Friday, February 27, 2015

Rog ishq kaa



kuch anjaane se khwaab hain jo in aankhon mein palte hain
kuch aanjaani si raahon par, hum neendon mein chalte hain

kabhi dhoop hai, kabhi chhaaon, kabhi oley bhi padte hain
mausam hain yeh mohabbat ke, jo pal pal mein badalte hain

ishq koi khel nahi aasaan, kisi ne samjhaayaa thaa hum ko
sambhal sambhal ke chalte hain, fir bhi hum fisalte hain

keh nahi paate kisi se, ki koi hasee naa udaa de hamaaraa
hum ladkhadaate bhi khud hi aur ab khud hi sambhalte hain

kehte hain yeh log aksar ki yeh 'Hriday' to deewaanaa hai
apnaa pataa dhundne jab apni hi galiyon mein nikalte hain

naa duaa hi ab koi kaam aayi, naa koi dawaa hi kaam aayaa
badaa haseen rog hai ishq kaa jis mein hum roz jalte hain
Hum mohabbat samajh lete hain




woh kabhi pyaar se bol len, hum inaayat samajh lete hain
hum unhe dekh muskuraa den, woh tijaarat samajh lete hain

hamaari majboori hai ki unhe dekhe binaa reh nahi paate
woh hamaari majboori ko hamaari aadat samajh lete hain

naam alag alag rakh dene se bhalaa fark kyaa padta hai
woh jab poojaa kehte hain, hum ibaadat samajh lete hain

bahut fark hai hum dono mein aur hamaari soch mein bhi
hum samjhaate hain unhe to woh bagaawat samajh lete hain

kabhi sochne ki koshish bhi nahi ki isse zyaadaa humne
woh muskuraa dete hain to hum mohabbat samajh lete hain

Thursday, February 26, 2015

Mujhe dard ki aadat hai



tu mere kareeb rahi sirf mujh se duur jaane ke liye
aur saath teri yaadein rahi dil ko behlaane ke liye

bas ek hum hi rahe jisse hameshaa tujhe nafrat rahi
ek hamaare siwaa rahi teri mohabbat zamaane ke liye

dikhaawa khoob kiyaa tu ne hamaari khushi ki khaatir
aag mein bas ghee daalaa tu ne aag bujhaane ke liye

thodaa namaak laa ke lagaa de tu mere in zakhmon pe
yaa aur koi sazaa tai kar, apne is deewaane ke liye

jaanti to hai tu bhi, aadat hai mujhe dard sehne ki
bhar de paimaane tak, bhar ke chhalak jaane ke liye

naa to koi geet banaa, humse naa ab koi ghazal bane
ab to bas dard hi hai mehfilon mein sunaane ke liye

rishtaa aisaa tootaa hamaaraa khushiyon ke melon se
ab to shaayad barson lage, humko muskuraane ke liye

main abhi tak zindaa hoon, abhi tak tootaa bhi nahi
thodi aur koshish karle abhi mujhe aazmaane ke liye

mil ke bichhad jaane ki ho chuki hai ab to aadat si
aa ke mil to sahi mujhse, firse chhod jaane ke liye

Wednesday, February 25, 2015

Asar



meethaa saa ehsaas jagaa jaati hai woh aksar
jab kabhi mere khwaabon se ho ke guzarti hai

kisi nashe mein aisaa asar kahaan, us jaisaa
jo nason mein roz chadti hai, roz utarti hai

