Monday, July 19, 2010


Aap jaisa

kehte hain mere dost ab ye, tu raha nahi pehle jaisa,
kaise unko sach me bolun, mil gaya hai koi aap jaisa,

har haqeeqat aap hi ho, khwaabon me bhi aap hi ho,
dost na samajh sakenge ki kyun hai mera haal aisa,

unse bas main itna kehta, kuch nahi hai baat yaaron,
kyun nahi samajhte ho tum, mai hoon ab bhi pehle jaisa,

baat na chhipi thi unse aur na chhipa paaye hum,
kehte hain dost mere ki ho gaya hai kuch ishq jaisa,

hosh ek pal ka nahi mujhe, aur sabra ek pal ka nahi,
aankhen kholu ya ho band har sama dikhe aap jaisa,

saanson me bhi aap hi ho, dhadkano me bhi aap hi ho,
subah se lekar shaam tak ab har peher me aap hi ho,

din bhi lagta aap jaisa , raat bhi hai aap jaisa,
aasma kya zameen kya hai ye jahaan lage hai aap jaisa,

sach kahun to, ab to main bhi main nahi hoon,
haal kuch aisa hai jaana sab lage aap jaisa...

No comments:

Post a Comment