Thursday, July 19, 2012

Main tumhaare saath rahunga


haathon me tumhaaraa haath le ke zindagi guzaar dungaa,
tumhaari aankhon ko dekhte huye har lamha guzaar dungaa,

kabhi tumhe baadal to kabhi main gehra samundar kahungaa,
ghum ho ya khushi har lamha main tumhaare saath rahungaa,

zindagi tumhaari main gulaab ke phoolon se sajaa dungaa,
koi ghum chhoo na sake main koi aisi deewaar bana dungaa,

rok na sakaa khudko to tumhe baahon me main bhar lungaa,
dheere se tumhaare kaano me main har ek baat bol dungaa,

jahaan ki saari khushiyaan tumhaari kadmon pe laa dungaa,
baith tumhaare saamne main apni poori zindagi guzaar dungaa...

No comments:

Post a Comment