Sunday, February 22, 2015

Kuch achchaa kar sake ho to bataanaa





kisi bhooke ko kabhi khaanaa khilaa sake ho to bataanaa
kisi gareeb ko kabhi seene se lagaa sake ho to bataanaa

ameeron ke ameeri ki taarif to har koi kar letaa hai
gareeb ke hauslon ki taarif kar sake ho to bataanaa

khaanaa zarurat se zyaadaa mil jaaye to fenk dete ho
kisi roz agar tum bhooke pet so sake ho to bataanaa

mil hi jaataa hai paisaa unchi imaaraton mein baith kar
kisi mazdoor ki tarhaa kabhi kamaa sake ho to bataanaa

yun to har koi muskuraa letaa hai kisi ki khushi dekh kar
dard ko khushiyon ki maalaa mein piro sake ho to bataanaa

aasaan hai zindagi unke liye jinhe sabkuch mil jaataa hai
jinhe kuch nahi miltaa unki tarhaa ji sake ho to bataanaa

bheekh maangte huwe kisi ko dekh afsos to jataayaa hogaa
magar dil se us shaqs ke liye duwaa kar sake ho to bataanaa

bahut aasaan hai keh denaa ki kitni mushkil mein hai koi
kabhi kisi ki mushkil ko aasaan kar sake ho to bataanaa

aasaan hai keh denaa ki jeewaan insaan kaa shreshta hai
par sahi maayne mein kabhi insaan ban sake ho to bataanaa

Hum unse ab poochhte hain




woh aksar humse hamaari bekaraari kaa sabab poochhte hain
jaante huwe sab kuch, yeh sawaal woh ghazab poochhte hain

kehnaa chaahti hain, kuch poochhnaa chaahti hain do aankhen
magar kuch aur hi bematlab ke sawaal unke lab poochhte hain

muskuraa kar hamaari har baat, udaa deti hain khoobi se woh
kuch hai kyaa dil mein unke, yeh unse hum jab poochhte hain

jo keh nahi paaye hain unse aaj tak hum ek baat dil ki apne
thodi si himmat karke unse woh baat chaliye ab poochhte hain

kahiye naa ki "mohabbat hai aap ko bhi 'Hriday' se bepanaah"
yeh baat hamaare dil ki aap se roz roz hum kab poochhte hain

Saturday, February 21, 2015

Ghazal ban hi jaayegaa





na badlaa hai lekin jald hi badal jaayegaa
mausam hi hai, kabhi to laut kar aayegaa

intezaar kijiye hawaa kaa rukh badalne kaa
jo dhund rahe hain woh bhi mil hi jaayegaa

bas thodi si dhul jam gayi hai kaagaz par
hawaa ke chalte hi yeh saaf ho hi jaayegaa

shabd aur ehsaas kahin chhip gaye hain bas
kuch der mein ghazal bhi ban hi jaayegaa

dhundte rahiye koyle ki khaan mein yunhi
heeraa bhi kahin naa kahin mil hi jaayegaa

Thursday, February 19, 2015

Waqt hamaaraa bhi hogaaa




kashti ko maanjhi kaa sahaaraa bhi hogaa
hogi manzil kareeb to ishaaraa bhi hogaa

jab doobne lagi hogi kashti tumhaari tab
madat ke liye kisi ko pukaaraa bhi hogaa

bheed mein jab kabhi tanhaayi nazar aayi
koi apnaa to us pal, tumhaaraa bhi hogaa

jo bikhri si hogi duniyaa kabhi tumhaari
zindagi kisi ne tab, sanwaaraa bhi hogaa

jo jeet rahaa hai, aaj har khel mein woh
kabhi naa kabhi to, woh haaraa bhi hogaa

mausam rehtaa nahi hai hameshaa ek saa hi
aur yeh waqt kabhi to, hamaaraa bhi hogaa


Wednesday, February 18, 2015

Woh apni kahaani dhundtaa hai




woh pyaasaa hai, bas thodaa saa paani dhundtaa hai
bheed mein woh cheez koi apni puraani dhundtaa hai

gum hai kuch is tarhaa woh apni hi zindagi mein ki
kitaab ke panno mein woh apni kahaani dhundtaa hai

paagal kahun, deewaanaa kahun yaa aashiq kahun usko
woh har jagah bas mohabbat ki nishaani dhundtaa hai

kehte hain ki naam badnaam hai bahut uskaa, isliye
ghum ghumke galiyon mein woh badnaami dhundtaa hai

aksar kinaare baithke baatein kartaa hai lehron se
woh samundar ki gehraaiyon mein paani dhundtaa hai

ek ajeeb saa hi shaqs hai woh, aisi aadat hai uski
anjaano mein, tasveer jaani pehchaani dhundtaa hai

sab kuch hai magar shaayad kuch kho gayaa hai uskaa
woh apnaa woh bachpan, apni hi jawaani dhundtaa hai

