Thursday, July 22, 2010

Aakhri paighaam

kahenge to hasoge, ye dard bhi ajeeb cheez hoti hai,
kahin pe aag lagti hai aur kahin se dhuan uthta hai,

afsaana bayaan kiya humne apne dard ka tumse aaj,
lag raha hai ki dard humein nahi wo to tumko hai,

daga humne diya to tumne kaunsa saath nibhaaya hai,
tumne bhi to hamare zakhmo pe khoob namak lagaya hai,

mohabbat tumne hi nahi humne bhi kiya tha tumse kabhi,
usi ka asar hai ki aaj bas aansoo hi hamara saathi hai,

kyun hum bewajah lad rahe hain jab kuch raha hi nahi,
kal tak jo hamari mohabbat thi aaj bas ek kahani hai,

jao tum apne raaste jaake apne liye khushiyaan dhund lo,
karlo roshan apni duniya, apna saathi to bas andhera hai,

zindagi ke is safar me kabhi bhoole se agar hum dikh jaayen,
keh dena "nahi jaanti main ise, ye mere liye koi ajnabi hai",

hum hi hat jayenge tumhare raste se alag apna rasta badalke,
samajh lenge us mulaqaat ko wo sach nahi koi jhoota sapna hai...

2 comments:

  1. Wah lagta hai bahut gusse mein likhe ho Kapil ji.heart touching and mindblowing creation.excellent

    ReplyDelete