Thursday, February 26, 2015

Mujhe dard ki aadat hai



tu mere kareeb rahi sirf mujh se duur jaane ke liye
aur saath teri yaadein rahi dil ko behlaane ke liye

bas ek hum hi rahe jisse hameshaa tujhe nafrat rahi
ek hamaare siwaa rahi teri mohabbat zamaane ke liye

dikhaawa khoob kiyaa tu ne hamaari khushi ki khaatir
aag mein bas ghee daalaa tu ne aag bujhaane ke liye

thodaa namaak laa ke lagaa de tu mere in zakhmon pe
yaa aur koi sazaa tai kar, apne is deewaane ke liye

jaanti to hai tu bhi, aadat hai mujhe dard sehne ki
bhar de paimaane tak, bhar ke chhalak jaane ke liye

naa to koi geet banaa, humse naa ab koi ghazal bane
ab to bas dard hi hai mehfilon mein sunaane ke liye

rishtaa aisaa tootaa hamaaraa khushiyon ke melon se
ab to shaayad barson lage, humko muskuraane ke liye

main abhi tak zindaa hoon, abhi tak tootaa bhi nahi
thodi aur koshish karle abhi mujhe aazmaane ke liye

mil ke bichhad jaane ki ho chuki hai ab to aadat si
aa ke mil to sahi mujhse, firse chhod jaane ke liye

No comments:

Post a Comment