Friday, July 30, 2010

Teri aadat buri hai sanam

tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

dur ho hum to humein kareeb bulaati hai tu,
aur paas ho to na milne ke bahane banaati hai tu,
din to guzar jaate hain tanhaai mein,
par raaton ko humein jagaati hai tu,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

sach to ye hai humein chaahti hai tu,
par poochhe jo hum to inkaar karti hai tu,
jaan ke sab anjaan ban jaati hai tu,
aur mann hi mann fir muskuraati hai tu,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

kab tak aankh michouni yun khelenge hum,
ab sahi nahi jaati ye doori sanam,
thaam ke mera haath banaale apna mujhe,
chaahte hain hum bas ek ho jaaye sanam,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

ab to humein tu yun na sataa,
lag jaa gale mere aake sanam,
kar chuki hai tu nakhre bahut,
ab dil na jalaa mere bhole sanam,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam...

Milan se pehle ki betaabi

kuch pal ki mulaqaat ke liye ghanto ka safar kar jaate the,
ek jhalak apni dikhaane ko tum bahut humein tadpaate the,

ghanto ke us lambe safar me ek pal bhi hum na soya karte the,
miloge tum humein to kaisi dikhogi yahi hum socha karte the,

apne pasand ki kuch cheezen hum tumhaare liye le jaaya karte the,
tumhaare pasand ki kuch cheezen bhi tum humse maanga karte the,

kuch ghanto ki wo duri bhi tab humse na guzaare jaate the,
poori raat hum apne dil ko shaant rehne ko samjhaate the,

subah ki pehli kiran ke saath hi hum tumko phone lagaate the,
tumse bahut kam dur hain hum ab tumko bas yahi bataate the,

kya main pehnu, kaise main aaun tum humse ye poochha karte the,
tumhaari un baaton ko sunke o jaana hum bas aahen bharte the...

Thursday, July 29, 2010


Apni si lagti hai

kuch yun asar hua hai tere aajane se,
ab to har cheez khoobsurat lagti hai,

kal tak ye duniya begaani si lagti thi,
tere aane se ab ye apni si lagti hai,

maine teri koi tasveer nahi banaayi hai,
tu jo hai uski parchhaai hi ban aayi hai,

ye jo teri aankhen jhukaane ki aadat hai,
mujhe wo aadat bahut khoobsurat lagti hai,

ye sach hai ki main tadpa hoon tujhe paane ko,
wo tadap bhi mujhe bahut khoob lagti hai,

kaise shukriyaa adaa karun main parvardigar ka,
tu mujhe bin maange poori hui muraad lagti hai....

Wednesday, July 28, 2010


Mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai

mujhe kisi umang ki nahi, mujhe to teri jarurat hai,
mere ruh ko sukoon ki nahi, usey to teri jarurat hai,
mere aankhon ko neend ki nahi, tera tasavvur jaruri hai,
mere dil ko chain ki nahi, tujh sang dhadakne ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

raaton ko hum jaag bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
din ki tadap hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
duwaon me bas tu hi hogi, jab tu mere saath me hogi,
har tofaan ko hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

maut se bhi humein dar nahi lagta, bas tere saath ki jarurat hai,
zindagi se kabhi chahat hi na ki thi, bas tere saath ki jarurat hai,
tere har dard ko main has ke seh lunga, bas tera saath jaruri hai,
khushiyon ko mai dhund hi lunga, bas tere saath ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

tere pyaar me zeher pi lunga, bas tera saath jaruri hai,
har badnaami jhel bhi lunga, bas tera saath jaruri hai,
apne pyaar se tujhe jeet lunga, bas tera sath jaruri hai,
tujhe bewafaa hone nahi dunga, bas tera saath jaruri hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

ashkon ko behne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
ghum bhi tere rehne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
muskaan hothon pe le hi aunga, bas mujhe teri jarurat hai,
khudko maarke bhi ji lunga, bas mujhe teri jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai....

Tum bas haste hi rehna

maani ho aaj to fir pichhe nahi hatna,
bani ho meri , meri banke hi rehna,

yakeen nahi hai tumhe mere ishq par,
aage se tum kabhi ye nahi kehna,

duniya me khushiyan to bahut hain,
ab tum koi dard nahi sehna,

saare ghamon ko dil se mitake,
har pal tum bas haste hi rehna...

