Monday, July 23, 2012

Ab bhi kuch baaki hai


sab kuch to hai mere paas par shayad ab bhi kuch baaki hai,
khushiyon ka mela hai saath mere par shayad kuch baaki hai,

apne hain, rishte hain, dil ki dhadkane bhi waisi hi hain,
par kyun mujhe lagta hai har pal ki ab bhi kuch baaki hai,

koi rishta tha jo tut gaya, koi saath jo kahin chhoot gaya,
ab jeewan ke har ek mod pe lagta hai jaise kuch baaki hai,

arsaa beet gaya usko bhulaaye huye par shaayad bhoola nahi,
uski yaadon ka kuch ansh mere dhadkano ke saath baaki hai,

saath kisi ka kuch lamho ka tha par asar bahut gehra hi tha,
wahi asar hai jiske kaaran har lamha lagta hai kuch baaki hai,

dekhna kabhi jhaank ke mere andhere kamre me kuch na hoga,
par sirf mujhe maaloom hai ki uska saayaa ab bhi baaki hai,

aaj bhi uski khushboo mehsoos karta hoon apne band kamre me,
uske diye gulaab me taazgi aur wo khushboo aaj bhi baaki hai,

din guzarte gaye zindagi ke, kai saal beet gaye uske bina,
jaane kyun usse juda rehke lagta hai kuch khaas baaki hai,

sab kuch to hai mere paas par shayad ab bhi kuch baaki hai,
khushiyon ka mela hai saath mere par shayad kuch baaki hai... 

No comments:

Post a Comment