Tuesday, February 17, 2015

Meethaa saa dard




meethaa saa dard hai, meethi si chubhan hai
jal rahaa hai jism jismein ek aisi agan hai

yeh ishq hai yaaraa yaa hasi koi khwaab hai
jisko bhi dekh lijiye yahaan wahi magan hai

baarish ki boondon ko dekhiye jo jaan lenge
hai youwan kaa jaadoo, thodaa paagalpan hai

are koi roko ji mujhko, sambhaalo ji mujhko
main kahin udd naa jaaun, paagal pawan hai

shaayad lagaa hai yeh rog hum ko bhi, tabhi
paagal se hum hain, aur paagal yeh mann hai

bas dekhe koi us ko, main seh bhi naa paaun
hai yeh kaisi mohabbat, yeh kaisi jalan hai

bas uski hi baatein aur bas uski hi yaadein
mohabbat hi hai, yaa meraa deewaanaapan hai

Thursday, February 12, 2015

Aap kyun badal gaye




kuch panne zindagi ke hamaare, kuch is tarhaa badal gaye
jahaan dar sab se kam tha, thik usi jagah hum fisal gaye

aap hi to kehte the, ki aapko mohabbat hai humse bepanaah
fir kyaa hui wajah, aap mausam ki tarhaa kyun badal gaye

jaanti thi naa aap bhi, aap taaqat hain hamaari sabse badi
aapke chale jaane se hum, kisi mom ki tarhaa pighal gaye

kasam to khaai thi naa aapne, saath nibhaane ki umra bhar
bhalaa kyun bich raah mein, saath chhod kar aap nikal gaye

badi mushkil se sambhaalaa thaa humne, aansuon ko ab tak
dekhiye naa jaane kyun yeh aansoo, nikalne ko machal gaye

abhi sikhaa hi kahaan thaa humne, sambhalnaa aapke bagair
chhootaa aapkaa saath, hum do kadam chalke hi fisal gaye

jaltaa hi rahaa chiraag, hamaare kamre mein roshni ke liye
bas roshni hi naa mil paayi kabhi, aur khud hum jal gaye

yeh achchaa khel khelaa hai aapne, deewaane ke saath apne
'Hriday' ko sikhaake aashiqui ka khel, aap khud badal gaye

 Kyaa yeh mohabbat hai

jab pyaar se tasveer meri dekhte hain woh apne kamre mein
dhadkano kaa shor mere dil mein, ji haan yahaan hotaa hai

jhoom jaataa hoon jab kabhi yaad mein unke doob kar main
jaane kaise, meri haalat kaa pataa unko wahaan hotaa hai

kyaa yeh mohabbat hai yaa koi dhokhaa hai yeh dil kaa mere
ki saansein jab bhi letaa hoon main, shor wahaan hotaa hai

Wednesday, February 11, 2015

Mohabbat bayaaan hotaa hai




koi chaand le aaye tod kar aasmaan se, aisaa kahaan hotaa hai
bas do dilon ki dhadkane mil jaaye, mohabbat wahaan hotaa hai


kissa mohabbat kaa bas likhe geeton mein bayaan hotaa hai
yeh woh husn hai jo aashiqon ke dil mein jawaan hotaa hai

parwaanaa jal jaataa hai kyun shamaa ke kareeb aa kar ke
wajah to bas ishq hi hai, jo parwaanaa qurbaan hotaa hai

kisi ko mohabbat hai, magar kehne se agar woh dartaa hai
dekhle koi gaur se, yeh uski aankhon se bayaan hotaa hai

log sach hi kehte hain mohabbat ke baare mein yeh shaayad
thodi mohabbat mil jaaye to uskaa jawaab kahaan hotaa hai

yun to upar waale ne haathon mein lakeerein banaa di hain
lakeerein milti wahin hain, sachchaa ishq jahaan hotaa hai

do ghoont sharaab peekar behek jaate hain log aksar, magar
hai nashaa mohabbat mein aisaa, kahin aur kahaan hotaa hai