Dar lagta hai

kuch pal ke milan ke baad barso ki judai se dar lagta hai,
kuch pal ki tujhe khushiyaan deke dard dene se dar lagta hai,

tujhe meri baaton ki aadat na pad jaaye isiliye main chup rehta hoon,
tere har dard ko samajhta hoon main par tujhse kehne se dar lagta hai,

mere aansoo dekh kahin tu bhi na ro de isiliye main nahi rota hoon,
apne aansoo to main pi leta hoon par tere aansuon se dar lagta hai,

tu ne mujhe bas khushiyaan hi di hain, teri wajah se koi dard nahi hai,
kuch apni hi majbooriyaan hain jinhe zaahir karne se dar lagta hai,

khud se bhi jyaada chahta hoon main tujhe, tere liye main jaan bhi de dun,
main na rahun to kaun chahega tujhe itna yahi soch ke mujhe dar lagta hai...


Agar tum mil jao

shamaa ke sang jal jaana to parwaane ki mohabbat hai,
kaaton ke sang khilne ki to har gulaab ki aadat hai,

mere haathon ki lakeeren badal dun agar tum mujhe mil jao,
mere kismat ki rekha main badal dun agar tum mujhe mil jao,

tumse alag na zindagi main maangu, tum sang hi main mar jaun,
maut ko haske gale laga lu main, agar tum mujhe mil jao,

sukhe huye gulaabon ko main apne ishq se rang daalun,
unme bhi main khushboo bhar du agar tum mujhe mil jao,

tumhaare hothon ko fir se hasa dun, unpe muskaan le aaun,
apne sang tumhe hasna sikha dun agar tum mujhe mil jao,

mohabbat kya hai main tumko bata dun, agar tum mujhe mil jao,
zindagi ko bhi main jeena sikha dun, agar tum mujhe mil jao...

Har toofaan se hum guzar jaayenge

tumhaari parchhayi saath chhodegi to hum parchhayi ban jaayenge,
tumhaari muskaan tumse roothe kabhi to hum muskaan ban jaayenge,

bharosa ho agar apne chahat pe to waqt se bhi hum jeet jaayenge,
saath agar tumhaara mile to poori duniya se bhi hum lad jaayenge,

kismat me agar tum nahi ho to kismat ki rekha mita jaayenge,
tumhe apni kismat banaake hum tumhe apne ghar pe le aayenge,

bhagwaan ke ghar me der to hai, par kehte hain log ki andher nahi hai,
tumhaare zindagi me agar andhera ho to apne ishq se roshan kar jaayenge,

humdum hum banenge, humraaz banenge, humsafar tumhaare ban jaayenge,
kasam tumhaari khaate hain hum ki har toofaan se hum guzar jaayenge....


Tum sabse achchi lagti ho

kaise kahun tumse, kya main bataun, kyun tum achchi lagti ho,
kabhi sharmaati, kabhi muskuraati, tum sabse achchi lagti ho,

kabhi mujhe samjhaati ho aur kabhi khud naasamajh ban jaati ho,
jaane kya hai tum me wo khoobi ki tum mujhe apni jaisi lagti ho,

kabhi gusse se laal ho jaati, aur pal bhar me khud has deti ho,
tumhaari adaon ka gazab hai jaadu tum jaaduugarni lagti ho,

ek pal me tum maa ban jaati, pal bhar me bachchi ban jaati ho,
har gun ki tum malika ho mujhe tum bahut hi achchi lagti ho,

kabhi kabhi mujhe baatein tumhaari kuch deewaano si lagti hain,
maasoomiyat me doobke apne kabhi tum buddhu jaisi lagti ho,

kabhi kabhi tum paagal ban jaati aur mujhko hi paagal kehti ho,
tumhaare us paagalpan me bhi tum mujhe bahut hi achchi lagti ho,

kabhi kabhi mujhe poochhti ho tum ki kaisi mujhe tum lagti ho,
tumhaari kasam main khaake hoon kehta tum sabse achchi lagti ho,

tumse pyaari muskaan tumhaari, koi pari mujhe tum lagti ho,
saagar se gehri aankhen tumhaari, tum bahut hi pyaari lagti ho,

kaise tumhe main ye samjhaun, kyun tum achchi lagti ho,
kabhi sharmaati, kabhi muskuraati, tum sabse achchi lagti ho...
Ek tere aa jaane se

hone laga hai khudpe aetbaar sa ek tere aa jaane se,
chhaane laga hai kuch khumaar sa ek tere aa jaane se,

barso se banjar thi ye bhoomi, khila na ek phool kabhi,
aaj yahaan khili hain bahaarein ek tere aa jaane se,

barso se jo sukhe the baadal, aaj wo baadal baras rahe hain,
usi baarish se mere aansoo bhi dhul gaye ek tere aa jane se,

