho mere baalon ko
main neend me rehtaa hoon gehri
aur aake tum mere hothon ko chhuu jaate ho

wo ek sparsh tumhaaraa mere neendon me
paagal banaa detaa hai mujhe
jab dheere se aake mere kaan me kehnaa
'jaanu, I love u, i love u'
main duur, is duniyaa se bahut duur
kahin chalaa jaata hoon

jahaan sirf main aur tumhaaraa saath hotaa hai
hum hote hain ek duje ki baahon mein
aur taaron se saji haseen raat hoti hai
wo jaadu jo chaltaa hai fir tumhaari aankhon kaa
uuufff, meri jaan mujhse chhin ke le jaati ho
aur fir dheere se, jaane kyun, kyun..
ek chuti kaat ke mujhe need se jagaa jaati ho....

Hum tumhi ko dekhaa karte hain

tum se milte hain jab tak, tab tak alag baat hai, warnaa
subah se shaam hum tumhaari tasveer ko dekhaa karte hain

yeh maaloom hai, sanwarti ho tum humse milne se pehle,  magar
tumse milke hum to bas tumhaari aankhon ko dekhaa karte hain

alag hi kashish hai in aankhon me ki loot leti hain har baar
sambhal paate nahi hum aur baar baar unhi ko dekhaa karte hain

chhuu lete ho kabhi apne naazukh haathon se meraa haath agar
tumse judaa ho ke bhi hum bas apne haathon ko dekhaa karte hain

haathon ki lakeeron ko dekhnaa nahi aataa humein, to kyaa
haathon me tumhaaraa naam likh ke hum usi ko dekhaa karte hain
Mujhe paagal banaya karti ho

tumhaari paagal paagal si baaton se
tum humein paagal banaayaa karti ho
jab kabhi saamne tumhaare hote hain
khud bhi paagal ho jaayaa karti ho

tumhaari paagal si do aankhen hain
jinse mujhe hi dhundaa karti ho
kabhi kabhi tum paagal ban ke
un aankhon me kho jaayaa karti ho

paagal si kuch mulaaquaaton mein
jab hum paagal banke milte hain
paagalpan ko aur badhaa ke tum
waapas chali jaayaa karti ho

din bhi paagal, raatein paagal
subah se lekar shaam bhi paagal
din ka har ek lamhaa hai aisaa
har pal paagal banaayaa karti ho

meri hi baaton ko soch ke tum
mere saamne muskuraayaa karti ho
fir apni paagal si hasi ko
tum pallu me chhipaayaa karti ho

kabhi chhuu lete ho haath meraa tum
kabhi duur mujhse ho jaayaa karti ho
kabhi kabhi tum paagal banke
mere seene se lag jaayaa karti ho

tum apni paagalpan se kaho naa
kyun mujhe sataayaa karti ho
baarish ke mausam me bhi tum
paani me aag lagaayaa karti ho

ek paagal paagal ladki ho tum
tum mujhe bhi paagal karti ho
poochne pe mere tum kehte nahi ho
ki tum mujhse mohabbat karti ho

Saturday, January 19, 2013

Tum kyun chale gaye

kuch sapne dikhaa ke suhaane tum kyun chale gaye
chal ke kuch pal saath mere tum kyun chale gaye

wo hasnaa, wo khilkhilaanaa, wo muskuraanaa tumhaaraa
wo baatein, wo raatein, wo mulaaquaatein tumse meri
bhulaa ke har wo baat, tod ke har rishtaa mujhse
chhod ke tanhaa mujhe, tum kyun chale gaye

main, jo sirf tumhaare liye hi jee rahaa thaa
main, jo sirf tumhe dekh ke muskuraataa thaa
main, jo sirf tumhaare hone se hi kuch thaa
tod ke har naataa mujhse, tum kyun chale gaye

jaanaa thaa jaate magar khataa bataa ke jaate
ek aakhri baar mil ke mujhe seene se lagaake jaate
deke aakhri khushi mujhe, thodaa muskuraa ke jaate
yun bin bataaye mujhe kuch, tum kyun chale gaye

wo waade, wo kasme, jinhe pooraa hote dekhnaa thaa
wo khwaab jinko sach hote huye dekhnaa thaa
kuch armaan dil ke jo bas dil me hi reh gaye
bhulaake har wo cheez, tum kyun chale gaye

tumhe to maaloom thaa ki tum bin koi nahi meraa
tumhe to maaloom thaa saanse ruk jaati hain tum bin
tumhe to maaloom thaa ki dhadkane meri tum se thi
sab jaante the tum, magar kyun, kyun tum chale gaye

mujhe khudse judaa kar ke, meri zindagi badal ke
kyun chale gaye, tum kyun chale gaye....

Friday, January 18, 2013

Aisaa faislaa kahaan hai


jo naa de dard tumhe, aisaa pyaar bhalaa kahaan hai
jo naa jalaaye haath aisaa chiraag jalaa kahaan hai

chalne ko kuch pal saath me chalte hain sabhi, magar
chhuu le aasmaan, aisaa ab tak koi chalaa kahaan hai

tadapnaa naseeb me likhaa hai mohabbat karne waalon
jis se muskuraane lago tum, aisaa faislaa kahaan hai

jism se jaan tak nikal jaati hai, to bachaa hi kyaa
jo naa ho judaa kabhi  jism se, wo balaa kahaan hai

dhundte hain gali gali usko, jo humein bas pyaar kare
jo kare khud ki talaash , aisaa koi niklaa kahaan hai
Tum hamaare ho gaye

tumhaare aate hi khoobsurat se ye nazaare ho gaye
chhuwaa yun tum ne humein ki hum tumhaare ho gaye

duriyaan kam huwi dono ke darmiyaan kuch is tarha
lab khaamosh rahe, magar nazar se ishaare ho gaye

tumse hi din shuru aur tum pe hi din khatam meraa
aadat kuch yun padi, hum tumhaare sahaare ho gaye

kisi kaa saath nahi, koi humdum bhi na thaa meraa
doobti kashti thi zindagi, tum mere kinaare ho gaye

