Tuesday, July 24, 2012

Kya rakha hai duur ghar se


chhod ke saath maa papaa ka main aaya tha ghar se,
rupaye dus hazar bachaake main laayaa tha ghar se,
maa ne kahaa beta khat likhna har hafte mujhe tu,
khat kya yaad tak na kiya duur aake maine ghar se,

papaa ne kahaa tha pairon pe apne khadaa hona hai,
koshish aaj tak kar raha hoon aake duur ghar se,
wo rupaye khatam karke ab udhaar me dooba hoon,
aise kar raha hoon main basar jeewan duur ghar se,

koi chaachaa na koi taau hai yahaan daftaro me mera,
kaun yahaan rakhe mujhe kaam pe itni duur ghar se,
apni mehnat se achchi degree li hai maine par,
degree bhi meri lagti hai ab raddi duur ghar se,

kaam usko milta hai jiske rishtedaar ho bade,
bhala kaun yahaan mera hai meelon duur ghar se,
sochta hoon kya faaida yahaan degreeyon ka bhala,
bol baalaa hai yahaan thagi ka duur ghar se,

achcha tha rehta main aanchal se bandhe maa ke,
lagta nahi ab dil mera yahaan duur ghar se,
haath bataaun papaa ka main jaake kheton me,
kya rakha hai shahar me ab itni duur ghar se...

No comments:

Post a Comment