toofaan me tinko ki tarha bikhar gaya tha main bhi kabhi,
unhi tinko ko fir main jod rahaaa hoon ek tere aa jaane se,

har taraf khaamoshi thi yahaan, chidiyon ki bhi kuk nahi thi,
aaj shor ke saath naach rahe hain mor ek tere aa jaane se,

tanhaa tha main bheed me bhi, sangi na koi saathi tha,
mil gaya hai saara jahaan mujhe aaj ek tere aa jaane se,

dhadkano ko ye shikayat thi ki dhadak rahe the meri marzi bina,
dhadkane bhi meri aaj jhoom rahi hain ek tere aa jaane se,

saanson ko bhi shikayat thi ki unme koi mehek nahi thi,
saansen bhi aaj kuch mehek rahe hain ek tere a jaane se,

tere saath se badhke kuch nahi, isse jyada ab kya main kahun,
maine zindagi ki paribhaasha ko jaana ek tere aa jaane se,

kalam fir khud se chalne lagi hai ek tere aa jaane se,
aaj firse main likhne laga hoon ek tere aa jaane se...

Tuesday, July 27, 2010

Koshish karenge hum bhi jeene ki

wo beete huye lamhe jab tum bas hamaare the,
aur hum saari duniya bhulaake bas tumhaare the,

un yaadon ko seene se lagake jee lenge hum apni zindagi,
apne aansuon ko mitaa ke jee lenge hum apni zindagi,

samajh sakte hain hum bhi kya haal-e-dil hai tumhaara,
chaah ke bhi nahi thaam sakti ab tum haath hamaara,

ajeeb ye bandhan hain is jahaan ke, ajeeb dastoor hain,
yahi wajah hai ki itne kareeb hote huye bhi hum dur hain,

na to chaah ke tum meri ho sakti ho ab , na hum tumhaare,
bas ab to tumhaara saath na paake reh lenge yaadon ka sahaare,

yunhi kabhi socha na tha ki fir se mulakaat hogi tumse,
bas kuch hi duri pe hogi tum, aur baat tak na hogi tumse,

chalo achcha huwa jo tumhe unke saath dekh liya humne,
jo bachi kuch ummeeden thi wo bhi ab chhod hi humne,

karenge yahi duwa ki khush raho tum saath unka paake,
koshish karenga hum bhi jeene ki tumhaare yaadon ko bhulaake...
Mujhe tumhaari khushi pyaari hai

ise tum zeher keh rahi ho mere liye wo to amrit hai,
kaise kahun main tumse ki mujhe tumse kaisi preet hai,

saanse to chalti hain meri par unme khushboo tumhaari hai,
dil to mera hi hai par usme har ek dhadkan tumhaari hai,

main to ek zinda laash tha, ab tumne jeena sikhaya hai mujhe,
bhool chuka tha khushi ka matlab, tumne hasna sikhaya hai mujhe,

ye kaise mumkin hai ki main maanlu tum meri maut ho,
tumse mohabbat ki hai maine, tum to meri zindagi ho,

koi poochhe mujhse ki mujhe meri zindagi ya tumhaari khushi pyaari hai,
haske yahi kahunga main mujhe meri zindagi dene waale ki khushi pyaari hai...
Apna milan dur nahi

bahut kam bache hain din hamaare kareeb aane ke,
na karo tum aisi baatein humse haar jaane ki,

ye na socho ki hamaari baatein bas baatein hi hain,
poore karenge jo kasam khai hai humne saath nibhaane ki,

mumkin nahi hai ki hamaari amaanat humse koi le jaaye,
na karo aisi baatein hamare jeete ji hamaare mar jaane ki,

koshish zaraa kar ke dekho shayad maan jaaye tumhaari baat wo,
warne hum bhi himmat rakhte hain unke saamne tumhe utha le aane ki,

hum to bas isliye ruke hain ki sabki khushi se ho rishta apna,
sach kahun to warna koi wajah hi nahi thi haamare der lagaane ki...

Monday, July 26, 2010

Aaj ki mohabbat

bikti hai mohabbat bhi kaudiyon ke bhaaw hai,
ehsaas to mar chuke aur ishq bhi tamaasha hai...