ab tak har khwaab ko kaanch ki tarhaa tut_te dekhaa
khwaab ye dekhaa na thaa, magar tum hamaare ho gaye
Woh badalte rahe

naa keh sake kisi se kabhi naa kabhi khud ko hi samjhaa sake
jalte rahe apne andar hi aur bas mom ki tarhaa pighalte rahe

kisi ne pairon tale roundaa humein, kisi ne sahaaraa diyaa
kuch is tarhaa zindagi me kabhi girte to kabhi sambhalte rahe

bheegte rahe hum baarish me ki koi dekh naa len aansu hamaare
hum chaahte rahe unhe aur wo mausam ki tarhaa bas badalte rahe

unki aadat dil tod jaane ki, wo aadat kaise chhod paate bhalaa
tadpaate rahe humko sadaa, aur muskuraake bas wo nikalte rahe

jo thi cheez apni nahi, uskaa ghum hum karein bhi to kyaa
unhe jitnaa humne pakadnaa chaahaa wo aur zyaadaa fisalte rahe

wo itne mash_hoor the ki zamaanaa saaraa unke pichhe chalaa
aur hum unhe paane ke liye bas zamaane ke pichhe chalte rahe

Thursday, January 17, 2013

Wo aur chaand taare

wo chaand taaron ki taaarif karte rahe,
main unhi ko khoobsurat bataataa rahaa
wo samundar ko gehraa bataate rahe,
main unhe unhi ki aankhen dikhaataa rahaa
Tumhaare aajaane se

kuch ummeeden, kuch dabe armaa is dil ke
jagne lage hain fir tumhaare aajaane se

kuch khwaab jo chhipe the in aankhon me
sach lagne lage hain tumhaare aajaane se

jeewan me mere ghum to bahut the, magar
hum muskuraane lage hain tumhaare aajaane se

deewaarein bahut the eent ke mahal me, magar
aashiyaanaa banaa bas tumhaare aajaane se

phool to khile hain baagon me kabse, magar
mehekne lage hain sab tumhaare aajaane se

indradhanush me rang bahut hain, magar
wo khaas lagne lage hain tumhaare aajaane se

panchhiyon ne thaa pankh failaayaa, magar
wo udne lage hain bas tumhaare aajaane se

shabd mere sab bikhre pade the, magar
aaj ghazal ban gayaa ek tumhaare aajaane se

ab tak mohabbat kaa bas naam sunaa tha, magar
aaj mehsus kiyaa ek tumhaare aajaane se

Wednesday, January 16, 2013

Milan


shaam ke aate hi jaise aapkaa aanaa huwaa
saath aapke baarish kaa baras jaanaa huwaa

bheegte rahe aap baraste paani me us pal
hamaaraa tab mohabbat me bheeg jaanaa huwaa

sochaa thaa milte hi seene se lagaa lenge
magar dekh aapko hamaaraa ladkhadaanaa huwaa

dekhte rahe aap humein nazrein churaate huye
aur hamaare dhadkano kaa tez ho jaanaa huwaa

wo saadgi aapki, humein paagal banaati hui
dekhte rahe aapko, aur humaaraa kho jaanaa huwaa

do kadam aap chale, do kadam hum chalen
kuch is tarhaa se hamaaraa paas aanaa huwaa

dekhte rahe hamaari aankhon me kuch pal, fir
achaanak se aapkaa humse sharmaa jaanaa huwaa

kuch pal thahar ke aapne fir yun puchhaa humse
"aaye ho, kyun itni der se aapkaa aanaa huwaa"

kyaa kehte hum, kuch kehne ke laayak hi naa the
sunte hi aapki aawaaz, hamaaraa mar jaanaa huwaa
Kyaa likhun tumhaare liye


subah se kaagaz liye baithaa hoon, tanhaa, akele
kuch likh paayaa nahi, kuch samajh paayaa nahi
likhnaa chaahaa tumhaare naam se bahut kuch
magar kyaa likhun ye samajh ab tak aayaa nahi

tumhaare hothon ko gulaab kahun to kam hogaa
tumhaare aankhon ko sharaab kahun to kam hogaa
karne lagun taarif tumhaari to main kaise karun
kuch bhi likhun tumhaari taarif me to kam hogaa

na ek shabd hi main likh paayaa hoon ab tak
koraa kaagaz ab bhi koraa padaa hai subah se
likhungaa kuch to magar kyaa soch rahaa hoon
bas isi soch me main khoyaa hoon subah se....
Tumhaare ho jaane tak

tumse mohabbat karenge tumhaare behek jaane tak
nibhaayenge mohabbat is jaan ke nikal jaane tak

sochoge tum bhi ek baar ki kaisa deewaana hai
chhodtaa nahi hai yeh zidd apnaa banaane tak

chhipaa letaa hai apne dard ko muskuraate huye
hastaa rehtaa hai jo tumhaare muskuraane tak

sambhalne naa denge tumhe hum ek pal ke liye bhi
karenge paagal tumhe saanson ke tham jaane tak

na kehnaa kabhi humse ki tumhe chaahnaa chhod den
karte rahenge pyaar tumhe bhi humse ho jaane tak

Abhi to rat bhar baaki hai

tumhe dekh len thodaa aur, abhi raat bhar baaki hai
abhi saamne hamaare tumhaari qaatil nazar baaki hai

nashaa jo chadha hai tumhaaraa hum pe dheere dheere
hosh me hain hum, magar madhoshi kaa asar baaki hai

ho jaane do humein khatm tumhaari mohabbat me zaraa
abhi aashiqon se bharaa yeh pooraa shahar baaki hai

sunaa hai lut_taa hai dil magar wo lut_ta hai kaise
dikhaane ko tumhe ab bhi hamaaraa ye hunar baaki hai

hum leke baahon me tumhe zameen pe chaand dikhaa den
karne waalaa chamatkaar tumhaaraa ye jaadugar baaki hai

thodi si mohabbat ki baat humse tum karlo naa sanam
sochne ke liye tumhaari abhi to poori umar baaki hai

jalaa ke tumhe raakh kar den aur khud bhi jal jaaen
mohabbat ki aag mere dhadkano me is qadar baaki hai

mar jaayeen tum pe hum agar tum humse kehdo ye kabhi
tum pe marne waalaa tumhaaraa ye humsafar baaki hai
Asar baaki hai

ab bhi in aankhon me woh asar baaaki hai
humein dekhti hui tumhaari nazar baaki hai

ek poori raat guzar chuki hai tumse mile huye
tumhaaraa nashaa in aankhon me magar baaki hai

hum jal uthe the tumhaare seene se lagte hi
jalaane ko ab bhi ye pooraa shahar baaki hai

saansen meri ab tak tez hi hain chal rahi
mohabbat meri dhadkano me is qadar baaki hai

jo naa keh sakaa woh sab kehnaa hai tumse
firse milne ki khwaaish mere humsafar baaki hai

