Thursday, February 12, 2015

Aap kyun badal gaye




kuch panne zindagi ke hamaare, kuch is tarhaa badal gaye
jahaan dar sab se kam tha, thik usi jagah hum fisal gaye

aap hi to kehte the, ki aapko mohabbat hai humse bepanaah
fir kyaa hui wajah, aap mausam ki tarhaa kyun badal gaye

jaanti thi naa aap bhi, aap taaqat hain hamaari sabse badi
aapke chale jaane se hum, kisi mom ki tarhaa pighal gaye

kasam to khaai thi naa aapne, saath nibhaane ki umra bhar
bhalaa kyun bich raah mein, saath chhod kar aap nikal gaye

badi mushkil se sambhaalaa thaa humne, aansuon ko ab tak
dekhiye naa jaane kyun yeh aansoo, nikalne ko machal gaye

abhi sikhaa hi kahaan thaa humne, sambhalnaa aapke bagair
chhootaa aapkaa saath, hum do kadam chalke hi fisal gaye

jaltaa hi rahaa chiraag, hamaare kamre mein roshni ke liye
bas roshni hi naa mil paayi kabhi, aur khud hum jal gaye

yeh achchaa khel khelaa hai aapne, deewaane ke saath apne
'Hriday' ko sikhaake aashiqui ka khel, aap khud badal gaye

2 comments: