Aisaa asar kar gayi
kuch to hai baat unki aankhon ke ishaaron mein
naam aane lagaa aajkal hamaaraa beemaaron mein
unki aankhen kuch is tarhaa se asar kar gayi
aankhon se guzarke is dil mein ghar kar gayi
hum poochhte rahe khabar unhi ki har kisi se
unki aankhein har khabar se bekhabar kar gayi
aankhon kaa kaajal aur geeley labon ki laali
woh pareshaan humein kal raat bhar kar gayi
jaagte rahe hain hum adkhuli aankhon se apne
banke khwaab woh aankhon mein basar kar gayi
unke jism ki khushboo se hi mehekte rahe hum
khushboo se khusnumaa saaraa shahar kar gayi
aadat nahi thi humein dil lagaane ki kisi se
sambhaalaa bahut dil ko paagal magar kar gayi
khud ko badaa shaatir samajhte the hum ab tak
apne hunar se feekaa meraa har hunar kar gayi
naa bahaa ek boond khoon, naa dard hi huwaa
kaisaa woh qatl thaa jo unki khanjar kar gayi
'Hriday' shaayar thaa, ab aashiq kehlaane lagaa
unki mohabbat kuch aisaa hum par asar kar gayi
No comments:
Post a Comment