Tuesday, January 15, 2013

Aaj ki raat

neend naa aayegi meri aankhon me aaj ki raat
teraa chehraa rahegaa aankhon me aaj ki raat

kaisaa hogaa milan hamaaraa barso ke baad kaa
bas yahi baatein sataayengi mujhe aaj ki raat

aaogi tum saamne to pehle tum bologi yaa main
yahi baat sochtaa rahungaa main aaj ki raat

tumse haath milaaungaa yaa seene se lagaaungaa
soch ke ye pareshaan rahungaa main aaj ki raat

kal hi tumse main baat kar lun hamaari shaadi ki
yaa naa kahun koi aisi baat sochungaa aaj ki raat

kyaa karun kyaa nahi kuch samajh nahi paa rahaa
badaa mushkil hogaa guzaarnaa yahaan aaj ki raat

Monday, January 14, 2013

Wo kisi aur se mohabbat karti thi

main uske baare me kehtaa rehtaa aur wo uski baat karti thi
shayad yahi wajah thi bewafaai ki, wo us se pyaar karti thi

pasand to karti thi mujhe dil ki har baat bataati thi mujhe
mujhe apnaa sabse achchaa dost bataati thi, us pe marti thi

main paagal, itnaa naa samajh sakaa ki meri bas ek dost thi
main jispe martaa thaa  wo kisi aur pe jaan nisaar karti thi

mehsoos kitni baar kiyaa, samajhne ki kabhi koshish nahi ki
kyun mere saath hote huye bhi bas usi kaa zikar wo karti thi

saath hi rehte the hum saare, saath hi ghuma karte the, main
use iska dost samajhtaa thaa, wo mujhe hi dost samajhti thi

kaisi aadat thi uski, kabhi main samajh paaya hi nahi yeh
haath pakad ke chalti the mere aur usko wo ishaare karti thi

wo din bhi khoob thaa jab aakhri baar milaa thaa main usse
wo bilkul waise mili mujhse jaise wo pehle milaa karti thi

ek card mere haathon me thamaa ke seene se wo lag gayi mere
kahaa wo din aa gayaa zindagi me, jiskaa intezaar karti thi

laal jode me, kisi ke naam kaa sindoor hogaa uske maang me
usko wo shaqs mil gayaa jiske milne ki wo duwaayein karti thi

main, meraa kyaa main tanhaa apni raahon pe bhataktaa reh gayaa
main usse mohabbat kartaa thaa jo kisi aur se mohabbat karti thi

Baatein tasveer se

haathon pe naam teraa main likh ke mitaa detaa hoon
koi dekhle aake kamre me to main chhipaa letaa hoon

jaane kyaa baatein kartaa hoon main teri tasveer se
dil ki har baat main us tasveer ko bataa detaa hoon

teri tasveer bhi meri baatein sun ke khil jaati hai
aur use khiltaa huwaa dekh main muskuraa detaa hoon

tadaptaa hoon tujhse milne ke liye, tujhe chhune ko
raat takiye ko tu samajh, seene se lagaa letaa hoon

achcha nahi lagtaa mujhe yaaron ki mehfil me jaanaa
apne kamre me tanhaayion se mehfil sajaa letaa hoon

likhtaa hoon kai geet main teri yaadon ko sajaa ke
apne tanhaa mehfil me unhi geeton ko gaa letaa hoon

Naa kabhi dekhaa humne


naa kabhi huwaa aisaa pehle naa kabhi dekhaa humne
jabse tumhe dekhaa hai, bas tum hi ko dekhaa humne

jab tak tumse naa mile the koi khwaab naa dekha thaa
khwaabon me bhi bas ek hi chehraa ab to dekhaa humne
Pehli mulaquaat


tumhaaraa aanchal sarak rahaa thaa, tum use bachaa rahi thi
main aakhen gadaaye baithaa thaa tumpe, tum sharmaa rahi thi

chhoo letaa jab bhi main tumhaaraa haath apne haathon se to
tum chhin leti apnaa haath mujhse, aur fir muskuraa rahi thi

jaise kuch khoobsurat sa haadsaa huwaa ho tumhaare saath us pal
mere haathon se apnaa haath chuudaake unhi ko dekhe jaa rahi thi 

mujhe to yaad bhi nahi ki us din tumne mujhse kyaa baat ki thi
tumhaari wo aankhen yaad hain bas jo mujhe kuch kahe jaa rahi thi

tumhaaraa wo haathon se zulfon ko hathaanaa, nazren jhukaanaa
main thodi der tumhe dekh letaa to tum chehraa chhipaa rahi thi

tumhaaraa wo kehnaa mujhse 'chhodo naa, kyun chhedte ho mujhe'
mere kaano me aaj bhi gunj rahi hai jaise tum bataa rahi thi

haaye, tumhaari maasoom si baatein, tumhaari maasomiyat us pal ki
main tum me hi gum thaa, aur tum bhi mujhme gum huye jaa rahi thi

sach, kuch alag saa hi nashaa thaa us pal kaa hum dono pe hai naa
main thaa nahi khud me, tum mujhe mujhse aur duur kiye jaa rahi thi