Aaj fir ek baar mujhe tu mil gayi


aaj fir yunhi chalte chalte tujhse nazar mil gayi,
na chahte huye bhi meri raahon pe tu kyun mil gayi,

teri raah ko bhulaake main apni raah pe chal raha tha,
jaane kyun aaj fir meri raah teri raaahon se mil gayi,

bhool chuka tha mai tujhe, teri yaadon ko dil se mitaake,
par tu aaj phir ek jhalak dikha ke mujhko paagal kar gayi,

na to main tujhse nazrein mila paaya na hi nazrein churaa paya,
meri dushman nazrein khud se hi jaake teri nazron se mil gayi,

thi tu kisi aur ke sang khush, haathon me uska haath liye,
tabhi meri nazar tere maathe pe lagi sindoor pe pad gayi...
Tumhe yaad karta hoon

zindagi ki sooni raahon me main aaj bhi tumhaara intezaar karta hoon,
hothon se chahe kuch bhi kahun par dil se tumpe aetbaar karta hoon,

tumhaari judaaai ka dard hai jiske kaaran main shikayat karta hoon,
warna sach to ye hai ki har saans ke saath main tumhe yaad karta hoon...

Aaj tu mere sang nahi

mann hai aaj mohabbt pe likhun par meri mohabbat hi sang nahi,
jis kalam se main likha karta tha aaj wo kalam hi sang nahi,

andheri har subah se shaam hai, ab zindagi me koi rang nahi,
jab se tu gayi hai dur mujhse meri zindagi mere sang nahi,

bulandiyaan to kadam chum rahi hain par dil me hi umang nahi,
jiske liye kar raha tha sab kuch aaj wahi mere sang nahi,

sapno se to saath chhoot chuka hai aaj neend bhi sang nahi,
kehne ko to zinda hoon aaj par meri dhadkane bhi sang nahi,

tere rehte tu hi thi sab kuch aaj parchaayi bhi sang nahi,
meri muskaan main kahaan se lautaun koi kaaran hi sang nahi,

tere liye sab naate tode, aaj tera sang hi mere sang nahi,
tu hi bata aaj kaise likhun main jab mera dil mere sang nahi...

Friday, July 23, 2010

Main tumhaare paas hi hoon

tumse dur hoke bhi tumhse dur nahi hoon,
pukarke dekho main tumhare paas hi hoon,
tumse alag hoke bas tumhaara intzaar hi hai,
raahon me aankhen bichhaye main aaj bhi hoon...
Roothe nahi hain hum tumse

kaise batayen ki tumhaare aansu ab hamare aankhon se behte hain,
lo aaj hum bhari mehfil me tumse apne dil ki baat kehte hain,

roothe nahi hain hum tumse, ye to bas tumhaari khwaish thi,
tumhaari di hui kasam ke kaaran hi hum tumse dur rehte hain,

dar tha tumhe ki kahin badnaam na ho jao tum hamare pyaar me,
tumhaare naam ko badnaam na karne ke liye hum dur rehte hain,

chahte ho ki hum aake tumhaare veeraane me shaama jala jaayen,
kahin mere chahat me tum jal na jao isliye hum dur rehte hain,

aaj kha rahe ho kasam na karoge tum koi galti fir kabhi,
par hum to tumhaari sab galtiyon ko nadaniyaan kehte hain,

tumhaari muskaan ke liye hi to hum tumse dur hain o jaana,
anjaam-e-mohabbat pata hai, tabhi hum tumse dur rehte hain....
Meri Zindagi ho tum

milan dur nahi ab, yun na haar maano tum,
dhadkano ko apne thoda aur sambhaalo tum,
sanson ko apne yun na chhod jaane do saath,
meri saanse ho tum, meri zindagi ho tum...
Ye bhi koi doori hai kya

suraj kya, chand taaren kya,
dharti hai kya aur ambar kya,
tumse dur main hoon hi nahi,
jhoot hai kya aur haqiqat kya,

tum me hoon main, aur mujhme ho tum,
is baat ko bhi to jaante ho tum,
jism hain do par ek jaan hain hum,
tum hi kaho ye bhi koi doori hai kya ...
Tu har jagah hai

in hawaon me aisi mehek si hai ki jaise tere badan ko chhuke aayi ho,
suraj ki laali bhi kuch aisi hai ki jaise tere hothon ko chhuke aayi ho,

in fizaon me aaj bechaini si hai ki maano teri wafa ka sandesha leke aayi ho,
in phoolon me kuch yun narmi si hai ki jaise tere baagon se hoke wo aayi ho...

