Friday, July 30, 2010

Teri aadat buri hai sanam

tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

dur ho hum to humein kareeb bulaati hai tu,
aur paas ho to na milne ke bahane banaati hai tu,
din to guzar jaate hain tanhaai mein,
par raaton ko humein jagaati hai tu,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

sach to ye hai humein chaahti hai tu,
par poochhe jo hum to inkaar karti hai tu,
jaan ke sab anjaan ban jaati hai tu,
aur mann hi mann fir muskuraati hai tu,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

kab tak aankh michouni yun khelenge hum,
ab sahi nahi jaati ye doori sanam,
thaam ke mera haath banaale apna mujhe,
chaahte hain hum bas ek ho jaaye sanam,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

ab to humein tu yun na sataa,
lag jaa gale mere aake sanam,
kar chuki hai tu nakhre bahut,
ab dil na jalaa mere bhole sanam,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam...

2 comments:

  1. me hun aur meri tanhai he.
    kudhta hua dil aur pyar ki ruswai he.
    maangi thi khuda se uski muhabt ki raaten,
    hasil hua andhera aur saathi ki bewafai he.
    ghut ghut k ji rehe hen ashko ko pi rahe hen ,
    yahan dil ki tadap he aur kahin gunjti shehnai he.
    me hun aur meri tanhai he.....
    me hun aur meri tanhai he.....

    ReplyDelete