Tumse duur kaise jaa paaungaa


tumhaare naam se likhe geeton ko gungunaaungaa
tum aajaao paas mere, tumhe hi main sunaaungaa

tasveer to bas bahaanaa hai kyun ki tum nahi ho
aajaao ek baar tumhaari tasveer ko bhul jaaungaa

tumse hi shuru hoti hai tum hi pe khatam hai sab
tumse judaa ho ke bhalaa main kahaan jaa paaungaa

jagah mere dil me to tumhaare siwaa kisi kaa nahi
naa mile tum mujhe to main jeete ji mar jaaungaa

tumhaare binaa meri zindagi koraa kaagaz hi hai
aake jaisaa likhwaaoge main waisaa likh jaaungaa

geet, ghazal, shayari kyaa cheez hain ye sab
kehdo to apni zindagi tumhaare naam likh jaaungaa

Sunday, January 13, 2013

Pighal jaaungaa

hosh nahi hai mujhe kisi baat kaa
magar tum aao to sambhal jaaungaa

bahut buraa hoon main sab ke liye
tumhaare aajaane se badal jaaungaa

raat kaa ghanaa andheraa hoon main
tumhaare aate hi main dhal jauangaa

koi buraa waqt hi hoon main shaayad
magar tum aajaao to nikal jaaungaa

kehte hain log mujhe paththar dil
tum aake chhoolo to pighal jaaungaa
Tutaa khwaab meraa

tasveer ko dekhtaa hoon, main usi se baat kartaa hoon
jab tadap uth_taa hoon, main thodaa saa ro letaa hoon

mera dil bhar aataa hai jab bhi kabhi use yaad kar ke
apne kamre ki deewaaron me khud ko chhipaa letaa hoon

koi paagal mujhe kehtaa hai, koi deewaanaa bulaataa hai
main logo ki baaton pe bas har baar muskuraa detaa hoon

kabhi dost koi puraanaa, jab uske baare me poochhtaa hai
koi tutaa khwaab thaa meraa, unhe ye bataa detaa hoon
Tumse main kahungaa

tumhaare zulfon ke baadal se main khelungaa
tumko apni baahon ke ghere mein main le lungaa

jab tadapne lagogi tum mere dhadkano ke shor se
kas ke tumhaare hothon ko main chum lungaa

tadap ko tumhaari hadon ke paar leke, dheere se
paas aake tumhaare kaano mein main kahungaa

"mujhe tumse mohabbat hai, tumhaari zarurat hai
tum agar mujhse keh do, tumhe jaan tak main de dungaa

tumko hi main maangtaa hoon, tumko hi chaahtaa hoon
tum agar saath ho to ye jahaan main jeet lungaa"...
Main aaungaa

main aawaaraa saa baadal banke paas aaungaa
aake tumhaare gaalo ko haule se chhu jaaungaa

wo chaand jo ambar se taktaa hai tumhe
us chaand ko main apni ye chaand dikhaaungaa

jalaaungaa use main tumhaari saadgi dikhaake
dekh use jaltaa main chupke se muskuraaungaa
Jahaan sajaa rakhaa hai

apne saare kapdon ko bed pe failaa rakhaa hai
koi laal, koi haraa, to koi neelaa rakhaa hai

milne jaanaa hai apne sajan se hum kyaa pehne
is khayaal se khud ko paagal banaa rakhaa hai

tohfaa bhi kuch laanaa hai humein jaan ke liye
dene ke liye khoobsurat sa gulaab rakhaa hai

sochaa tumhaare liye koi keemti tohfaa laa dun
isliye maine kuch paisaa bhi bachaa rakhaa hai

main haqeeqat me kuch bhi kar nahi paa rahaa hun
par dilme khoobsurat saa jahaan sajaa rakhaa hai
Muskuraate kyun ho

meri baatein soch ke akele muskuraate kyun ho
main hoon nahi paas tab bhi sharmaate kyun ho

kabhi apne hi gaalon pe haath ferte ho tum
kabhi aainaa  dekh ke hi jal jaate kyun ho

kho jaate ho kabhi jaane kin khayaalon me tum
khwaab me mere aake seene se lag jaate kyun ho

sochte ho subah se shaam tak meri hi baatein tum
kabhi in khayaalon me doobke sanwar jaate kyun ho

kyun hosh me reh paate nahi ho soch ke mujhe
mere hi naam se apne geeton ko sajaate kyun ho

Ek kahaani likhtaa hoon

aao baitho kuch pal saamne main ek kahaani likhtaa hoon
tumhaaraa husn, to kabhi tumhaari jawaani likhtaa hoon

saanson ko aag, tumhaare aankhon ko samundar likhtaa hoon
main gulaabi hothon ko mohabbat ki nishaani likhtaa hoon

baadal ghir aaye hain aasmaan me kitne ghanere dekho naa
khoob barse, aaj mohabbat ko barastaa paani likhtaa hoon

ho charche hamaari mohabbat ke, itnaa kho jaayen ek duje mein
main khudko tumhaaraa aashiq, tumhe main deewaani likhaa hoon

Saturday, January 12, 2013

Dekh paate kyun nahi

hai mohabbat tumhe to mujhe tum bataate kyun nahi
rehte ho dur mujhse, paas mere tum aate kyun nahi

karte ho yaad, apni ruh mein basaate ho mujhe tum
magar yeh baat apne hothon pe tum laate kyun nahi

hawaayein tumhe chhuke meri galli se guzarti hain
hawaaon ke sangh tum meri gali me aate kyun nahi

bekhabar nahi tumhaari mohabbat se, jaantaa hoon
par, kabhi tum dil ki baat mujhe bataate kyun nahi

aake khwaab me har raat meraa aashiyaan sajaate ho
kaho naa, haqeeqat me tum mere paas aate kyun nahi

baatein nazron ki samajh to lete hain par kehte nahi
nazron ke un ishaaron ko hothon pe sajaate kyun nahi

keh do ek baar apne hothon se ki mohabbat hai tumhe
khuli baahen hain meri, tum ise dekh paate kyun nahi
Naa poochho mujhse