Thursday, July 22, 2010

Aakhri paighaam

kahenge to hasoge, ye dard bhi ajeeb cheez hoti hai,
kahin pe aag lagti hai aur kahin se dhuan uthta hai,

afsaana bayaan kiya humne apne dard ka tumse aaj,
lag raha hai ki dard humein nahi wo to tumko hai,

daga humne diya to tumne kaunsa saath nibhaaya hai,
tumne bhi to hamare zakhmo pe khoob namak lagaya hai,

mohabbat tumne hi nahi humne bhi kiya tha tumse kabhi,
usi ka asar hai ki aaj bas aansoo hi hamara saathi hai,

kyun hum bewajah lad rahe hain jab kuch raha hi nahi,
kal tak jo hamari mohabbat thi aaj bas ek kahani hai,

jao tum apne raaste jaake apne liye khushiyaan dhund lo,
karlo roshan apni duniya, apna saathi to bas andhera hai,

zindagi ke is safar me kabhi bhoole se agar hum dikh jaayen,
keh dena "nahi jaanti main ise, ye mere liye koi ajnabi hai",

hum hi hat jayenge tumhare raste se alag apna rasta badalke,
samajh lenge us mulaqaat ko wo sach nahi koi jhoota sapna hai...

Kyun

kyun palbhar ki apne khushi ke liye log dusron ka dil tod dete hain,
kyun mann bhar jaane se log apne saaye tak ka saath chhod dete hain,

kya mohabbat isi ka naam hai ki jab tak saath hon tab tak hi rahe,
kyun ek duje se dur hone pe log mohabbat kya hai bhool jaate hain,

khaate hain dheron kasme is tarha jaise koi swadisht vyanjan ho,
kyun kuch waqt ke saath ke baad log un kasmon ko bhool jaate hain,

saath ho to bas yahi kehte hain hum na mil paaye to tumhara kya hoga,
kyun saath chhoot jaane pe log bas apne hi zakham ko gehra kehte hain,

mohabbat ho jaane se kaise har kisi ke hothon pe geet sajne lagte hain,
kyun judai me koi ghazal na banke bas bikhre huye shabd reh jaate hain,

mohabbat me mehboob se bas yahi kehte hai ki tumse achcha koi nahi,
kyun saath chhoot jaane pe wahi mehboob sabse bure ban jaate hain...

Wednesday, July 21, 2010

Mazboori meri

naa inkaar kar paata hoon, na iqraar kar paata hoon,
chahke bhi na main apne chahat ka izhaar kar paata hoon,
kaise kahun tujhse o jaana kya hai mazboori ye meri,
hote huye bhi tera main tera nahi ho paata hoon.....

Tuesday, July 20, 2010



Hamare dard ko samajhna asaan nahi

yeh sach nahi ki kisi aur ke liye humne tumhe chhoda hai,
wajah kuch aur hi thi jis kaaran humne ye rishta toda hai,
tanhaayi to tumhare rehte bhi thi aur tumhare bina bhi hai,
tumhaare bina na kisi se dil joda tha na abhi tak joda hai,

wo lamha yaad ajata hai to dard se tadap uthta hai ye dil,
jab humne tumhe dekha tha kisi gair ki baahon me us din,
kabhi socha bhi hai tumne kya haal huwa hoga us pal hamara,
meri jaan hi meri jaan ki dushman ban gayi thi jis din,

aadat buri hai tumhari ki pehle khud hi chot pahuchati ho,
fir usi chot pe tum apni maasumiyat ki malham lagati ho,
jo baat zaraa si hai tumhaare liye wo mere liye nahi hai,
kyun meri mohabbat ko tum bachpan ka koi khel samajhti ho,

kehti ho ki mere yaadon me doobke raaton ko neend nahi aati,
tumhare baare me soch soch kar main ek pal so hi nahi paati,
khush ho tum apne sansar me fir ye pyaar ka dikhaawa kaisa,
kyun nahi kehti sach ki ab tumhe hamari yaad hi nahi aati,

tumpe bharosa kya karein hum ab to khud pe aetbaar raha nahi,
jise chaaha tha kabhi jaan se badhkar wo bhi ab apna nahi,
kehna to bada asaan hai ki tumne humein bewafa kyun kaha,
tumhaare beraham dil ke liye hamare dard ko samajhna asaan nahi...



