Monday, July 19, 2010


Saath agar tera mile to

tujhe chot pahuchne se mujhe dard hota hai,
main kaise tujhe apne hisse ke dard de du,

tere har aansoo mitaake bas main muskaan maangu,
kaise apne aansuon se main tera chehra bhigo du,

raat kaali hai andheri uspe ghum ka saaya ghana hai,
pyaar ka deepak jalake main teri raate roshan bana du,

har taraf veerana hai ab, zindagi khaamosh si hai,
teri khaatir main o jaanam khaamoshi ko bhi mita du,

dil me tere nafratein hai, chahatein bhi kam nahi hai,
apni chahat se O jana saari nafraton ko main mita du,

agar yakeen na ho tujhe to aazma ke dekh le tu,
maang le tu jaan meri, tere liye khud ko mita du,

tuta bhi kai baar hoon main, judne ki koshish bhi ki hai,
saath agar tera mile to, saare bandhano ko mita du,

maang loon tujhi se tujhi ko, baahon me bhar loon tujhe main,
mohabbat ka tu iqraar kar le, main saari dooriyon ko mita du...

1 comment:

  1. Apne ehsaaso ko bahut khoobsurti se byaa karte hai aap Kapil ji,dil ko chu jaati hai aapke poems.great poet.madhu

    ReplyDelete