raat mere saath kyaa huwaa naa poochho mujhse
kaise chhedaa tumhaari yaado ne na poochho mujhse

karwate badalte rahe hum bistar me saari raat
tumhaari meethi baatho ne kaise chhedaa naa poochho mujhse

ab tak aisaa huwaa nahi thaa kabhi kal se pehle
kyaa huwaa kal raat mere saath, naa poochho mujhse

tadapte rahe hum to sari raat tumhe yaad kar ke
milne ko kaise bekarar huye naa poochho mujhse
Dar lagtaa hai

aaj bhi mujhe jaane kyun mohabbat se dar lagtaa hai
hai tumpe, magar fir bhi aetbaar se dar lagtaa hai

dekhaa hai bahuton ko pyaar karke aansu bahate huye
shaayad yahi wajah hai mujhe aansuon se dar lagtaa hai

dekhta hoon kai khwaab main tumhaare saath, magar
kyaa ye sach hai, tut_te huye khwaab se dar lagtaa hai

kadam badhaanaa hai magar tab thi ruk jaataa hoon main
ye kadam galat naa ho, bas is baat se dar lagtaa hai

tumhi kaho, apne is bandhte tut_te khwaab kaa kyaa karun
dartaa nahi thaa main, magar najaane kyun ab dar lagtaa hai

Friday, January 11, 2013

Tere binaa kuch nahi


wajood mere pyaar kaa, ab tere pyaar binaa kuch nahi
meraa jo aetbaar hai, wo tere aetbaar binaa kuch nahi

saanson kaa bandhan meraa teri saanson se hi to hai
tujhse hi main zinda hoon, main tere binaa kuch nahi

mere aansoo bhi tujhse hai, muskaan bhi tujhi se hai
tujhse hai meraa har lamhaa, ab tere binaa kuch nahi

tujhse hi main miltaa hoon, tujhse main mehektaa hoon
janam janam kaa rishtaa tujhse, tere binaa kuch nahi

haathon me haath teraa, umra bhar kaa hai saath teraa
bin tere yahaan kuch nahi, main tere binaa kuch nahi
Judaai se dar lagtaa hai


dar mujhe tumse nahi par tumhaari judaai se lagtaa hai
bharosaa hai khudaa pe, dar uski khudaai se lagtaa hai

wo hi to chaahne waalon ko milaa ke juda kar detaa hai
dar mujhe dilse nahi, dil ke badalte roop se lagtaa hai

aaj main tumhaaraa hoon, tum chaahte ho mujhe, magar
agar naa rahe tum kal mere, dar is baat se lagtaa hai

jaantaa hoon tum waisi nahi ho jaisaa sochtaa hoon main
wafaa ke geet gaate ho, dar kal ki bewafaai se lagtaa hai

kahin kal koi aisaa mil jaaye tumhe jo mujhse pyaaraa ho
mujhe tumse nahi, dar kal ke aane waale us pal se lagtaa hai
Bahut bheed hai yahaan

bahut bheed hai yahaan, magar yahaan koi apnaa nahi
tum nahi ho paas to aankhon me mere koi sapnaa nahi

tumse judaa ho ke lag rahaa hai tanhaa ho gayaa hoon
bheed hai yahaan, magar bheed me main kho gayaa hoon

kai sapne sajaake apni aankhon me jee rahaa thaa main
sapne kyaa main apni zindagi se hi duur ho gayaa hoon

saanson kaa bandhan tumse jod liyaa thaa maine kabse
tumse duur ho ke marne ke liye majboor ho gayaa hoon

Tumse pyaar kartaa hoon


tumse judaa hoon magar main tumhi se pyaar kartaa hoon
milogi tum ek din mujhe, us din ka intzaar kartaa hoon

aataa nahi bharosaa kisi pe ab tum se judaa hoke mujhe
magar, tum aaoge, main is baat par aetbaar kartaa hoon

tumhaare diye gulaab ko main seene se lagaa letaa hoon
tumhaare laut aane ki fariyaad hazaar baar kartaa hoon

dekhtaa hoon aaine me khud ko aur tumhe dhundtaa hoon
mujhme tumhaari tasveer dhundaa baar baar kartaa hoon

bheed bahut hai yahaan aur usi bheed me kho gayaa hoon
maanlo yeh baat main tumse pyaar beshumaar kartaa hoon
Gumraah huye honge


jaane kitne salim, kitne anaarkali huye honge
ishq ki raah pe jaane kitne tabaah huye honge

lailaa-majnu shireen-farhaad ki kahaani kehlo
wo bhi dekh dusron ko hi to gumraah huye honge
Mohabbat aazmaa letaa hoon


chalo tumhaari baat maan, tumhe apnaa letaa hoon
tumhaare sangh har geet main gungunaa letaa hoon

rehnaa mere saath tum har pal meraa saayaa banke
tumhaare saath sapno kaa mahal banaa letaa hoon

tum pe, tumhaari aankhon pe main bharosaa kar ke
tumhaari mohabbat ko aaj main aazmaa letaa hoon
Pyaar ho jaayegaa


dekh lo meri aankhon mein tumhe aetbaar ho jaayegaa
hamaari mohabbat se tumhe bhi aaj pyaar ho jaayegaa
naa rok paaoge khud ko meri baahon me aane se tum
meri tarha, tumhe mujhse pyaar beshumaar ho jaayegaa
Baadal ban jaaungaa


naa karo itnaa pyaar ki main paagal ban jaaungaa
barse bas mohabbat koi aisaa baadal ban jaaungaa

seene se lagaa ke tumhe main pyaar pyaar dungaa
aankhon kaa tumhaare main aaj kaajal ban jaaungaa

paake tumhe maine yeh saaraa jahaan paa liyaa hai
ehsaas tum agar ho to main koi ghazal ban jaaungaa