Monday, July 19, 2010


Pyaar ka izhaar

mujhe aaj bhi yaad hai barsat ki wo shaam,
jab chali thi tum mere in haathon ko thaam,
bheege the hum us barsaat me is tarha,
bheege the kapde aur dhal rahi thi shaam,

badal ki us garaz ko ab bhi main bhoola nahi,
jiske awaaz se darke mere baahon me thi samayi,
baahon me bharke tumhe seene se lagaya tha,
nazron se nazar mili to tum thi tab sharmaayi,

wo bargad ka ped aur wo hamari tanhaayi,
rok na sake khud ko jab jhadi pyaar ki aayi,
saason se sanse mili aur ek ho gaye the hum,
bhool ke sab bandhano ko tum me sama gaye the hum,

socha na tha is tarha hoga haal-e-dil mera bayan,
wo baarish ki shaam hogi aur tum hogi baahon me mere,
sach me wo sham tha hi aisa ki ho gaye the tum mere,
tod ke uljhano ko saare baahon me the tum mere....



Haal-e-dil

saheliyon sang meri gali se nikalna,
unki baaton pe tera wo khilkhilana,
meri nazron se teri nazar mile to,
teri nazron ka wo sharma ke jhukaana,

fir tera wo mud mud ke mujhe dekhna,
isharon me hi mujhse tera kuch kehna,
main nasamajh main samajh hi na paaya,
teri aankhon ka tha wo jo bhi kehna,

toofan mere dil me mohabbat ka bahut tha,
par tujhse kehne ka himmat mujhe kam tha,
tukur tukur main tujhe bas dekha hi karta,
par sach tujhe kehne se main tha darta,

ab bhi yahi bas sochta hoon main ki,
milne ka tujhse mil jaaye koi bahana,
bas kuch pal tere sang reh paun to,
kehdu tujhe jo bhi dil chahe kehna...

Pyaar ka mausam hai aaya

tod do bandhano ko saare,
bediyon ko khol do tum,
rasme saari todake aaj,
baahein faila lo zaraa tum,

pyaar me kho ke mere tum,
jhoom lo ban morni tum,
ye ghatayein baras jaayein,
bheeg lo unme zaraa tum,

adhkhule hontho se apne,
mere hothon ko bheego do,
apni saanso ke mehek se,
meri saanso ko mehka do,

tod ke saari deewarein,
aaj ban jao mere tum,
khud ko bhi tum bhul jaao,
baahon me aake mere tum,

pyaar ka mausam hai aaya,
saath me khushiyaan wo laya,
ab zaraa tum muskuralo,
zindagi ji lo zaraa tum...
Mano wo mere gali se guzri ho

aaj kuch hawaon me mehek si aisi hai,
ki maano wo mere gali se hoke guzri ho,

phoolon ka rang bhi kuch alag sa hai,
ki maano uski aanchal inhe chhoo ke nikli ho...

Mujhko tum apna banalo

ab sahi jaaye na doori,
aao baahon me tum meri,
julfen apni khol do tum,
mujhko unme tum chhupa lo,

raah takte hain tumhaare,
saath kab hoge hamaare,
seene se lag ke haamare,
meri dhadkano ko badha do,

jheel si aankhen tumhaari,
honth madira ke hain pyaale,
bas yahi kehta hoon tumse,
mujhko mujhse tum chula lo,

tumhaare maathe ki wo bindi,
chain loote mere dil ka,
ab na tumse qaraar maangu,
aake mujhe be-qaraar kar do,

hothon ki tapish se apne,
mere hothon ko jala do,
mere baahon me tum aake,
mujhko tum apna bana lo....

Ek Sapna

haal kuch aisa hai apna,
lagta hai jaisa koi sapna,
tha main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna,

saath tera paake o jaana,
khwaab poore ho gaye hain,
har ghadi bas tera chehra,
bas wahi laage hai apna,

dhup me bhi tu hi tu hai.
os ki boondon me tu hai,
tu hai barkha, tu hai baadal,
tu hi sach hai tu hi sapna,

aaine me khud ko dekhun,
sochta hoon lagta hoon kaisa,
khwaab me socha na aisa,
ki khud ko bhi chaunga itna,

teri khaatir khud ko dekhun,
khud ko behtar karna chahun,
tha main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna...


Saath agar tera mile to

tujhe chot pahuchne se mujhe dard hota hai,
main kaise tujhe apne hisse ke dard de du,

tere har aansoo mitaake bas main muskaan maangu,
kaise apne aansuon se main tera chehra bhigo du,

raat kaali hai andheri uspe ghum ka saaya ghana hai,
pyaar ka deepak jalake main teri raate roshan bana du,

har taraf veerana hai ab, zindagi khaamosh si hai,
teri khaatir main o jaanam khaamoshi ko bhi mita du,

dil me tere nafratein hai, chahatein bhi kam nahi hai,
apni chahat se O jana saari nafraton ko main mita du,

agar yakeen na ho tujhe to aazma ke dekh le tu,
maang le tu jaan meri, tere liye khud ko mita du,

tuta bhi kai baar hoon main, judne ki koshish bhi ki hai,
saath agar tera mile to, saare bandhano ko mita du,

maang loon tujhi se tujhi ko, baahon me bhar loon tujhe main,
mohabbat ka tu iqraar kar le, main saari dooriyon ko mita du...