Saturday, February 7, 2015

Mohabbat karke dekh lijiye

dil ki baaton ko zaraa hothon tak aajaane dijiye
kahin band kamre mein ehsaas, dum naa tod de



jo kehnaa hai aaj dil ko, aap use keh jaane dijiye
ehsaas paani jaisaa hi to hai, use beh jaane dijiye

saari tod dijiye bandishein ki pankh failaa lijiye
saari dil ki band deewaarein aap dheh jaane dijiye

zaraa dekhiye nikalkar kitnaa haseen samaa bhi hai
hawaa ke aaj sangh sangh, khud ko beh jaane dijiye

jaante hain hum bhi, aap band hain khud mein kahin
ab pichhe rokti zanzeeron ko apne reh jaane dijiye

ji zaraa karke dekh lijiye mohabbat kisise aap bhi
mohabbat ke samundar mein khud ko beh jaane dijiye

Wednesday, February 4, 2015

Baadal ban jaataa hai

 
mohabbat bepanaah ho to sunaa hai taajmahal ban jaataa hai
aur adhuri hi reh jaaye to guzraa huwaa kal ban jaataa hai

kuch badnaseeb hote hain jinke kismat mein bas hai andheraa
andheraa hi unke sanam ki aankhon kaa kaajal ban jaataa hai

taras jaate hain log sachchi mohabbat ke liye jahaan mein
jo mil gayaa thodaa kabhi to haseen saa pal ban jaataa hai

behti aankhon se apne aksar aasmaan ko dekh lete hain hum
log kehte hain aankh kaa paani jaake baadal ban jaataa hai

dil ke tootne par sochaa shaayar ban jaayenge, sunaa thaa ki
toot_ta hai dil kisi kaa to haasil-e-ghazal ban jaataa hai



Tuesday, February 3, 2015

Khwaahishein

 
hazaar baatein dil ki hain, hain hazaar khwaahishein
kuch karnaa chaahe dil agar to rokti hain bandishein

hai dil kaa hi sab khel bhi aur toot_ta bhi dil hi hai
is khel mein, har jeet ke, hain dil ki hi sab saazishein

yeh dil to aakhir dil hi hai, kare bhi to kyaa kare
toot_taa hai khwaab bhi aur toot_ti hai hain khwaahishein...


Ek aakhri mulaaquaat
 kahaani hamaare mohabbat ki
poori hote hote adhuri reh gayi
shaayad kuch tumhaari kami rahi
shaayad kuch hamaari reh gayi...

yaad hai woh aakhri mulaaquaat hamaari
sab kuch kitnaa sahi thaa hamaare bich
tum meri baaton ko samajh lete they
aur main tumhaari baaton ko bhi...

magar kuch ajeeb saa huwaa
us aakhri mulaaquaat mein
yaad hai naa tumhe bhi
woh aakhri mulaaquaat hamaari....

kuch tum kehnaa chaahte they
jo main samajh nahi paayaa
kuch main kehnaa chaahtaa thaa
jo tum samajh nahi paaye...

shaayad tumhe kuch kehnaa thaa
jo tum keh nahi paaye
shaayad mujhe kuch kehnaa thaa
jo main keh nahi paayaa...

bas yunhi kehne sunne mein hi
sab khatam ho gayaa hamaare bich
aur kahaani hamaare mohabbat ki
bas adhuri hi reh gayi...