Thursday, January 10, 2013

Hum jaante hain


haseeno ki aadat hai ye hum jaante hain
tum jo keh rahe ho use sach maante hain

par kab tak yunhi tadpaati rahogi mujhe
tumhaari aadat buri hai, ye jaante hain

pyaar to karte ho tum bhi humse jaanaa
par tumhaari sharaaraton ko jaante hain

khush hoti ho tum humein tadaptaa dekh
tumhaari har badmaashi pehchaante hain

karlo sitam jitnaa chaaho karnaa mujhpe
par tum meri ho, ye baat bhi jaante hain
Shringaar


mohabbat ki murat ko tum kaise sajaaoge
tum apni muskaan se hi to sanwar jaaoge

rang chadhaa ho jispe sajan ke naam kaa
uss rang pe koi aur rang kaise lagaaoge

aankhon me tumhaare saagar samaayaa hai
uspar tum kaajal kaa rang kyaa lagaaoge

hothon pe oss ki boondein hain tumhaare
unhe kisi aur cheez se kyaa bhigaaoge 

kaafi hogaa tumhaaraa bas sharmaa denaa
tum apne jaan kaa qatl hi tab kar jaaoge
Aadat tumhaari


ye aadat achchi nahi tumhaari yun dil lagaane ki
aate aate kareeb, fir bahut duur chale jaane ki

saansen meri jo chalti hain bas tumhaare naam se
tumhaari aadat hai meri saanson ko hi jalaane ki

sab ko chain miltaa hai mohabbat me doobkar, aur
tumhaari aadat hai mohabbat me hi aag lagaane ki

kyun karte ho aisaa, kaho naa, kyun tadpaate ho
tum anjaan ho yaa ye koshish hai mujhe sataane ki

kehte ho mohabbat hai mujhse jaan se bhi zyaadaa
aur, karte ho kaam meri jaan ko mujhse dur lejaane ki
Hum aahen bharte hain


tumhaari isi adaa pe to jaanaa hum marte hain
yahi wajah hai ki mohabbat bepanaah karte hain

tumhaare dil se awaaz aati hai jab hamaare liye
tadap uth_te hain hum, aur bas aahen bharte hain

sharmaate ho jab bhi kabhi tum humein soch kar
jaise kai teer hamaare dil se hoke guzarte hain

saanson ki tezi aur tez hone lagti hai us pal
dhadkan  jaane kaisi kaisi baatein karte hain

lagaa lete hain tumhaari tasveer apne seene se
kuch is tarhaa se hum jalan ko shaant karte hain
Main mohabbat jaanaa


ab naa jaaungaa kabhi tumse duur main jaanaa
bahut der se hai maine mohabbat ko pehchaanaa

jaan paataa agar kyaa cheez hoti hai zindagi
na kartaa der yun tumse milne me meri jaanaa

aajaataa kab kaa main tumhaaraa haath thaamne
na padtaa tumhe meri yaad me rainaa guzaarnaa

to aao aaj hum mil ke ek ho jaate hain dono
aake is baar tum sadaa ke liye meri ban jaanaa

Wednesday, January 9, 2013

Karte ho qatl


aisaa lagtaa hai gir jaayenge hum sambhalne se pehle
thaam lo tum haath, yeh haseen shaam dhalne se pehle

chhune tumhe badhtaa hoon jab, bheed me chhip jaate ho
jaanaa, tum dil tod dete ho, armaan machalne se pehle

haaye yeh shaitaaniyaan, uuufff teri ye badmaashiyaan
kyun barsaat bulaa lete ho tum aag ke jalne se pehle

tadpaate ho hum ko tum, jaise jal bin koi machhli ho
jalaate ho humein tum, jism-o-jaan pighalne se pehle

hamein dekhte ho duur se tum, chhip chhip ke haste ho
jaanaa, karte ho yun qatl mera, jaan nikalne se pehle
Do jism ek jaan


chalo aaj ek dusre ki aankhon me hum kho jaate hain
ehsaason ki baarish me ek dusre ko bhigo jaate hain

todke rishte, saare bandhan, saari reet is jahaan ki
kahin duur is jahaan se apnaa aashiyaan banaate hain

jahaan chidiyon ki kuk hogi, titliyon kaa rang hogaa
thaame haath ek duje kaa hum wahaan chale jaate hain

hawaaon me jahaan mehek jo hogi wo sirf mohabbat ki
aur hum us mohabbat ki mehek se hi mehek jaate hain

chalo, karlo waadaa ki naa saath chhutegaa apna kabhi
aaj khaake kasam hum do jism se ek jaan ho jaate hain
Kab tak duur reh paaoge


mujhse judaa hoke tum kab tak reh paaoge
tadap uthoge, mohabbat me tum beh jaaoge

aasaan nahi khud ko qaaboo me rakh paanaa
meri har pukaar pe tum khiche chale aaoge

mehekne lagoge meri khushboo se tum jaanaa
meri baahon me aake tut ke bikhar jaaoge

kaun bach paayaa hai mohabbat ki maar se
tum bhi meri mohabbat me kabhi mar jaaoge

rok lo, baandh lo khud ko kisi zanzeer se 
todke saare bandhan mere paas chale aaoge
Main machaltaa hoon


haaye, kitni bechaini hai aaj dono taraf dekho naa
do kadam tum chalo, do kadam main bhi chaltaa hoon

kab se koshish kar rahaa hoon hosh me aane ki main
thodaa ladkhadaake, thodi duur jaa sambhaltaa hoon

jaise sardiyon ki aad me saawan laut aayaa hai aaj
mohabbat ki meethi aanch me aaj thodaa jaltaa hoon

mitaa do sabhi duuriyaan, tod do tum bandhan saare
tumhaari jism ki aag se main thodaa pighaltaa hoon

jaanaa, kyun rakhaa huwaa hai baandhke khud ko tumne
machalte to tum bhi ho jis tarhaa main machaltaa hoon
Saans me saans aane se pehle


hum tujhi ko yaad karenge, saans me saans aane se pehle
hothon pe teraa naam hogaa, dil me ehsaas aane se pehle

ban ke saayaa saath rahenge tere har safar me hum jaanaa
hum mil jaayenge tujhe paas, ghum koi paas aane se pehle

tere liye hi to jeete hain, teri hi muskaan se hum hain
mar jaayenge, teri zindagi me lamha koi udaas aane se pehle

