Friday, July 27, 2012

Tum mujhe kya samajh rahe ho


naa main wo nahi hoon jo tum mujhe samajh rahe ho
main kankad hoon aur tum mujhe kanak samajh rahe ho
chand lamhe saath guzaar ke jaane kya dekha mujhme
jaane kyun tum mujhe apna hum safar samajh rahe ho

tinka hoon hawaa ke saath jaane kahaan chalaa jaaunga
jiska khud ka pataa nahi use apna pataa samajh rahe ho
samundar hai jeewan mera, kinaare ki koi khabar nahi
jaane kyun tum is majhdhaar ko saahil samajh rahe ho

bahaaron ka mere jeewan se duur tak koi rishta nahi
kyun murjhaaye phoolon ko taazaa gulaab samajh rahe ho
mere chehre pe jo muskaan hai uspe mat tum yakeen karo
ye to bas dikhaawaa hai jise tum khushi samajh rahe ho

koi khushi nahi paas mere, bas ghum hi hai har taraf
kyun is veeraane ko tum basaa koi shahar samajh rahe ho
andheraa hai har taraf mere, ujaale ki koi ummeed nahi
main to koi kafan hoon, tum mujhe jeewan samajh rahe ho

naa main wo nahi hoon jo tum mujhe samajh rahe ho
main kankad hoon aur tum mujhe kanak samajh rahe ho...

No comments:

Post a Comment