Monday, October 4, 2010

Kya tum khud samajh paate ho

samjhaate ho mujhko par kya tum khud samajh paate ho,
kyun aaj bhi tum un khayaalon me kho ke reh jaate ho,

aasaan nahi hota kisi ko chaah ke bhula dena yahaan,
yahi wajah hai ki tum bhi har pal aansoo bahaate ho,

tadapte ho akele tum, dard ko seene me dabaake apne,
chaahte ho mujhe aur mujhse hi har baat chhupate ho,

dekh sakta hoon main tumhaare aansoo tumse dur rehkar,
par har baar tum mujhse bahaane banaake muskuraate ho,

tumhaari har sisak, har ghaaw ka ehsaas hai mujhe,
par tum akele me unhi zakhmon pe namak lagaate ho,

kya milega tumhe khud ko itna tadpaake batao zaraa,
kyun apni chaar din ki zindagi ko yun gawaate ho,

mumkin nahi har khushi mile humein ya haasil apna ho,
kyun nahi sach ko sweekaar kar tum sambhal jaate ho,

samjhaate ho mujhko par kyun nahi khud samajh paate ho,
yunhi har baar un yaadon me kho ke jeete ji mar jaate ho...

No comments:

Post a Comment