yun to pehle bhi hum likhaa karte the jab tu nahi thi meri
tu nahi thi paas, in geeton me baat wo khaas aane se pehle

mausam aate hain, baarish bhi, dhoop bhi aati hai har subah
magar sirf tu aati hai, zindagi me koi mithaas aane se pehle
Mujhpe jaan lutaate ho naa

aaj  bhi  chhip  chhi p ke  mere   geeton   ko padhne yahaan aate ho naa
padh  ke  apni  taarif  un geeton me  mann hi  mann muskuraate ho naa

milte  the   mujhse   to  kehte  the  ki  mohabbat nahi hai tumhe mujhse
magar  aaj  bhi  tum   mere  likhe  khaton ko padh ke sharmaate ho naa

kyun  karte  ho  aisaa,  kyun   tadpaate  ho  mujhe  mujhse duur reh ke
jaantaa  hoon  main,  tum   aaj   bhi  mere  dard pe  tadap jaate ho naa

rokaa  hai  kisne  tumhe, kyaa  majbooriyaan  hain,  kuch to kaho tum
aaj  bhi   tum  dil  hi  dil   is  deewaane  pe  apni  jaan   lutaate  ho naa

dekhtaa hoon  aaine me  khudko, mujhme  tumhaaraa aks dikhtaa hai
aaj bhi mohabbat banke tum mere jism me, ruuh me, samaate ho naa

meri   saansen  hain  tumse,  mere dil ki har ek dhadkan  tumhi se hai
kaho naa, band aankhon se bhi meri har tadap ko dekh  paate  ho naa

ek   dum   tanhaa  hoon main, akelaa  hoon, tum  bin kuch nahi main
mere dard ko, meri mohabbat ko aaj bhi tum samajh to paate ho naa


Hum gulaab dekhte hain

sajaa ke tumhe apni aankhon me hum har ek khwaab dekhte hain
peene ki aadat nahi par tumhaare aankhon me sharaab dekhte hain

leke chalte hain tumhaaraa haath apne haathon me hum, aur
baith jaao do pal saamne to hothon pe tumhaare gulaab dekhte hain

hum aashiyaan banaate hain apnaa tumhaare saath roz, aur
usi me apnaa khushiyon ka sansaar, aur zindagi lajawaab dekhte hain

Tuesday, January 8, 2013

Aajaao naa


in sulagte saanson ki garmi ko tum yun badhaao naa
aajaao naa, in saanson ki garmi ko kam kar jaao naa

chhuu lo mere hothon ko apne hothon se fir ek baar
nashile hothon se apne mujhe madhosh kar jaao naa

kholdo zulfon ko apne mere chechre pe, hum kho jaaye
apne zulfon ke saaye me aaj humein gum kar jaao naa

kehdo firse mere kaano me aake dheere se wahi baat firse
keh ke wo baat is deewaane ko aur deewaanaa kar jaao naa

yun duur duur rehne ki aadat tumhaari achchi nahi sanam
aao naa, aajaao naa, aake mere seene se tum lag jaao naa

kabse pukaar rahaa hoon tumhaaraa naam, kahaan ho tum
aao naa, aajaao naa, aake fir se tum meri ban jaao naa
Tum kab samajh paaoge


ehsaason ke sailaab ko tum kaise rok paaoge
naa ab tak samjhe ho, naa ab samajh paaoge

khud hi tutoge, kitni baar dil se tum kheloge
dekhoge tut_te khudko, aur khud hi muskuraaoge

zindagi jhoot nahi hai, yeh to ek sachchaai hai
jaane kab tum is zindagi ke sach ko jaan paaoge

kehnaa nahi chaahte magar keh diyaa ki jee lenge
jaane kab dil me chhipe dard ko tum dekh paaoge

mohabbat me koshish nahi karni padti ye jaan lo
aur kab tak tum bas koshish hi karte reh jaaoge

dil se bulaake dekhnaa kabhi, hum tumhaare hain
dil ki har aawaaz pe humein apne kareeb paaoge
Main chal rahaa hoon


unhi raasto me shayaad kahin
main bhi hoon shaayad
tumhe dhundtaa huwaa
tumhe mehsoos kartaa huwaa
badh rahaa hoon
hawaa ke saath saath
ghataa ke saath saath
chal rahaa hoon
main bhi chal rahaa hoon

dekhnaa kahin kisi mod pe
main mil jaaungaa tumhe
thaam lenaa meraa haath
aur ho jaanaa mere tum
sadaa ke liye, ho jaanaa mere
fir bas hum honge 
aur bas hamaaraa saath hogaa

naa kahin samaaj kaa bandhan hogaa
naa kisi rishte kaa bandhan hoga
honge bas hum, aur hoge tum
aur hamaaraa apnaapan hogaa
duur, bahut duur is duniyaa se
hum dono kahin chhip jaayenge
hogaa khwaabon kaa mahal apnaa
chaahaton kaa aashiyaanaa banaayenge

chalte raho, tum chalte raho
naa socho kuch bhi tum ab
bas apne kadam ko badhne do
usi raah pe, jaahaan main hoon
haan kuch hi palon ke faalse me
main hoon...
tumhaaraa intezaar karte huye
baahen failaaye, main khadaa hoon
badhte raho, tum chalte raho....
main bhi chal rahaa hoon....