Aap jaisa

kehte hain mere dost ab ye, tu raha nahi pehle jaisa,
kaise unko sach me bolun, mil gaya hai koi aap jaisa,

har haqeeqat aap hi ho, khwaabon me bhi aap hi ho,
dost na samajh sakenge ki kyun hai mera haal aisa,

unse bas main itna kehta, kuch nahi hai baat yaaron,
kyun nahi samajhte ho tum, mai hoon ab bhi pehle jaisa,

baat na chhipi thi unse aur na chhipa paaye hum,
kehte hain dost mere ki ho gaya hai kuch ishq jaisa,

hosh ek pal ka nahi mujhe, aur sabra ek pal ka nahi,
aankhen kholu ya ho band har sama dikhe aap jaisa,

saanson me bhi aap hi ho, dhadkano me bhi aap hi ho,
subah se lekar shaam tak ab har peher me aap hi ho,

din bhi lagta aap jaisa , raat bhi hai aap jaisa,
aasma kya zameen kya hai ye jahaan lage hai aap jaisa,

sach kahun to, ab to main bhi main nahi hoon,
haal kuch aisa hai jaana sab lage aap jaisa...

Sunday, July 18, 2010

Mehboob ka bas chalta ho jaise

wo saanse jo kal tak hamari thi,
aaj unpe tumhaara hukum chalta ho jaise,

ye aankhen jo apni hi marzi se band hoti thi,
inpe tumhaara qaboo ho gaya ho jaise,

aisa kyu ho jata hai mohabbat karne se,
ki har dhadkan pe mebhoob ka bas chalta ho jaise...

Kuch asar hai aisa

kuch kuch haal hamara bhi hai tumhaare jaisa,
jab se mohabbat hui hai jaane ye asar hai kaisa,

qaboo hamare dil pe bhi nahi raha ab to hamara,
ab to har mausam lagta hai humein sawan jaisa,

suraj ki pehli kiran jo chhoo ke aati hai tumhe,
mere liye wo laal rang bhi hai indradhanush jaisa,

har rang tumse hai, har khushi bhi tumhi se hai,
jab se mili ho humse tum hamara haal hai kuch aisa...

Friday, July 16, 2010


Khaamoshi bhi bahut kuch keh jaati hai

ye nazar hi to hai jo be-imaan ho jaati hai,
jab kisi se kisi ko mohabbat ho jaati hai,

lab khamosh rehte hain khauff-e-inkaar se,
par ishaaron se wo sab sach keh jaati hai,

haal kuch aisa hai aaj hamaari dhadkan ka,
na kuch keh paati hai na chup reh paati hai,

haale-e-dil aapka bhi kuch hamare jaisa hi hai,
kuch aise shabd hain jo hothon pe aati jaati hai,

nazrein to aapki bhi kuch kam nahi hain yaar,
aapki khaamoshi bhi bahut kuch keh jaati hai...
Rishtey

kuch rishte kuch naate hote hain kuch aise,
ki maano na milne ke liye wo bane ho jaise,
mile the bichhadne ke liye hi hum shayad,
kya wajah hai uski hum aapko batayein kaise..

Izhaar-e-Mohabbat

izhaar-e-mohabbat ko kar chuke hum kabse,
aapse hamari yeh nazar mili hai jabse,

kuch baatein hothon se bayan nahi karte,
chaha hai aapko jahaan me badhke sabse,

khwaabon me bhi tab se bas aap hi ho,
dil hi dil chaha hai humne apko jabse,

milan ki wo ghadi ab to kareeb hi hai,
le jayenge tab churake hum apko sabse,

lo aaj ye sach hum kehte hain aapse,
ki aapko chahte hain hum kai barso se....
Aarzoo dil ki

kuch tumhaari mohabbat ka asar yun humpe bhi hai,
betabi wahan hai to kuch bekarari yahaan bhi hai,

sambhala tha arse se dil ko kisi khaas ke liye,
talash thi jis dil ki wo shayad tumhaara hi hai,

tasveer tumhaari is dil me bana to rakhi hai humne,
use chahat se rangne ki tamanna kuch hamari bhi hai,

fizaaon me mohabbat ki mehek kuch is tarha si hai,
ki shama pe mar mitne ko tayyar ye parwana bhi hai,

tum aajao ki ab nahi sahi jati ye doori aur humse,
tumhe baahon me bharne ki tamanna hamari bhi hai,

tadap rahe hain tumhe paane ke liye hum barso se,
tumhe apna banane ki aarzoo dil me hamare bhi hai...
Kismat

tere saanson se bandhi mere saanso ki dor hai,
meri aaankhen har pal tere raahon ki or hai,
doori ka dard to mujhe bhi hai meri jaanam,
par shayad kismat ko manzoor hi kuch aur hai...

