Friday, July 30, 2010

Milan se pehle ki betaabi

kuch pal ki mulaqaat ke liye ghanto ka safar kar jaate the,
ek jhalak apni dikhaane ko tum bahut humein tadpaate the,

ghanto ke us lambe safar me ek pal bhi hum na soya karte the,
miloge tum humein to kaisi dikhogi yahi hum socha karte the,

apne pasand ki kuch cheezen hum tumhaare liye le jaaya karte the,
tumhaare pasand ki kuch cheezen bhi tum humse maanga karte the,

kuch ghanto ki wo duri bhi tab humse na guzaare jaate the,
poori raat hum apne dil ko shaant rehne ko samjhaate the,

subah ki pehli kiran ke saath hi hum tumko phone lagaate the,
tumse bahut kam dur hain hum ab tumko bas yahi bataate the,

kya main pehnu, kaise main aaun tum humse ye poochha karte the,
tumhaari un baaton ko sunke o jaana hum bas aahen bharte the...

No comments:

Post a Comment