Monday, January 7, 2013

Gawaahi


chaadar ki silwatein mere karwaton ki gawaahi denge
bheege huye takiye mere aansuon ki gawaahi denge

tadapte rahe hain hum bhi saari raat tumhe yaad karke
mere kamre ki deewaarein mere dard ki gawaahi denge

Judaai


tumhaare jaane se kyaa khoyaa hai maine, kyaa paayaa hai
isi soch me main har subah, har shaam guzaar detaa hoon

tadaptaa hoon, khoyaa saa rehtaa hoon tumhaari yaad mein
jaam ko hothon se lagaa ke, har dard ko bhulaa detaa hoon

ek waqt thaa tumhaari tasveer mujhe dekh muskuraati thi
ab, ek aisaa waqt hai main akele hi muskuraa letaa hoon

main likhtaa hoon nagmein ghum ke, dard-e-judaai ke, aur
unhi geeton ko mehfilon mein yaaron ko sunaa detaa hoon 

main tumhaari yaad me doobke khud ko hi bhulaa detaa hoon
tumhaari tasveer ko zindaa samajh seene se lagaa letaa hoon
Yaadein aag lagaate hain


in sard raaton mein, bas tumhaari yaadein hain
ab bhi aake humein tanhaai me gudgudaate hain

chhed jaate hain humein, bahut tadpaatein hain
tanhaa raaton ki tadap ko ye aur badhaate hain

mehsoos karte hain tum ab bhi yahin aas paas ho 
sard raaton mein tumhaari yaadein aag lagaate hain

raat tumhaare zulfon ki mehek ab bhi aati hai
aur hum, aaj bhi usi mehek se mehek jaate hain

chhipaa lete hain har dard ko dil ki tijori me
hum khush hain, sabhi ko bas yahi bataate hain

hum mohabbat kaa saath is tarhaa nibhaate hain
chhipaake aansuon ko hum sadaa muskuraate hain

Sunday, January 6, 2013

Taarif tumhaari

kyaa kahun tumhaari taarif me, kyaa cheez ho tum
chhoo lo kaante ko tum to wo bhi gulaab ban jaaye

dekhun tumhe to nashaa chadhtaa hai dheere dheere
chhoo lo tum paani ko to wo bhi sharaab ban jaaye

shabnam ki boondein sajti hain tumhaare hothon pe
dekh ke un boondon ko saadhu bhi kharaab ban jaaye

khol do apni ghani zulfon ko to ho jaaye barsaat
ho itnaa paani ki, sukhe me bhi sailaab ban jaaye

chaand se haseen koi nahi, raat usi se roshan hai
tum nikal aao raat me to jaise aaftaab ban jaaye

tum hi kaho kahaan se shuru karun, kahaan pe khatam
karne lagun taarif tumhaari to behisaab ban jaaye

likhne baith jaaun to kuch bhi likh paataa nahi main
dekh lun tumhe agar to ghazal koi lajawaab ban jaaye

Hum bhoolen nahi hain

hum bhoolen nahi hain waadaa, naa tumhaaraa saath bhoolen hain
liyaa thaa kabhi apne haathon me, hum naa wo haath bhoolen hain

tumhaare khayaalon me khoye rehte hain, tumhi ko yaad karte hain
tumse judaa hain hum to kyaa, tumhaari naa koi baat bhoolen hain

us barsaat ki raat ko, jab dar ke mere seene se lag gayi thi tum
hum naa to wo barsaat bhoolen hai, naa hi wo raat bhoolen hain

dekha thaa humne bhi jab tum hamare liye wo laal gulaab laaye the
hum naa to wo gulaab bhoolen hain, naa wo mulaaquaat bhoolen hain

aaj bhi intezaar me hain ki wo gulaab tum humein doge zarur
naa hi hum tumko bhoolen hain, naa tumhaaraa saath bhoolen hain

Friday, January 4, 2013

Bataao to jaane


rehte  ho duur  duur mujhse, kabhi mere paas aao to jaane
kehte  ho mujhe  mohabbat, kabhi seene se lagaao to jaane

aasaan nahi  hai  mohabbat jaanaa, aag ka dariyaa hai yeh
apni mohabbat ke liye tum  sholon  se guzar jaao to jaane

bheegi barsaaton me tum bheeg lete ho saheliyon  ke sangh
kabhi paas aake meri mohabbat me tum  bheeg jaao to jaane

seene se lagaa ke tumhe, hothon ko tumhaare chhoo lu main
baahon me aake mere kabhi tum tut_ke bikhar jaao to jaane

karte ho mohabbat humse agar tum, khul ke bataao to jaane
ban jaao meri aur mohabbat ki hadd se guzar jaao to jaane
Hum bhi pyaar karte the

ishq naa karnaa pyaare, ishq dagaa deti hai
rulaati hai bahut aur dil ko sazaa deti hai

chaar pal ki shaam hai fir andheri raat hai
samajhte hain log ye ki ishq mazaa deti hai
..................

aisaa ek waqt thaa jab hum kisi pe marte the
bhulaa ke apne aap ko hum bhi pyaar karte the

aaine ke saamne hum khud ko rakhaa karte the
dekhte the khud ko aur khud hi hasaa karte the

sundar si ek ladki thi, jisse roz baat karte the
phone ko seene se lagaake pyaar kiyaa karte the

milne ko tadapte the, dekhne ko taraste the
ek aisi ladki thi jispe jaanisaar karte the

tohfe me usse humne haath uskaa maangaa thaa
kyaa karte, hum pyaar usse beshumaar karte the

us din ye jaana humne, apnaa pyaar ek tarfa thaa
use humse pyaar nahi, hum jisse pyaar karte the

dil meraa paagal thaa jo usse pyaar kar baithaa
usne humein maar diyaa, hum jis par marte the

Thursday, January 3, 2013

Tere naam likhtaa hoon


main dil se nikle har ek geet pe bas teraa naam likhtaa hoon
teri aankhon ko samunadar, teri zulfon ko shaam likhtaa hoon

main khud ko zameen likhta hoon, tujh ko aasmaan likhtaa hoon
tere gulaabi hothon ko dekhtaa hoon, unhi ko jaam likhtaa hoon
Main duwaa detaa hoon


likhtaa hoon, fir likhke phaad detaa hoon
kuch is tarhaa main din guzaar detaa hoon

tutaa agar kuch thaa to aetbaar meraa thaa
ab kisi ko detaa hoon to aetbaar detaa hoon

pyaar hi wo cheez thi jo thi nahi meri kabhi
footi kismat ko apne dosh baar baar detaa hoon

doobaa rehtaa hoon tumhaare nashe mein main
sharaab se main us nashe ko utaar detaa hoon

tumhaare ghum me hi main peetaa hoon, magar
nashe me bhi tumhe duwaa hazaar detaa hoon