Wednesday, July 14, 2010


Aadat to tumhaari bhi hai humein tadpaane ki

aadat hai us bhagwaan ki humein sataane ki,
khushiyon dene se pehle humein rulaane ki,

ghadi ab ye hamaari bhi aazmaish ki hi hai,
ye hasrat hamaari hai tumhe jald apnaane ki,

bas intzaar hai ki ye ghadiya khatm ho jaaye,
wo lamha kareeb aajaye tumhe gale lagaane ki,

ab aur saha nahi jaata ye doori mohabbat me,
mar na jaayen hum intzaar me tumhaare aane ki,

wo to bhagwaan hai usse hum bhala kya kahein,
aadat to tumhaari bhi hai humein tadpaane ki....


Ek din wo bas hamaari hongi


chaha humne hain chaha unko, chahat bhi ek din hamaari hogi,
milengi jis din jaana humse, saari khushiyaan hamaari hongi,

ye duniya bas takti rahegi, jeet mohabbat ki hamaari hogi,
chaahe humse dur hain aaj wo, par ek din wo hamaari hongi,

sukhe huye hain baag jahaan me, ek din unme bahaarein hongi,
raat jo kaali amavas bani hai, ek din unme sitaarein hongi,

bas kuch pal ki deri hogi, fir wo hamaari bas hamaari hongi,
bandhan saare tod ke usdin, baahon me wo bas hamaari hongi,

jaanam kahenge, jaana kahenge, jaan to wo bas hamaari hongi,
jisdin milne ayengi humse, tab hamesha ke liye hamaari hongi,

ji bharke dekhenge unko, jab aankhon ke aage hamaari hongi,
julfon se khelenge unke, jis din baahon me wo hamaari hongi,

lad lenge duniya se hum tab, jis din wo paas hamaari hongi,
jaan se jyaada pyaari hain jo, ek din bas wo hamaari hongi,

chaha humne hain chaha unko, chahat bhi ek din hamaari hogi,
milengi jis din jaana humse, saari khushiyaan hamaari hongi...

Saturday, July 10, 2010

Tootne ki aadat si ho chuki hai

toota kai bar hai apna dil ab to aadat si ho chuki hai,
tute huye dil se ab to humein mohabbat si ho chuki hai,

ye nahi kehte hum ki ab hamara ye dil tut nahi sakta hai,
par jaane kyun fir se mohabbat ki chahat si ho chuki hai...

Mohabbat se har jung jeet jaate hain

koshish to har baar karte hain ki thodi himmat juta le,
par har baar kuch na kuch wajah se hum haar jaate hain,

kabhi halaat ko doshi kehte hain to kabhi hum waqt ko,
aur inhi ka bahana leke hum pyaar ko bhool jaate hain,

hota aksar yahi hai ki pyaar koi karta to bas rota hai,
unki haalat dekh ke bhi hum bekhauff pyaar karte hain,

kuch mahino saal k saath rehne ke baad ehsaas hota hai,
pyaar wo humse nahi karte hum to bas ek tarfa karte hain,

agar koi karta hai pyaar sachche dil se to dar kaisa fir,
wo agar chaahe to har jang mohabbat se hi jeet jaate hain...

Mann Karta Hai
mann karta hai mera tujhe main baahon me bhar loon,
sochta hoon tere pyaar se main bhi pyaar kar loon,

kabse ye baahen meri sooni hain tujhe kaise bataun,
tujhse ek baar milke apni hasratein poori kar loon,

har subah, har shaam bas ek khwaab dekha karta hoon,
meri jaan tujhe har janam me apni zindagi bana loon,

tere nasheeley hothon pe jo paani ki ek boond si hai,
ji karta hai usi boond se main apni pyaas bujha loon,

tere samundar jaisi aankhon me itna gehra paani hai,
mera ji karta hai usi paani me aaj doobki laga loon,

mann karta hai mera tujhe main baahon me bhar loon,
sochta hoon tere pyaar se main bhi pyaar kar loon...